Do you like this story?

Showing posts with label Bewafa Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Bewafa Ghazal. Show all posts

Monday 7 September 2015

Ye Tumse Keh Diya Kisne,

Bewafa Ghazal, Ye Tumse Keh Diya Kisne,
Ye Tumse Keh Diya Kisne,
K Tum Bin Reh Nahi Sakte,
Ye Dukh Hum Seh Nahi Sakte,
Chalo Hum Maan Lete Hain,
K Tum Bin Hum Bohat Roye,
K Raaton Ko Nahi Soye,
Magar Afsos Hai Jaana,
K Ab Ke Tum Jo Lotogay,
Humen Tabdeel Paogay,
Bohat Mayos Hogay Tum,
Agar Tum Janna Chaho,
K Aisa Kyun Kiya Humne,
To Sunlo Ghor Se Jaana,
Purani Ehd-e-Rafta Ki,
Rivayat Tordi Humne,
'''MOHABBAT CHOR DI HUMNE'''

Mujhe Maaf Kar Mere Humsafar,

Bewafa Ghazal, Mujhe Maaf Kar Mere Humsafar,
Mujhe Maaf Kar Mere Humsafar,
Tujhe Chahna Meri Bhol Thi,
Kisi Raah Par Jab Uthi Nazar,
Tujhe Dekhna Meri BHol Thi,
Koi Nazam Ho Ya Koi Gazal,
Kahin Raat Ho Ya Kahin Seher,
Wo Gali Gali Wo Sheher Sheher,
Tujhe Dhondna Meri Bhol Thi,
Mere Ghum Ki Koi Dawa Nahi,
Mujhe Tujhse Koi Gila Nahi,
Tera Koi Mere Siwa Nahi,Yahi Sochna Meri Bhol Thi. . . . 

Zinda thai jiski AAS pe Wo bhi rula gaya,



Bewafa Ghazal, Zinda thai jiski AAS pe Wo bhi rula gaya,

Zinda thai jiski AAS pe Wo bhi rula gaya,
Bandhan WAFA ke toor ke Sare chala gaya,
Khud hi to ki thi usne MUHABBAT ki IBTADA,
Hathon main HATH de k khud hi chura gaya,,,
Kardi jiske liye humne TABAH zindagi,
Ulta wo BEWAFA ki TUHMAT laga gaya,,,

Usse Kaho Kuch Raaz Hai Mere Seene Mai, ,

Bewafa Ghazal, Usse Kaho Kuch Raaz Hai Mere Seene Mai, ,
Usse Kaho Kuch Raaz Hai Mere Seene Mai, ,
Dil Kam Hain Mere Jeene Mai, ,
Mujhe Dhere Dhere Kehne Do, ,
Tere Dil Mai Mujhko Rehne Do, ,
Meri Bojhal Palkain Kehti Hain, ,
Ye Tujh Ko Takti Rehti Hain, ,
Mai Sab Kuch Khona Chahta Hon, ,
Bus Tera Hona Chahta Hon, ,
Ajeeb Khwahish Mai Kho Jaon, ,
Teri Godh Mai Sar Rakh Kar So Jaon, ,
Phir Na loat Ke Aaonga, ,
Na Tujhko Kabhi Sataonga, ,
Ye Mera Tujhse Wada Hai, ,
AB KEHDO JO TERA IRADA HAI, , , , ,

Ye to dil tha dewana ke tum par agaya,

Bewafa Ghazal, Ye to dil tha dewana ke tum par agaya,
Ye to dil tha dewana ke tum par agaya,
Warna hum sona bhi para uthaya nahi karte,
Ye mana ke tum haseen ho,
Magar ye bhi sun lo
Hum haseenon se dil lagaya nahi karte,
Jis se karte hain pyar aik hi bar karte hain,
Bar bar hum bhi kisi ko sunaya nahi karte,
Tum to apne ho tumse kiya parda
Warna hum Raaz-e-Dil kisi ko sunaya nahi karte,
Tum kehdo to tumhare liye jaan bhi hazir hai
Warna hum zindagi kisi par lutaya nahi karte,,,

Aqeedat aur hoti hai Murawat aur hoti hai

Bewafa Ghazal, Aqeedat aur hoti hai Murawat aur hoti hai
Aqeedat aur hoti hai Murawat aur hoti hai
MUHABBAT jisko kehte hain wo naimat aur hoti hai,
Qayamat khez manzar jo hazaron humne dekhe hain,
Jo dil pe tot'ti hai wo qayamat aur hoti hai,
Mahino baad milne ki khushi apni jaga lekin,
Wo zalim jab bicharta hai to halat aur hoti hai,,,,

Ye Dunya Hai Yahan Pe

Bewafa Ghazal, Ye Dunya Hai Yahan Pe
Ye Dunya Hai Yahan Pe 
Ye Tamasha Ho Bhi Sakta Hai 

