Do you like this story?

Tuesday, 18 August 2015

Deedaar ki havass hai na shauq-e-visaal hai,

Deedaar ki havass hai na shauq-e-visaal hai,
Deedaar ki havass hai na shauq-e-visaal hai,
Azaad har khayal se mast-e-khayal hai,
Keh do yeh kohkan se hi marna nahin kamaal,
Mar mar ke hijr-e-yaar main jeena kamaal hai,
Fatva diya hai mufti abr-e-bahaar ne,
Tauba ka khooon baada-kashon ko halaal hai,
Aankhen bata rahi hain jaage ho raat ko,
In saaghron main buu -e- sharab-e-visaal hai,
Barsaao teer mujh pe pr itna jaan lo,
Pehlu main dil hai dil main tumhara khayal hai,
Aankhen larra ke un se hum aafaat main parr gaye,
Aankhon ki har zubaan pe dil ka sawaal hai,
Buut keh diya jo mene to ab bolte nahin,
Itni si baat ka tumhe itna khayal hai,
Main daamin -e- neyaaz main ashk-e-chakida hoon,
Koi uthaaa ke dekh le uthna muhaal hai,
Poocha jo unse jaante ho tum Jaleel ko,
Bole ke haan woh shayer-e- naazuk-khayal hai

Khuda karay ke meri arz-e-pak per utre,

Khuda karay ke meri arz-e-pak per utre,
Khuda karay ke meri arz-e-pak per utre,
Wo fasl-e-gul jisse andesha-e-zawaal na ho,
Yahan jo phool khilay, khila rahe sadiyon,
Yahan khizaan ko guzarne ki bi majaal na ho,
Yahan jo sabza ugay, hamesha sabz rahe,
Aur aisa sabz key jis ki koi missaaal na ho,
Khuda karay ke na kham ho sir-e-waqar-e-watan,
Aur is ke husn ko tashweesh -e- mah-o-saal na ho,
Her aik fard ho, tehzeeb-o-fun ka oaj-e-kamaal,
Koi maalool na ho, koi hassta haal na ho,
Khuda kare ke meray aik bhi hum’watan ke liye,
Hayaat jurm na ho, zindagi wabaal na ho

Bhoolne waley ne yeh bhi na socha hoga,

Bhoolne waley ne yeh bhi na socha hoga,
Bhoolne waley ne yeh bhi na socha hoga,
Aik do din nahin barson ki shanasaayi hai.

Hum musaafir yunhi masroof-e-safar jaayen ge,

Hum musaafir yunhi masroof-e-safar jaayen ge,
Hum musaafir yunhi masroof-e-safar jaayen ge,
Be-nishaan ho gaye jab sheher to ghar jaayen ge,
Kis qadar hoga yahan mehr -o-wafa ka maatam,
Hum teri yaad se jis roz utar jaayen ge,
Jauhri band kiye jaate hain bazaar-e-sukhan,
Hum kisse bechne almaas-o-gauhar jayen ge,
Nemat-e-zeest ka yeh qarzz chukega kaise,
Laakh ghabraa ke yeh kehte hain rahen mar jaayen ge,
Shayed apna bhi koi bait hudi-khvan ban kar,
Saath jaaye ga mere yaar jidhar jaayen ge,
Faiz aate hain rah-e-ishq main jo sakht maqaam,
Aaney walon se kaho hum to guzar jaayen ge

Theher jao to nahi hai bastiyon main raasta,

Theher jao to nahi hai bastiyon main raasta,
Theher jao to nahi hai bastiyon main raasta,
Chal parro to paaniyon main raahguzar maujood hai.

Ajnabi ban ke miloon ga main tujhe mehfil main,

Ajnabi ban ke miloon ga main tujhe mehfil main,

Ajnabi ban ke miloon ga main tujhe mehfil main,
Tu ne chairri bhi to main baat badal jaaon ga

Han! Muhabbat tamam us pa hoi

Han! Muhabbat tamam us pa hoi
Ab jo hogi woh dil lagi hogi

Lab o Rukhsar chupa rakhy hain to ny hijab ma

Lab o Rukhsar chupa rakhy hain to ny hijab ma
Lab o Rukhsar chupa rakhy hain to ny hijab ma
Aankhen bta rahi hain _ _ _ _ to bandah Haseen hai

Jee to chahta hai tujhe cheer ky rakh dun ay "DIL"

Jee to chahta hai tujhe cheer ky rakh dun ay "DIL"
Jee to chahta hai tujhe cheer ky rakh dun ay "DIL"
Na wo rahy tujh mai na tu rahy mujh mai

Chal dost kisi anjan basti ma chalen

Chal dost kisi anjan basti ma chalen
Chal dost kisi anjan basti ma chalen
Is nagar mai to sabhi hum sy khafa rehty hain.

Ajab be basi ka aalam hai dil ky angan mai

Ajab be basi ka aalam hai dil ky angan mai
Ajab be basi ka aalam hai dil ky angan mai
Taras gaye hain hum tery sath guftugo ky liye

Chandni raat ky khamosh sitaron ki qasam

Chandni raat ky khamosh sitaron ki qasam
Chandni raat ky khamosh sitaron ki qasam
Dil mai ab tery siwa koi bhi abbad nahi

Mout bhi kam khubsoorat to nahi hoti hogi!

Mout bhi kam khubsoorat to nahi hoti hogi!
Mout bhi kam khubsoorat to nahi hoti hogi!
Jo bhi is sy milta hai zindagi chorr jata hai

Muhabbat mai adhore pan ka mai nahi qaail

Muhabbat mai adhore pan ka mai nahi qaail
Muhabbat mai adhore pan ka mai nahi qaail
Mujh ko chaho to meri jaan mukammal chaho.

Kumm tere zabt ki qeemat nahin karne wale,

Kumm tere zabt ki qeemat nahin karne wale,
Kumm tere zabt ki qeemat nahin karne wale,
Hum teri aankh se hijrat nahin karne wale,
Apne nazdeek mohabbat hai ibaadat ki tarah,
Hum ibaadat ki tijaarat nahin karne wale,
Yeh alag baat hai ke izhaar nahin kar sakte,
Yeh na samjho ke mohabbat nahin karne wale,
Kaatt ke phenk de sar chaahe sajaa naize pr,
Hum tere hath pe bayt nahin karne wale,
Aye haakim-e-waqt zara apne girebaan main jhaank,
Log bewajah baghaavat nahin karne wale
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...