Do you like this story?

Wednesday, 19 August 2015

Sarkon Per Ek Nanha Baccha Jazbon ka Anbaar Liye

Sarkon Per Ek Nanha Baccha Jazbon ka Anbaar Liye
Sarkon Per Ek Nanha Baccha Jazbon ka Anbaar Liye 
Apnay Haal Say Larrnay Nikla Darjan Bhar Akhbar Liye 

Kis Nay Dekha Daryaon Per Pyas Bujhany ki Khatir. 
Syed Hirni k Bachy Nay Kitny Hi Avtaar Liye 

Zinda Hain To Koi Bhi Apna Pursaan e Haal Nahi. 
Maar Jaayen To Sab Aajaaen Gay Phoolon k Haar Liye 

Mery Des May Mazdooron k Nanhay Nanhay Say Bachay 
Kab Tak Apni Qismt Thonken Hathon May Auzaar Liye 

Ghor karo Ehraam k kis Ny kis Majburi ki Khatir 
Copy Pencil Chorr k Apny Hathon May Hathyar Liye

Kabi Hans K Gham Chupaya

Kabi Hans K Gham Chupaya
Kabi Hans K Gham Chupaya 
Kabi Moonh Chupa K Roye 

Meri Dastan e Hasrat 
Wo Suna Suna K Roye 
Mujhey Aazmaney Waley 
Mujhey Aazma K Roye 

Shab e Gham ki Aap Beeti 
Jo Sunayi Anjuman Mein 
Koi Sun K Muskuraye 
Koi Muskura K Roye 

Main Hon Bewatan Musafir 
Mera Naam Bebassi Hai 
Mera Koi Bi Nahi Hai 
Jo Galay Laga K Roye 

Merey Paas Se Wo Guzray 
Mera Haal Tak Na Poocha 
Main Ye Kesey Maan Jaon 
K Wo Door Ja K Roye 

Wo Miley Jo Rastey Mein 
To Bas Itna Kehna Us Se 
Main Udaas Hoon Akela 
Merey Paas Aa K Roye.

Guzarnay ko guzar jaye gi Lekin Tumharay Baad..

Guzarnay ko guzar jaye gi Lekin Tumharay Baad..
Guzarnay ko guzar jaye gi Lekin Tumharay Baad.. 

Hum nay Zindagi jeeni nahi hai.

Usay kehna Hamain kab FarQ parta hai

Usay kehna Hamain kab FarQ parta hai
Usay kehna Hamain kab FarQ parta hai 
K hum to Shaakh se tootay howay Pattay 
BohAt Arsa hua Hum ko Raggein tak Marr Chuki Dil ki 

Koi Paon talay Roundey Jalaa kar Raakh kar daalay 
Hawa k Hath par rakh kar 
Kahin bhi Phaink day Hum ko 

Sapurd e Khaak kar dalay 
Hamain ab Yad hi kab hai 
K Hum bhi Aik Mousam thay 
Kisi Gulshan ki Zeenat thay 

Kisi Tehni ki Qismat thay 
Kai Aankhon ki Rahat thay 
Ya jeewan ki Hararat thay 
Bohat Arsa howa wo khawab Sa Mousam 

Hamaray Hath se Phisla 
Ya Shayad phir Khizaan Mousam ko Hum Apna samjh bethay 
So Uss Dinn se Kisi Mousam se ab apna 
Koi Rishta nahi banta 

Kisi ki Shakh ki bahien Hamain Pehchanti kab hain.. 
Kabhi hum un ki Dharkan thay 
Yeh Shakhein Maanti kab hain..

Kyun Wada Nahi Phir Bhi INTEZAAR Tera Hai

Kyun Wada Nahi Phir Bhi INTEZAAR Tera Hai
Kyun Wada Nahi Phir Bhi INTEZAAR Tera Hai 
Door Hone Par Bhi ETEBAAR Tera hai 

Najanay Keun Berukhi Ki TUM NE Hum Se 
Kya Hum Se Bhi ZIADA Kyun TALABGAAR Tera hai

PhooL pay aa k bethi to khud py itraana bhool gai

PhooL pay aa k bethi to khud py itraana bhool gai
PhooL pay aa k bethi to khud py itraana bhool gai 
Aisi mast hoi wo titLi Par phelana bhool gai 

Aisy khila wo phooL sa chehra PhaiLi saaray ghar mein khushboo 
Khatt ko chhupa kar parhny wali Raaz chupana bhool gai 

KaLLiyon nay har bhanwaray TitLi Say poocha hai uska naam 
Baad e Saba jis phooL k ghar say Loat k ana bhool gai

Apnay puraanay khatt Leny wo Ayi thi meray kamry mein 
Maiz pay 2 Tasveerein dekhein Khatt Lay jana bhooL gai 

Barson Baad miLay to aisi pyas bhari thi Aankhon mein 
BhooL gAya main baat batana Wo sharmana bhooL gai 

Saajan ki yaadein Bhi Khawar kin Lamhon aa jati hain 
Gori Aata goondh rahi thi Namak miLana bhooL gai.

