Do you like this story?

Thursday, 17 September 2015

Fursat Ki Shaam, Dil Ki Uddasi, Tumhari Yaad.

Fursat Ki Shaam, Dil Ki Uddasi, Tumhari Yaad.
Fursat Ki Shaam, Dil Ki Uddasi, Tumhari Yaad.

Tanhai Mein Bhi Kitna Bara Kaarvaan Hai Saath

Suno tum loat aao na k mene suna hai ye.

Tow line sad poetry, Suno tum loat aao na k mene suna hai ye.
Suno tum loat aao na k mene suna hai ye.

Khud se batain karne wale aksar pagal ho jate hain.. ! !

Ek Aam Adhuri khwaish hai, meri Roshan Roshan sub'hon ki...

Ek Aam Adhuri khwaish hai, meri Roshan Roshan sub'hon ki...
Ek Aam Adhuri khwaish hai, meri Roshan Roshan sub'hon ki...

Teri chaahat ki har Shaam mile, MERE NAAM KO TERA NAAM MILE...!!!

aChahat ki Be-Basi ka Ye Qissa hai Mukhtasar..

Tow line sad poetry, aChahat ki Be-Basi ka Ye Qissa hai Mukhtasar..
aChahat ki Be-Basi ka Ye Qissa hai Mukhtasar..

Dil nay Sakoon na paya kabi Dil Lagi k Baad.

Tum Mujhe Rooh Mein Basa Lo To Acha Hai.

tow line urdo poetry, Tum Mujhe Rooh Mein Basa Lo To Acha Hai.
Tum Mujhe Rooh Mein Basa Lo To Acha Hai.

Yeh Dil-O-Jaan Ke Rishte Aksar ToOt Jaya Karte Hain.!!


Usne meri muhabbat ko naya mord diya,,

wasi shah poetry, Usne meri muhabbat ko naya mord diya,,
Usne meri muhabbat ko naya mord diya,,
Aaj mere lye baalo'n ko khula chord diya

Jab Se Tere Khayal Ka Mausam Hua Hai Dost

wasi shah poetry, Jab Se Tere Khayal Ka Mausam Hua Hai Dost
Jab Se Tere Khayal Ka Mausam Hua Hai Dost
Duniya Ki Dhoop Chaon Se Aage Nikal Gaye
Murh Murh K Ab Bhi Khait Sadayein Diya Kiye
Ab K Tere Gaon Se Aage Nikal Gaye
Hum Ko Palat Ke Dekhna Mushkil Sa Ho Gaya
Shayed Teri Sadaon Se Aage Nikal Gaye

Dayar-E-Ghair Mein Kaise Tujhe Sada Dete

wasi shah ghazal, Dayar-E-Ghair Mein Kaise Tujhe Sada Dete
Dayar-E-Ghair Mein Kaise Tujhe Sada Dete
Tu Mil Bhi Jata To Tujhe Ganwa Dete
Tumhin Ne Ham Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna
Dua Wo Karte K Ham Asman Hila Dete
Hamein Ye Zom Raha Ab K Wo Pukarenge
Unhen Ye Zid Thi K Har Bar Ham Sada Dete
Wo Tera Gham Tha K Tasir Mere Lahje Ki
K Jis Ko Hal Sunate Use Rula Dete
Tumhen Bhulna Hi Awwal To Dastaras Mein Nahin
Jo Ikhtiyar Bhi Hota To Kya Bhula Dete
Hum Apne Bachon Se Kese Kahen K Ye Gurdiya
Hamare Bas Main Jo Hoti Tu Hum Dila Dete
Tumhari Yad Ne Koi Jawab Hi Na Diya
Mere Khayal K Ansu Rahe Sada Dete
Samton Ko Main Ta-Umar Kosta Syed
Wo Kuch Na Kahte Magar Honth To Hila Dete

Jo meri ankhon se khawab dekho

wasi shah ghazal, Jo meri ankhon se khawab dekho
Jo meri ankhon se khawab dekho
To ek shab bhi na so sako ge
K Laakh chaho na hans sako ge
Hazar chaho na ro sako ge
K Khawab kia hain azaab hain yeh
Mere dukhon ki kitaab hain yeh
Rafaqaten un ki choot-ti hain
Mohabbaten un ki rooth-ti hain
Panapti hain un main wehshaten si
Aziyaten un main phoot-ti hain
Inhi k dar se khizaan hain jazbay
Inhi si shaakhen se toot-ti hain
Ghamon ki bandish hain khawab mere
Dukhon ki barish hain khawab mere
Ubal raha hai dukhon ka laawa
Raheen-e-aatish hain khawab mere
Khayal saaray jhulas gaye hain
Sulagti khawahish hain khawab mere
Ukharti saansen hain zindagi ki
Lahu ki saazish hain khawab mere
Jo meri ankhon se khawab dekho
To ik shab bhi na so sako ge

Sochte hain tujhe wuzoo kar k,

wasi shah poetry, Sochte hain tujhe wuzoo kar k,
Sochte hain tujhe wuzoo kar k,
Yun tera ahteraam karte hain.

Dhu'nwe ki leher pe tasweer raks karti rahi,

wasi shah poetry, Dhu'nwe ki leher pe tasweer raks karti rahi,
Dhu'nwe ki leher pe tasweer raks karti rahi,
Wo cigreto'n k tasalsul main yaad aata raha.

mari tareek zamano say neklnii wale

wasi shah poetry, mari tareek zamano say neklnii wale
mari tareek zamano say neklnii wale
roshne tuj ko meri yad delate khuge

Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,

wasi shah poetry, Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,
Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,
Meri furssat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum.

Kuch is liye to be'haal ho gaye hum log;

wasi shah poetry, Kuch is liye to be'haal ho gaye hum log;
Kuch is liye to be'haal ho gaye hum log;
Tumhari yaad ka be'hadh khayaal rakhte hain

Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Hoga,

wasi shah ghazal, Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Hoga,
Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Hoga, 
Ek Din Aayega Wo Shakhs Hamara Hoga,
Tum Jahan Mere Liye Seepiyan Chunti Hogi, 
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinaara Hoga,
Zindagi.! Ab K Mera NaaM Shaamil Na Karna,
Gar Ye Tay Hai K Yehi Khel Dobara Hoga,
Jis k Hone Se Meri Saans Chala Karti Thi, 
Kis Tarah Usk Bagair Apna Guzara Hoga,
Ye Achanak Jo Ujala Sa Hua Jaata Hai, 
Dilne Chup k Se Tera Naam Pukara Hoga,
Ishq Karna Hai To Din Raat Use Sochna Hai, 
Aur Kuch Zehen Mein Aaya To Khasara Hoga,
Ye Jo Paani Mein Chala Aaya Sunehri Sa Garoor, 
Usne Dariya Mein Kahin Paao'n Utara Hoga,
Kaun Rota Hai Yahan Raat K Sannaton Mein,
Mere Jaisa Hi Koi Hijr Ka Maara Hoga,
Mujhko Malum Hai Joo'nhi Main Qadam Rakhunga, 
Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga,
Jo Meri Rooh Mein Badal Se Garajte Hain Wasi, 
Usne Seene Mein Koi Dard Utara Hoga,
KaaM Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lunga Usko, 
Mera Maula Ka Wasi Joonhi Ishara Hoga..
Book: Mujhe Sandal Kardo

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...