Do you like this story?

Tuesday, 18 August 2015

Deedaar ki havass hai na shauq-e-visaal hai,

Deedaar ki havass hai na shauq-e-visaal hai,
Deedaar ki havass hai na shauq-e-visaal hai,
Azaad har khayal se mast-e-khayal hai,
Keh do yeh kohkan se hi marna nahin kamaal,
Mar mar ke hijr-e-yaar main jeena kamaal hai,
Fatva diya hai mufti abr-e-bahaar ne,
Tauba ka khooon baada-kashon ko halaal hai,
Aankhen bata rahi hain jaage ho raat ko,
In saaghron main buu -e- sharab-e-visaal hai,
Barsaao teer mujh pe pr itna jaan lo,
Pehlu main dil hai dil main tumhara khayal hai,
Aankhen larra ke un se hum aafaat main parr gaye,
Aankhon ki har zubaan pe dil ka sawaal hai,
Buut keh diya jo mene to ab bolte nahin,
Itni si baat ka tumhe itna khayal hai,
Main daamin -e- neyaaz main ashk-e-chakida hoon,
Koi uthaaa ke dekh le uthna muhaal hai,
Poocha jo unse jaante ho tum Jaleel ko,
Bole ke haan woh shayer-e- naazuk-khayal hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...