Do you like this story?

Friday 10 July 2015

Tohmatein Tu Lagti Hain

Tohmatein Tu Lagti Hain
Tohmatein Tu Lagti Hain
Roshni Ki Khwahish Mein
Ghar Se Baahar Aane Ki
Kuch Saza To Milti Hai
Log Log Hote Hain
Inn Ko Kya Khabar Jaana’n
Aap Ke Iraado’n Ki
Khubsoorat Aankhon Mein
Basne Waale Sapno’n K
Rang Kaise Hote Hain
Dil Ki Gaud Aangan Mein
Palne Waali Baato’n K
Zakhm Kaise Hote Hain
Kitne Gehre Hote Hain
Kab Ye Soch Sakte Hain
Aisi Be-Gunaah Aankhein
Ghar Ke Kone Khudro’n Mein
Chhup Ke Kitna Roti Hain
Phir Bhi Ye Kahaani Se
Apni Kaj-Bayaani Se
Iss Qadar Rawaani Se
Daastan Sunte Hain
Aur Yaqeen Ki Aankhein
Sach Ke Gham-Zada Dil Se
Lag Ke Kitna Roti Hain
Tohmatein Tu Lagti Hain
Roshni Ki Khwahish Mein
Tohmato’n Ke Lagne Se
Dil Se Dost Ko Jaana’n
Ab Nidhaal Kya Karna
Tohmato’n Se Kya Darna
Tohmatein Tu Lagti Hain
Roshni Ki Khwahish Mein
Ghar Se Baaher Aane Ki
Kuch Saza To Milti Hai

Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy

Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy
Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy
Mujhe Khof Hai Ye Tohmat, Mere Naam Tak Na Pohanchy

Main Nazar Se Pee Raha Tha, k Ye Dil Ne Bad dua Di
Tera Haath Zindagi Bhar, Kabhi Jaam Tak Na Pohanchy

Jo Naqaab-e-Rukh Uthaya, To Ye Qaid Bhi Laga Di
Uthey Nigaah zrur Lekin, Dr-o-Baam Tak Na Pohanchy

Ye Adaa-e-Beniyazi, Tujhy Bewafa Mubarak!
Magr Aisi b, Be Rukhi Kia?
K Salam Tak Na Pohanchy.

Thursday 9 July 2015

bewafalarka

bewafalarka

itni baat to batlao mujh ko
woh jis ko aaj kal tum chahtay ho
jis ko apni Dilruba kehtay ho
kya woh bhi mere jaisi hai..
kya surkh rang
tumhain uss par bhi acha lagta hai.
uss k nain bhi kya
may khaanay k jaisay hain.
kya tum us ko bhi
apni jaan aur apna dil kehtay ho.

uss ki muskaan bhi kya tumhain
sehra mein sawan ki phuaar lagti hai.
uss k aansuo'n sey bhi kya
tumhari jaan jaati hai.
kya uss ko bhi tum
bohat intizaar karwatay ho, bohat satatay ho.
kya woh bhi meri tarah chup chaap
har dukh, tumhari har zyad-dti seh jaati hai.
uss k dil sey khail kar bhi kya
tumhain ik anjani sii khushi hoti hai.
aye meray harjaii...!

sirf itna kehna chahoon gi
mujh sey na sahi
uss sey zaroor wafa karna
apnay sachay pyar ki intiha karna
meray jaisi ik aur bad qismat larki ka
iss duniya mein izaafa naa karna
ho sakay to aisa karna. 

Tu Kya Jaane Hamare Pyar Ki Gehrayi Ko,

Tu Kya Jaane Hamare Pyar Ki Gehrayi Ko,
Tu Kya Jaane Hamare Pyar Ki Gehrayi Ko, , ,
Hum Sath Hote Hain To Wafa Karte Hain Or Jab Door Hote Hain To DUA Karte Hain, , , ,

Life me Kbi humari dosti K bare me shak ho,,,

Life me Kbi humari dosti K bare me shak ho,,,
Life me Kbi humari dosti K bare me shak ho,,, 

To Akele me 1 siKa uchalna!!! 

Agr head ho to "WE ARE BEST FRIENDS" 

Aur tail ho to.... 

Palat dena 
yaar,,, 

AKele me Kon deKhta hai...:( 

...Dedicated to All Sweet Friendzzz....)

Chahat T0 Ph0olon Se Ki MaGar Kaanty Kyun Miley..

Chahat T0 Ph0olon Se Ki MaGar Kaanty Kyun Miley..
Chahat T0 Ph0olon Se Ki MaGar Kaanty Kyun Miley.. 
Wafaon Ke Badley Phir Hamain Shikwy Kyun Miley.. 

Shama To Raat Bhar jalti Rahi KhamoShi Se, 
Khaak Mein Phir Aahain Bharty Parwany Kyun Miley.. 

W0h Chorh Gaya Mera Shehar T0 Udasi Si 
Chaa gai, 
Abhi to ibtida Thi Phir Dhalty Saaye Kyun Miley.. 

