mujh ko shikwa hai keh tum jaate howe
le gaye sath meri umer e ghuzishta ki kitaab
is mein tau meri bohut qeemti tusweerien thein
is mein buchpun tha mera aur mera ahed e shabab
is ke badle mujhe tum de gaye jaate jaate
apnay ghum ka yeh dumakta hua khoon rung golaab
kya karoon yeh aizaz mein kyoon ker pehnoon
mujh se le lo meri sub chaak qamizoon ka hisaab
aakhri baar hai lo maan lo ik yeh bhi sawaal
aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos e jawaab
aa ke le jao tum apna yeh damukta hua phool
mujh ko lota do meri umer e ghazishta ki kitaab