Muhabbat Rog Hay Jaana.
Ajab Sanjog Hay Jaana.
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana.
Baray Borhay Btatay Thy.
Kayi Qissay Sunatay Thy.
Magar Hum Mantay Kab Thy.
Yeh Sab Kuch Jantay Kab Thy.
Yeh Baatein Zikr k Qabil Bhala Gardantay Kab Thy.
Ana k Takht Par Baithy Humein Maloom Hi Kab Tha.
Ana k Takht Se Ooper Bohat Sari Bulandi Par.
Kahin Pariyon k Jhurmat Me.
Tery Pairoon Ki Payel Me.
Tery Chotay Se Gaaon Mei.
Ghani Zulfoon Ki Chaaon Mei.
Sitaray Chaand Sooraj Walehana Raqs Kartay Hain.
Humein Maloom Hi Kab Tha.
Tery Qadmon Ki Aahat Par.
Gulabi Muskurahat Par.
Tery Hontoon Ki Jumbash Par.
Tery Sir k Isharay Par.
Sada-e-DilBrana Par. Nigah-e-Qatilana Par.
Jafa-e-Mehrmana Par.
Ada-e-Kafirana Par. Chaman k Phool Saray Iss Tarah Se Dhayan Detay Hain.
Zara Se Wasl k Jhansey Mein Apni Jaan Detay Hain.
Humein Kab ILM Tha Jaana.
Tery Pekar Se Dhul kar Chandani Har Soo Bikharti Hay.
Shab-e-Mahtab Ki Doshezgi Kaisy Nikharti Hay.
Teri Payel Ki Chan Chan Mann Mein Kya Ghanti Bajati Hay.
Teri Awaz Veerany Mein Kya Jadu Jagati Hay.
Tery Naghmay Fiza Mein Kis Tarah Jal Tarang Bajaty Hain.
Bohat Pukhta Iraday Kis Tarah Se Toot Jatay Hain.
Humein Idraak Hi Kab Tha.
Humein Kamil Bharosa Tha. Hamary Sath Kisi Surat Bhi Aisa Nahi Ho Ga.
Dil-e-Nadaan Kabhi Qaboo Se BeQaboo Nahi Ho Ga.
Magar Phir Yun Huwa Jaana.
Na Janay Kiun Huwa Jaana.
Bara Afsoon Huwa Jaana.
Jigar Ka Khoon Huwa Jaana.
Tery Abroo Ki Ik Jumbash Se Ghayel Ho Gaye Hum b.
Baray Be Multafit Phirtay Thy Maayel Ho Gaye Hum b.
Sakhawat Karnay Aye Thy Aur Saayel Ho Gaye Hum b.
Baray Borhoon Ki In Baaton k Qaayel Ho Gaye Hum b.
Muhabbat Rog Hay Jaana.
Ajab Sanjog Hay Jaana.
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana
No comments:
Post a Comment