Tanha Reh Gaya to Duniya Ajnabi lagny lagi.. 
Shehar Mein Phir Hum jaisy Loug Diwany 
Kiyun Miley.. 

Zindagi Ka Safar Kat'ta Nahii is Ujhrry Shehar 
Mein 
Hum BaWaffa They 
Phir Hamain BeWaffa Kyun Miley.

Aansu0n Ko Khabr Kesy Hui Teri Judaee Ki

Aansu0n Ko Khabr Kesy Hui Teri Judaee Ki
Aansu0n Ko Khabr Kesy Hui Teri Judaee Ki
Shayad K Ye Khud Hi Nikal Parry Hain Teri Talaash Main

Mohobat Mein Hu Hee Jati Hay Kahta

Mohobat Mein Hu Hee Jati Hay Kahta
Mohobat Mein Hu Hee Jati Hay Kahta 
Pyar Mein Bas Mafi Ka Dar Khula Rakho

Sajday Mein Dua Raye Gaan Nahi Jati
Seedah Apna Aghar Qibla Rakho 

Asteen Mein Bot Aghar Hu Kisee Kay
Mushrik Say Bohat Phir Fasla Rakho 

Mayosi Kuffar Na Bun Payee Ge Kabhi
Apni Such Chi Wafa Par Hosla Rakho 

Dua Mago Tu Ashkoon Ku Shamil Karlo
Durrani Kee Batoon Pe Pay Hosla Rakho

Tere Hus’san Pe Tere Mizaaj Pe Uthata Ho Kalam..

Tere Hus’san Pe Tere Mizaaj Pe Uthata Ho Kalam..
Tere Hus’san Pe Tere Mizaaj Pe Uthata Ho Kalam..
Ye Kalam Hai K Tuj Pe Uthny Ka Naam Letti He Nai

Sochta Ho K Kuch Likho Tere Bare Me To Uthata Ho Kalam
Yeh Soch He Hai Jo Elfazoo M Dhelti He Nai

Tere Pyar,Tere Soch,Tere Wafa Pe Uthata Ho Kalam
Mere Soch Tere Khyallo Se Baher Niklti He Nai

Tere Mausomiyat,Tera Chahra,Tere Addaao Pe Uthata Ho Kalam
Yeh Tere Addaaoo Ka Jadduu He Hai Jo Kuch Krne Detti He Nai

Tere Duaoo,Tere Khwahist,Tere Tammannao Pe Uthata Ho Kalam
Maan Ja Adi To Garwida Hai Uska K Tere Zindege Begar Usk Guzarti He Nai

Meri Khawishyn Hazar Sahi

Meri Khawishyn Hazar Sahi
Meri Khawishyn Hazar Sahi 
Per Meri Chahat Bs Ak Hy

Meri Batyn Mn Lafz Buhat 
Per Un Mein Markaz Ak Hy 

Din Dhalay Ya Rat Chalay 
Mere Wqt Mn Bs Wo Ak Hy

Udas Kiyoun Ho Beety Lamhon Ko Yaad Kr K Ay Shaam

Udas Kiyoun Ho Beety Lamhon Ko Yaad Kr K Ay Shaam
Udas Kiyoun Ho Beety Lamhon Ko Yaad Kr K Ay Shaam
Lagan Sachi Ho To Har Jazba He Nayab Hota Hai

Haseen Ankhon Ko Parhne Ka Abhe Tak Shoq Hai Muhsin Muhabbat My Ujar Kar Bhe Mere Adat Nahe Badli

Haseen Ankhon Ko Parhne Ka Abhe Tak Shoq Hai Muhsin
Muhabbat My Ujar Kar Bhe Mere Adat Nahe Badli

Ziqr-E-Janaa Mere Zehan Mai Hai

Ziqr-E-Janaa Mere Zehan Mai Hai
Ziqr-E-Janaa Mere Zehan Mai Hai
Dil Mera Aaj Bhi Watan Mai Hai

Sehra Sehra Bahaar Ka Mousam
Phool Koi Kahin Chaman Mai Hai

Mere Andar Hi Bas Gayi Hai Tu
Khoon Tera Mere Badan Mai Hai

Aise Jalte Hain Log Shohrat Se
Jaise Kesar Padi Hawan Mai Hai

Tujhko Mehsoos Roz Karta Hun
Teri Surat Mere Nayan Mai Hai

Hm Tmein Bhool Jaein Ye Bhool Tmari Hai

Hm Tmein Bhool Jaein Ye Bhool Tmari Hai
Hm Tmein Bhool Jaein Ye Bhool Tmari Hai
Mana Ye Jism Hmara Hai Pr Rho Tmari Hai

Jab Se Tuj Ko Kareeb Deyka Tha

Jab Se Tuj Ko Kareeb Deyka Tha
Jab Se Tuj Ko Kareeb Deyka Tha
Tum Mn O Jan Hm Ne Apna Naseeb Deyka Tha

Kekty Hein Ishq La.Ilaj Bemari Hai
Pr Tum Mn O Jan Hm Ne Apna Tabeeb Deyka Tha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...