Abhi Jo Ghum Humara Hai 
Tumhara Ho Bhi Sakta Hai 

Tum Apne Aap Ko Hargiz 
ilzaam Mat Dena 

Ye Sauda Hai Mohabbat Ka 
Khasara Ho Bhi Sakta Hai 

Na Ye Samjho K Tum Hi 
Aakhri Meri Mohabbat Ho 

Mohabbat Jurm Hai Hum Se 
Dobara Ho Bhi Sakta Hai

Mujhe miti ke ghar banane ka shok tha,

Bewafa Ghazal, Mujhe miti ke ghar banane ka shok tha,
Mujhe miti ke ghar banane ka shok tha,
Usay ashiyane girane ka shok tha,
Mai khud se roth jata hon aksar is liye,
Mujhe rothay howe log manane ka shok tha,
Usay Wadoon ki paasdari pasand na thi,
Lekin mujhe waaday nibhane ka shok tha,
Mai masroof tha tanhayun ki talaash mai,
Usay logon se milne milane ka shok tha,
Wo bewafa tha is mai herat ki baat kya hai,
mujhe bhi bewafa logon se DIL lagane ka shok tha,,

Bara kathin hai rasta jo aa sako toh sath do!

Bewafa Ghazal, Bara kathin hai rasta jo aa sako toh sath do!
Bara kathin hai rasta jo aa sako toh sath do!
Ye zindagi ka fasla mita sako to sath do!!
Bare fareb khaoogi, bare sitam utaoogi!
Ye umar bhar ka sath hai nibha sako toh sath do!!
Jo tum kaho, ye dil toh kya, mai jaan bhi fida karon!
Jo main kahon, bus ek nazar, luta sako toh sath do!!
Hazaar imtehan yahan, hazaar azmaeish!
Hazaar dukh, hazaar gham, utha sako toh sath do!!
Ye zindagi yahan khushi ghumoon ke sath sath hain!
Rula sako toh sath do, hansa sakho toh sath do!!

Kisi Ki Rah Ankhain Bicha Kar Kuch Nahi Milta, ,

Bewafa Ghazal, Kisi Ki Rah Ankhain Bicha Kar Kuch Nahi Milta,
Kisi Ki Rah Ankhain Bicha Kar Kuch Nahi Milta, ,
Ye Dunya Bewafa Hai Dil Laga Kar Kuch Nahi Milta, ,
Koi Bhi Loat Kar Ata Nahi Anso Bahane Se, ,
Kisi Ki Yad Mai Dil Ko Rula Kar Kuch Nahi Milta, ,
Kisi ke Dil Par Kya Guzre Kisi Ko Kya Khabar Iski, ,
Kisi Ko APna Hal-e-Dil Suna Kar Kuch Nahi Milta, , , ,

Bichar Kar Tum Se ZIndagi Saza Lagti Hai, ,

Bewafa Ghazal, Bichar Kar Tum Se ZIndagi Saza Lagti Hai, ,
Bichar Kar Tum Se ZIndagi Saza Lagti Hai, ,
Ye Sans Bhi Jaise Mujh Se Khafa Lagti Hai, ,
Tarap Uthte Hain Dard Ke Maare, ,
Zakhmon Ko Jab Tere Sheher Ki Hawa Lagti Hai, ,
Agar Umeed-e-Wafa Karon To Kis Se Karon, ,
Mujh Ko To Meri Zindagi Bhi Bewafa Lagti Hai, , , , ,

Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai

Bewafa Ghazal, Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah
Aye Zindagi Yeh Raaz Chupaon To Kis Tarah

Apni Tabahiyoon Mein Mera Haath Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Toota Jo Dil Ka Aaina Tootay Sabhee Bharam
Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeenay Ke Liye Kamm

Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Sunday 6 September 2015

Us bewafa se bhala rishta mita kesy dun.

Bewafa Ghazal, Us bewafa se bhala rishta mita kesy dun.
Us bewafa se bhala rishta mita kesy dun. 
Wo JAAN hai meri usy bhola kesy dun. 
Apni roh me basa k jise pyar kya tha, 
Sochta hun usy ab dagha kesy dun. 
Kitne khwab sajaye thy meri in ankhon ne, 
Men apna har khwab bhala jala kesy dun.
Wo roye ga to ansu mere b niklein ge, 
Us ki bewafai ki usy saza kesy dun. 
Wo kehta hai k us ki khushi ki dua mangon men, 
Par wo kisi or ka ho jaye usy ye dua kesy dun...

Shab-e-hijran ki aziyat ki khabar kis ko hai

Bewafa Ghazal, Shab-e-hijran ki aziyat ki khabar kis ko hai
Shab-e-hijran ki aziyat ki khabar kis ko hai 
Meri gumnaam mohabbat ki khabar kis ko hai 

Kis ko ahsas mere 
shidat-e-jazbat ka 
Mere halaat meri wehshat ki khabar kis ko hai 

Kon veeran makano ki khabar rakhta hai 
Meri ujri hoi kismat ki khabar kis ko hai 
Me ne chup chaap 

mohbat k sitam jheele hen 
Meri is darja sharafat ki khabar kis ko hai
Kon aaye ga ay dil ab tuj ko tasalli dene 

Teri udaas Tabiyat ki khabar kis ko hai.

