Do you like this story?

Friday 19 June 2015

Dekha palat k usne k hasrat usey b thi by Wasi Shah

Dekha palat k usne k hasrat usey b thi by Wasi Shah

Dekha palat k usne k hasrat usey b thi by Wasi Shah
Dekha palat k usne k hasrat usey b thi by Wasi Shah
Dekha palat k usne k hasrat usey b thi
Hum jis par mit gaye they mohabbat usey b thi,

Chup ho gya tha dekh kar wo b idhar udhar
Dunya se meri tarha shikayat usey b thi,

Ye soch kar andhere galey se laga liye
Raaton ko jagne ki adat usey b thi,

Wo ro diya tha mujh ko pareshaan dekh kar
Us din hala'n k meri zarurat usey b thi,

Un pathron k sath nibhani pari usey Wasi
Jin se faqat mujhe nahi nafrat usey b thi.

ACha Huwa Jo Dhund ParNey Lagii Hai..

ACha Huwa Jo Dhund ParNey Lagii Hai..
ACha Huwa Jo Dhund ParNey Lagii Hai.. 

WarNa Do0r Tak tumhari Raahein TakTi Thi Aaankhein..

MeRey 0r Us K Darmiyaan Nikla,,

MeRey 0r Us K Darmiyaan Nikla,,
MeRey 0r Us K Darmiyaan Nikla,,

UMarr Bhar Ki Judaai Ka RiShtaa...

Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy


Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy
Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy
Mujhe Khof Hai Ye Tohmat, Mere Naam Tak Na Pohanchy

Main Nazar Se Pee Raha Tha, k Ye Dil Ne Bad dua Di
Tera Haath Zindagi Bhar, Kabhi Jaam Tak Na Pohanchy

Jo Naqaab-e-Rukh Uthaya, To Ye Qaid Bhi Laga Di
Uthey Nigaah zrur Lekin, Dr-o-Baam Tak Na Pohanchy

Ye Adaa-e-Beniyazi, Tujhy Bewafa Mubarak!
Magr Aisi b, Be Rukhi Kia?
K Salam Tak Na Pohanchy..

Kya Karo Ge IshQ ki Kitaabain Likh Kar.....

Kya Karo Ge IshQ ki Kitaabain Likh Kar.....
Kya Karo Ge IshQ ki Kitaabain Likh Kar.....

Ye Wohi IshQ Hai Na Jis Ne Heer Se Ranjha Cheen Liya Tha....

Ye wisaal hai k kamaal hai meri khawahishon k hujoom ka.

Ye wisaal hai k kamaal hai meri khawahishon k hujoom ka.
Ye wisaal hai k kamaal hai meri khawahishon k hujoom ka.

Main jis tarf Bhi nigah karon mjhe har tarf wo dikhai dey..

Main Rota Raha Raat Bhar Ye Faisla Na Kar Saka

Main Rota Raha Raat Bhar Ye Faisla Na Kar Saka
Main Rota Raha Raat Bhar Ye Faisla Na Kar Saka.

Wo Yaad Aa Raha Hai 
Ya 
Main Yaad Kar Raha Hun.

Jo Dil Ko Acha Lagta

Jo Dil Ko Acha Lagta
Jo Dil Ko Acha Lagta 
Hai Usi Ko Apna Kehta H0on.. 

MunafiQ Ban Ke RiShton Ki Tijarat Main Nahii Karta..

Khulay Gi Us Nazar Pe Chashm E Tar Aahista Aahista,

Khulay Gi Us Nazar Pe Chashm E Tar Aahista Aahista,
Khulay Gi Us Nazar Pe Chashm E Tar Aahista Aahista, 
Kia Jata Hai Pani Me Safar Aahista Aahista. 

Koi Zanjeer Phir Wapis Wahin Par Le K Aati Hai, 
Kathin Ho Raah Tu Choota Hai Ghar Aahista Aahista. 

Badal Dena Hai Rasta Ya Kahin Par Beth Jana Hai, 
K Thakta Jaa Raha Hai Humsafar Aahista Aahista. 

Kallish K Sath Is Dil Se Na Meri Jaan Nikal Jaye, 
Khinche Teer-E-Shanasai Magar Aahista Aahista. 

