Daagh dunya ne diye zakham zamaanay se milay..
Hum ko tuhfay ye tumhen dost bananay se mile..
Hum tarastay hi tarrastay hi tarastay hi rahay..
Wo falaanay se falaanay se falaanay say milay..
Khud se mil jatay tu chaahat ka bharam reh jata..
Kya milay aap jo logon k milaanay se milay..
Kabhi likhwanay gaye khatt kabhi parhwaye gaye khatt..
Hum hasinon se isi heelay bahaanay se milay..
Ik naya zakhm mila aik nayi umar mili..
Jab kisi sheher me kuch yaar puranay se milay..
Aik ham hi nahi phirrtay hain liye qissa e gham..
Un k khamosh Labbon par bhi fasaanay se milay..
Kaisay manayen k unhen bhol gaya to ae kaif..
Un k khatt aaj hamen tere sarhaanay se milay..
pOet Kaif Bhopali

No comments:
Post a Comment