Do you like this story?

Wednesday 22 July 2015

Dukh dard k maron se mera zikar na karna,

Dukh dard k maron se mera zikar na karna,
Dukh dard k maron se mera zikar na karna,
Ghar jao to yaron se mera zikar na karna...
Wo zabat na kar payn ge ankhon k samandar,
Tum raah guzaron se mera zikar na karna...
Phoolon ke nasheman me raha hon me sada se !
Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna...
Shaid ye andheray hi mujhe raah dikhaen,
Abb chand sitaron se mera zikar na karna...
Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain,
Afsana nigaron se mera zikar na karna...
Shaid wo mere haal pe be-sakhata roo dain,
Iss bar baharon se mera zikar na karna...
Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar,
Darya ke kinaron se mera zikar na karna...
Wo shakhs mile to use har bat batana,
Tum sirf isharon se mera zikar na karna..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...