Tuesday, 18 August 2015

Youn zindagi guzaar raha hon teray baghair..

Youn zindagi guzaar raha hon teray baghair..
Youn zindagi guzaar raha hon teray baghair.. 

Jaisy koi gunaah kiye ja raha hon main.

PhooL pay aa k bethi to khud py itraana bhool gai

PhooL pay aa k bethi to khud py itraana bhool gai
PhooL pay aa k bethi to khud py itraana bhool gai 
Aisi mast hoi wo titLi Par phelana bhool gai 

Aisy khila wo phooL sa chehra PhaiLi saaray ghar mein khushboo 
Khatt ko chhupa kar parhny wali Raaz chupana bhool gai 

KaLLiyon nay har bhanwaray TitLi Say poocha hai uska naam 
Baad e Saba jis phooL k ghar say Loat k ana bhool gai

Apnay puraanay khatt Leny wo Ayi thi meray kamry mein 
Maiz pay 2 Tasveerein dekhein Khatt Lay jana bhooL gai 

Barson Baad miLay to aisi pyas bhari thi Aankhon mein 
BhooL gAya main baat batana Wo sharmana bhooL gai 

Saajan ki yaadein Bhi Khawar kin Lamhon aa jati hain 
Gori Aata goondh rahi thi Namak miLana bhooL gai.

mujh ko shikwa hai keh tum jaate howe

mujh ko shikwa hai keh tum jaate howe
mujh ko shikwa hai keh tum jaate howe 
le gaye sath meri umer e ghuzishta ki kitaab 

is mein tau meri bohut qeemti tusweerien thein 
is mein buchpun tha mera aur mera ahed e shabab 

is ke badle mujhe tum de gaye jaate jaate 
apnay ghum ka yeh dumakta hua khoon rung golaab 

kya karoon yeh aizaz mein kyoon ker pehnoon 
mujh se le lo meri sub chaak qamizoon ka hisaab 

aakhri baar hai lo maan lo ik yeh bhi sawaal 
aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos e jawaab 

aa ke le jao tum apna yeh damukta hua phool 
mujh ko lota do meri umer e ghazishta ki kitaab

Baat niklegi to phir duur talak jaayegi..

Baat niklegi to phir duur talak jaayegi..
Baat niklegi to phir duur talak jaayegi.. 

Log bevajha udasi ka sabab puchhenge.

Baat niklegi to phir duur talak jaayegi..

Baat niklegi to phir duur talak jaayegi..
Baat niklegi to phir duur talak jaayegi.. 

Log bevajha udasi ka sabab puchhenge

Tum Zindagi Ki Wo Kami Ho..

Tum Zindagi Ki Wo Kami Ho..
Tum Zindagi Ki Wo Kami Ho..

Jo Zindagi Bhar Raho Gay..

Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy

Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy
Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy
Mujhe Khof Hai Ye Tohmat, Mere Naam Tak Na Pohanchy

Main Nazar Se Pee Raha Tha, k Ye Dil Ne Bad dua Di
Tera Haath Zindagi Bhar, Kabhi Jaam Tak Na Pohanchy

Jo Naqaab-e-Rukh Uthaya, To Ye Qaid Bhi Laga Di
Uthey Nigaah zrur Lekin, Dr-o-Baam Tak Na Pohanchy

Ye Adaa-e-Beniyazi, Tujhy Bewafa Mubarak!
Magr Aisi b, Be Rukhi Kia?
K Salam Tak Na Pohanchy

Baray Baray Daway Karna

Baray Baray Daway Karna
Baray Baray Daway Karna
Bari Bari Aazmaesho'n Ko Dawat Daita Hai

jaan-o-Dil

jaan-o-Dil
jaan-o-Dil
Hosh-o-Hwaas
sabr-o-qarar to le chukay Ho...

Aur Bhi kuch Hai Tumhain Darkaar, k Bass...!!
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...