Do you like this story?

Sunday 7 June 2015

wasi shah poetry Bs Zeyada Keya Khon Os K Bary Main Noor

wasi shah poetry Bs Zeyada Keya Khon Os K Bary Main Noor
Bs Zeyada Keya Khon Os K Bary Main Noor
Joothy Wady Krny Main Vo Shkhs Kmal Ka Hunr Rkhta Tha

wasi shah poetry Mein Daik Loon Usse,Wo Na Daikhe Meri Taraf

wasi shah poetry Mein Daik Loon Usse,Wo Na Daikhe Meri Taraf
Mein Daik Loon Usse,Wo Na Daikhe Meri Taraf
Baaton Main Uss Ko Koi Lagae Zara Si Dair

wasi shah poetry Mere Jeene Ka Sabab Tha Jaise

wasi shah poetry Mere Jeene Ka Sabab Tha Jaise
Mere Jeene Ka Sabab Tha Jaise
Rab Ke Baad Woh Rab Tha Jaise

Tujh Se Milna Aur Bicharna Sub
Khuda Ka Mujh Pe Ghazab Tha Jaise

Ajab Sa Shakhs Tha Samajh Se Bahir
Goya 'Ghalib' Ka Adab Tha Jaise

Har Lamha Shab-E Firaq Ka Woh
Mere Is Dil Pe Karab Tha Jaise

Be Khayali Mai Bholna Us Ko
Khayal Yeh Bhi Ajab Tha Jaise

Raakh Hona 'Raakh' Ka Ishq Mai
Qismat Mai 'Raakh' Ke Yehi Sub Tha Jaise

wasi shah poetry Muhabat Ek Adab Ki Bimari Hai

wasi shah poetry Muhabat Ek Adab Ki Bimari Hai
Muhabat Ek Adab Ki Bimari Hai
Sari Duniya Is Zulm-O-Sitam Ki Mari Hai

Chod Gya Hai Nisha Har Mod Pe Woh
Lagta Hai Jangal Me Ye Naya Shikari Hai

Kah Do Koi Na Chahe Ab Use
Mudaton Se Uspar Nazar Hamari Hai

Loot Liya Waqt Ne Uske Intzaar Me
Sahi Kaha Tha Mir Ishq Ek Pathar Bhari Hai

Hua Hai Na Kabhi Kuch Hoga Mujhe 
Maa Ne Khud Apne Hathon Se Meri Nazar Utari Hai

Saturday 6 June 2015

wasi shah poetry Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karty

wasi shah poetry Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karty
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karty
Jam Shien K Dosaro Se Hum Piya Nahi Karty

Agar Un Ko Mohabbat Hy To A K Izhaar Kary 
Picha Hum B Kisi Ka Kiya Nahi Karty

wasi shah poetry Kia Ho Ra H Mujhy Aj Ka Pta Ni

wasi shah poetry Kia Ho Ra H Mujhy Aj Ka Pta Ni
Kia Ho Ra H Mujhy Aj Ka Pta Ni
Kuch Ajeeb Sa Haal H Pta Ni

Phly To Roz Aya Krti Th Khawabo M Mary
Ab Ho Gya H Kia Pta Ni

Many Dil S Pocha Kyun Chahta H Usy
Us Ny Kaha Ankho S Poach Mujhy Pta Ni

M Ny Ankhon S Poacha To Boli
Bs Dhondti E Hn R Kyun Ya Pta Ni

Ab To Sans B Ruk Ruk Kr Ati H
Or Darkhan Ka Kuch Pta Ni

wasi shah poetry Kaash Ke Bachcha Hi Rehta Mai Ishq Se Bacha Hi Rehta

wasi shah poetry Kaash Ke Bachcha Hi Rehta Mai Ishq Se Bacha Hi Rehta

Kaash Ke Bachcha Hi Rehta
Mai Ishq Se Bacha Hi Rehta

Pal Bhar Ke Liye ,Nazar Us Se Lari Thi

Pal Bhar Ke Liye ,Nazar Us Se Lari Thi
Pal Bhar Ke Liye ,Nazar Us Se Lari Thi
Sar E Raah Jab Haseena Jab Mujh Se Mili Thi

Suraj Ki Laali Ke Se Rukhsaar The Uske
Chanda Ki Tarha Se Chamakti Jabee Thi

Phel Gai Thi Khushbu Hawao'n Main Chaaro Orh
Jo Hawa Tere Jism Ko Choo Kar Chali Thi

Kuch Samj Nahi Aata K Kya Naam Doo Usko
Husn Ki Malika Thi K Paristaa K Pari Thi

Kitne Hi Shah Zor Us Din Dher Ho Gaye
K Teri Shokh Nazr Jin Jin Pe Pari Thi

Pheli Hui Thi Ghup Tareekiya Jahan Main
Mere Gird To Sitaro Ki Lari Thi

Anmol Tohfa Hai Tu Zameen Par Khuda Ka
Qudrat K Hatho Se Tu Fursat Main Bani Thi

Qayamt Ka Naam Logo Se Suna Tha Maine
Dil Se Uthi Sada Asad Haa Yeh Wohi Thi

Tmanna hy k roshan ho tri dunya tri mehfil,

Tmanna hy k roshan ho tri dunya tri mehfil,
Tmanna hy k roshan ho tri dunya tri mehfil,
Ujala mil sky tm ko to hm ghar b jla dyn gy...

atif
Abhi Kamsin ho, Rehne do, Kahien kho do gi Dil Mera
Tumhare hi liye rakha hai, Ley jaana Jawaan ho kar…..!!!
Reply
…Na Kamsin hon, na Naadan hon, Muhobbat ko samajhti hon
Tumhara kya Bharosa hai, Mukar jaao Jawaan ho kar…..!!!..........

