Meri gardishon k wo din nahi,
Mujhe yaad un ki jafa nahi,
Kabi mil gya to khushi hui,
Jo nahi mila to gila nahi,
Wohi sorshein hain wohi tarap, wohi dard-o-gham,wohi soz-e-dil,
Yehi zindagi hy to kiya kahon,
Koi is se barh k saza nahi,
Unhein paa k bhi jo na pa saka,
Ye mere naseeb ki baat thi,
Wo hazaar mujh se juda rahe,
Mere dil se phir bhi juda nahi,
Wohi apni tarz-e-wafa rahi, wohi un ki mashk-e-jafa rahi,
Wo zulm karte hain is tarah,
Jese mera koi Khuda nahi,
Ye mareez-e-ishq ka haal hy,
Ke ye zindagi bhi wabaal hy,
Kabhi dard hy to dawa nahi,
Jo dawa mili to shifa nahi.
Mujhe yaad un ki jafa nahi,
Kabi mil gya to khushi hui,
Jo nahi mila to gila nahi,
Wohi sorshein hain wohi tarap, wohi dard-o-gham,wohi soz-e-dil,
Yehi zindagi hy to kiya kahon,
Koi is se barh k saza nahi,
Unhein paa k bhi jo na pa saka,
Ye mere naseeb ki baat thi,
Wo hazaar mujh se juda rahe,
Mere dil se phir bhi juda nahi,
Wohi apni tarz-e-wafa rahi, wohi un ki mashk-e-jafa rahi,
Wo zulm karte hain is tarah,
Jese mera koi Khuda nahi,
Ye mareez-e-ishq ka haal hy,
Ke ye zindagi bhi wabaal hy,
Kabhi dard hy to dawa nahi,
Jo dawa mili to shifa nahi.
No comments:
Post a Comment