Khawahishen Be'Lagaam Matt Karna,,

Bewafa Ghazal, Khawahishen Be'Lagaam Matt Karna,,
Khawahishen Be'Lagaam Matt Karna,, 
Rizq Apna Haram Matt Karna.. 
Be'Wafa K Qareeb Matt Jana,, 
Bud'Zubaan Sy Kalam Matt Karna.. 
Doston Ko Khuloos Sy Milna,, 
Gharz Rakh K Salaam Matt Karna.. 
Dekhna Ishq Main Kabhi Apni,, 
Zindagani Ghulam Matt Karna.. 
Toot Jaein Talluqaat Agr,, 
Raaz Ki Baat Aam Matt Karna.. 
Kisi K Dil Main Rehna To Umar Bhar Rehna,, 
Aik Do Din Qayaam Matt Karna..!!

Wo Khafa Hein Hum Se To Khafa Hi Rehne Do

Bewafa Ghazal, Wo Khafa Hein Hum Se To Khafa Hi Rehne Do
Wo Khafa Hein Hum Se To Khafa Hi Rehne Do 

Hum Ko Unka Gunahgar Hi Rehne Do 

Wo Samajhte Hein Hum Ne Chorr Diya Hy Unko 

Baat To Jhoot Hai Magar Such Hi Rehne Do 

Muddaton Mangi Hein Khuda Se Khushian Unki 

Jo Aata Hai ILzam Hum Pe To ILzam Hi Rehne Do 

Unki Shart Hy K Mein Bewafa Banu 

Agar Khushi Miley Unko To Mujhe Bewafa Hi Rehne Do 

Aaye Ga Waqt To dikha'en Ge Tum Ko Apna Khuloos 

Abhi Khamosh hein, Hum Ko Bus Khamosh Hi Rehne Do.....

Ab Kahan Muhabat mein Wo Maza raha Hy..

Bewafa Ghazal, Ab Kahan Muhabat mein Wo Maza raha Hy..
Ab Kahan Muhabat mein Wo Maza raha Hy.. 
Na Pardy Ka Pata Na Wo 
Sharm-0-Haya Hy.. 
Muhabat Krty Hain Sirf Dil Ko Behlany K Liye.. 
Hr Aik Aashiq Ab To Yahan Be-Haya Hy.. 
Pyar Ka Naam Detay Hain Hwas K Pujari Jis Ko.. 
Apni Hasrat Kar K Puri Kehty Hain 
Hum ny Kiya hi Kya Hy.. 
Muhabat Wo Jazba Hy Jo Do Dilon Ko Milata Hy.. 
Milen Jis mein Sirf Do Badan Socho Wo Rishta Kya Hy.. 
Main B Phirta raha 
Talaash-e-Mohabat mein.. 
Sirf dokha hi dokha hy ab pyar mein rakha kya hy..

Baat Din Ki Nhi Muje Raat Se Darr Lgta Hy,

Bewafa Ghazal, Baat Din Ki Nhi Muje Raat Se Darr Lgta Hy,
Baat Din Ki Nhi Muje Raat Se Darr Lgta Hy, 
Ghr Kacha Hy Mera Muje Barsaat Se Dar Lgta Hy, 
UsNe Tohfey Me Diye Muje Kh00n K Aansu, 
Zindgi Ab Teri Her Soghaat Se Dar Lgta Hy,, 
Choro Pyar Ki Baten Koi Or Baat Kro, 
Ab To Pyar Ki Har Baat Se Dar Lgta Hy, 
Meri Khatir Wo Kahin Badnaam Na Ho Jaye, 
Is Liye Uski Her Mulaqat Se Darr Lagta Hy, 
Apno Me Reh Kr Kuch Aisey ZaKhm Khaye hain, 
K Humein t0 ab 
Apni Zaat Se bi. 
Darr Lagta hai!

Kitabon k warkon ko palat kr sochta hon

Bewafa Ghazal, Kitabon k warkon ko palat kr sochta hon
Kitabon k warkon ko palat kr sochta hon 
U palat jaye zindgi to kiya baat hai 

Khwabon mein roz milta hai jo 
Haqiqat mein Aa jaye to kiya baat hai 

Kuch log matlab k liye dhondty hein mujhy 
Bina matlab koi Aaye to kiya baat hai 

Qatal kr k to sub le jayein gey dil mera 
Koi baton se ley jaye to kiya baat hai 

jab tak zinda hon tab tak to khushi doo ga sub ko 
Meri mout se b ager kisi ko khushi mil jaye to kiya baat hai.

Us be'wfa se bhla rishta mita kesy dun.

Bewafa Ghazal, Us be'wfa se bhla rishta mita kesy dun.
Us be'wfa se bhla rishta mita kesy dun. 
Wo JAAN h meri usy bhola kesy dun. 
Apni roh me bsa k jise pyar kya tha, 
Sochta hun usy ab dagha kesy dun. 
Kitne khwab sjaye thy meri in ankhon ne,
Men apna hr khwab bhla jala kesy dun. 
Wo roye ga to ansu mere b niklein ge, 
Us ki be'wfai ki usy sza kesy dun. 
Wo kehta h k us ki khushi ki dua mangon men, 
Pr wo ksi or ka ho jaye usy ye dua kesy dun.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...