Hawa Se Sar-Kashi Me Phool Ka Apna Ziyaan Dekha, 
So Jhukta Ja Raha Hai Ab Sar Aahista Aahista. 
Poet: 
Parveen Shakir

Ab jo lotay ho itne saalon mein

Ab jo lotay ho itne saalon mein
Ab jo lotay ho itne saalon mein, 
Dhoop utri huyi hai baalon mein, 

Tum meri aankh k samundar mein, 
Tum meri rooh k ujaalon mein, 

Phool hi phool khill uthey mujh mein, 
Kon aaya mery khayalon mein, 

Mene jee bhar k tujh ko dekh liya, 
Tujh ko uljhaa k kuch sawalon mein, 

Meri khushiyon ki kaayenat bhi tu, 
Tu hi dukh dard k hawalon mein, 

Jab tera doston mein zikar aaye, 
Theess uthti hai dil k chaalon mein, 

Tum se abaad hai yeh tanhai, 
Tum hi roshan ho ghar k jaalon mein, 

Saanwli shaam ki tarah hai woh, 
Woh na goroon mein hai na kaalon mein, 

Kya usey yaad aa raha hoon 
Rang ubhrey hain us k gaalon mein..

Ye na thi hamari Qismat k wisaal e Yar hota

Ye na thi hamari Qismat k wisaal e Yar hota
Ye na thi hamari Qismat k wisaal e Yar hota 
Agar or jeety rehty yehi intezar hota, 

Teray waaday pay jiye hum To ye Jan Jhoot jana, 
K khushi sy mar na jaty agar aitbaar hota, 

Teri Nazuki sy jana k bandha tha Ehad e Booda, 
Kabhi tu na tor sakta Agar istawaar hota, 

Koi mery Dil sy poochy tery teer neemksh ko, 
Ye khalish kahan say hoti Jo jigar k paar hota, 

Ye kahan ki dosti hai k Bany hain dost Naaseh 
koi charah saaz hota Koi ghum gusaar hota, 

Kahon kis sy main k kya hai Shab e Ghum buri balaa hai,
Mujhy kya bura tha marna Agar aik bar hota, 

Huwy mar k hum jo ruswa Huwy Q na GharQ e Darya, 
Na kabhi janaza uthta Na kahein mazaar hota, 

Ye Masaail e Tasawwuf Ye tera bayaan Ghalib! 
Tujhy hum wali samajhty Jo na Baadah Khwaar hota..

Bohat hain ya or bhejoon?

Bohat hain ya or bhejoon?
Bohat hain ya or bhejoon? 

Jaanan IshQ k azaab saaray..

Main Chup Raha K Zehar Yehi Mujh Ko Raas Tha.

Main Chup Raha K Zehar Yehi Mujh Ko Raas Tha. 
Wo Sang-E-Lafz Phaink Kar Kitna Udaas Tha. 

Aksar Meri Qaba Py Hansi Aa Gai Jisay. 
Kal Mil Gya Tu Wo B Dareeda Libas Tha. 

Main Dhondta Tha Door Khalaon Me Aik Jism. 
Chehron Ka Ik Hujom Mere Aas Pas Tha. 

Tum Khush Thy Pathron Ko Khuda Jaan Kar Magar. 
Mujh Ko Yaqeen Hai Wo B Tumhara Qayaas Tha. 

Bakhsha Hai Jis Ny Rooh Ko Zakhmon Ka Pairahan. 
Mohsin!Wo Shakhs Kitna Tabiyat Shanaas Tha. 
Poet: 
Mohsin Naqvi

Mery bus mein agar yeh ho Janaan

Mery bus mein agar yeh ho Janaan
Mery bus mein agar yeh ho Janaan 

Main wafa teray naam kar jaaon..

Tumharay shehar ka mosam bara suhana lagay

Tumharay shehar ka mosam bara suhana lagay
Tumharay shehar ka mosam bara suhana lagay 
Main ik shaam chura lon agar bura na lagay 

Tumhary bas mein agar hai to bhool jao hamein 
Tumhein bhulaany mein shayad hamein zamana lagy 

Jo doobna hai to itny sakoon sy doobo 
K aas paas ki lehron ko bhi pata na lagy 

Isi liye to khilaaye hain phool safhon par 
Hamein jo zakhm lagy hain wo dostana lagy 

Wo ik sitara k jo rasta dikhaye hamein 
Wo ik ishara k jo Harf e Mujarmana lagy 

Na jany kab sy koi mery saath hai Qaisar 
Jo ajnabi na lagy or Aashna na lagy..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...