Apni haatir jage ho, soye ho,
Apni haatir hanse ho, soye ho,
Kis liye, Aaj khoye khoye ho,
Tum ne aansuu bohat piye apne,
Tum bohat saal reh liye apne,
Ab mere, Sirf mere ho ke raho,
Tum azal se dikhon ke dairey ho,
Chahey khud ko ghamon mein ghairey ho,
Jab se paida huye ho mere ho,
Aaj kholain ge lab siye apne,
Tum bohat saal reh liye apne,
Ab mere sirf mere ho ke raho,
Ab mujhe apne dard sehne do,
Dil ki har baat dil se kehne do,
Meri banhon mein khud ko behne do,
Mudatt’ton zakham khud siye apne,
Tum bohat saal reh liye apne,
Ab mere, Sirf mere ho ke raho,
Hussan hi hussan ho, Zahanat ho,
Aashiq hon mein, Tum to mohabbat ho,
Tum meri , Bas meri amanat ho,
Ji liye, Jis qadar jiye apne,
Tum bohat saal reh liye apne,
Ab mere, Sirf mere ho ke raho,
Rehte ho ranj-o-gham ke ghairon mein,
Dukh ke, asaib ke baseron mein,
Kese choroon tumhain andheron mein,
Tum ko de doon ga sab diye apne,
Tum bohat saal reh liye apne,
Ab mere, Sirf mere ho ke raho.
No comments:
Post a Comment