Jad Rat Nu Sare Sondy Ne


Jad Rat Nu Sare Sondy Ne

Jad Rat Nu Sare Sondy Ne
Do Nain Nimany Rondy
Ne
Koi Mildi Raah Naen
Niklan Nu
Ghum Chaar Chafairy
Hondy Ne
Menu Samajh K Pagal
Vekhanlei
Kei Loki Aan Khalondy Ne
Jerrhy Pyar Kise Naal
Karde Ne
O Hanjuaan Da Haar
Parondy Ne
Jad Muk Jaan Athroo
Akhiyan Vicho
Fair Katray Khoon De
Aundy Ne
Jery Tor Nibhan Da Kendy
San
Aj Vekh K Boohy Tondy
Ne
"Pyar"Sajna Jina Da
Khalis Hove
O Kadi Ni Kisy Hor De
Honde Ne

Hon gay juda hum es tarah, imkan tu na tha

Hon gay juda hum es tarah, imkan tu na tha
Hon gay juda hum es tarah, imkan tu na tha…..
Ye dil kabhi bhi es tarah, weraan tu na tha.
~~Jesay howa hai ab k wo, halaat say mray…..
Pehlay kabhi wo es tarah, anjaan tu na tha.

~~Wo shehr se gia hai tu, ronaq bhi lay gia…..
ye shehr es tarah kabhi, sunsaan tu na tha.
~~Ek Pyar ki jageer ka, maalik tha mein kabhi……
Pehlay se yonhi be-sar-o-samaan tu na tha.
~~Mohsin hum ne Ishq mein,paya naffa bahut…..
is kaarobaar mein koi, nuqsan tu na tha.

Top 10 positions of bise malakand

Manzar e Shab ko Lahoo Me Jab Se Dakhil kar Diya

Manzar e Shab ko Lahoo Me Jab Se Dakhil kar Diya
Manzar e Shab ko Lahoo Me Jab Se Dakhil kar Diya 
Tha Tanaffus Me Jo Matam Us ko Mehfil kar Diya. 

Bad o Baraan Me Diyya Jo Bujh Gaya Tha Hath Par 
Wo Jalaa kar Aaj Sooraj k Muqabil kar Diya. 

Ho Chuka Hai Is Byabaan Me Parrao Mustaqil 
Us ka Naqsh e Paa Mila Tha Hum Ne Manzil kar Diya. 

Apne Jumla Doston Se Poochta Hun Aaj Phir 
Mujh ko Dushman ki Safon Me Kis Ne Shamil kar Diya. 

Umar Bhar ka Aik Sajda Main Ne NUSRAT Jab kiya 
Ek Ajab Se Waswasy Ne Us ko Baatil kar Diya.

Suno Larki!!!

Suno Larki!!!
Suno Larki!!!

Kisi Ko Tum Ne Chaaha Tha,
Voh Tumhen Mi£
Nahi Paya,

Kisi Ko Me Ne Chaaha Tha,
Voh Mujhy Mi£
Nahi Payi,

Adhuri Tum Bhi Ho
Ab Tak,
Adhura Me Bhi Hun Ab Tak,

Adhurey'pan Ki Tanhaai,
Tumhen Bhi Dasti Rehti Hai,

Adhurey'pan Ki Tanhaai,
Mujhy Bhi Dasti Rehti Hai,

Adhurey'pan Se
Tum Bhi,
Ab Nika£na Chahti Ho Na!

Adhurey'pan Se
Me Bhi,
Ab Nika£na Chahta Hun Bs!

Tumharey Aur Merey,
Sb Masaai£ Ek Jaisey Hen,

Sabhi Gham Ek Jaisey Hen,
Sabhi Dukh Ek
Jaisey Hen,

Suno £arki!!!
Cha£o Ek Kaam Krtey Hen...

Mujhy Tum Vaisa
Hi Chaaho,
K Jaisa Us Ko Chaaha Tha,

Tumhen Me Vaisa
Hi Chaahun,
K Jaisa Us Ko
Chaaha Tha,

Cha£o Aao! Hum Mi£ Ju£ Kar,
Naya Ek Ghar Basatey Hen,

Mohabbat K Diye Ko Phir...
Mohabbat Se Jalaty Hen...

Suno tum lout aao na

Suno tum lout aao na

wo dekho chand nikla hai
sitaare jagmgaane lage hain

hamari muntazir ankhain
dua mangti hain
tumhain he sochti ankhain

tumhain he dhundti ankhain
tumhain wapis bulati hain

yeh dil jab bhi dhadkta hai
tumhara he naam leta hai

yeh ansu jab bhi behte hain
tumhare dukh main behte hain

k

barish jab bhi hoti hai
tumhain he yad karti hai

khushi koi jo aye bhi
tumhare bin adhuri hai

suno tum lout aao na
suno tum lout aao na
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...