Do you like this story?

Thursday, 17 September 2015

Dayar-E-Ghair Mein Kaise Tujhe Sada Dete

wasi shah ghazal, Dayar-E-Ghair Mein Kaise Tujhe Sada Dete
Dayar-E-Ghair Mein Kaise Tujhe Sada Dete
Tu Mil Bhi Jata To Tujhe Ganwa Dete
Tumhin Ne Ham Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna
Dua Wo Karte K Ham Asman Hila Dete
Hamein Ye Zom Raha Ab K Wo Pukarenge
Unhen Ye Zid Thi K Har Bar Ham Sada Dete
Wo Tera Gham Tha K Tasir Mere Lahje Ki
K Jis Ko Hal Sunate Use Rula Dete
Tumhen Bhulna Hi Awwal To Dastaras Mein Nahin
Jo Ikhtiyar Bhi Hota To Kya Bhula Dete
Hum Apne Bachon Se Kese Kahen K Ye Gurdiya
Hamare Bas Main Jo Hoti Tu Hum Dila Dete
Tumhari Yad Ne Koi Jawab Hi Na Diya
Mere Khayal K Ansu Rahe Sada Dete
Samton Ko Main Ta-Umar Kosta Syed
Wo Kuch Na Kahte Magar Honth To Hila Dete

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...