Kon kehta hai kay pani ko taraste they hussain
Un kay honton ko tarasta raha piyasa paani
Thursday, 15 October 2015
Friday, 9 October 2015
Meri Soch k Thehre Pani Me..
Meri Soch k Thehre Pani Me..
Tere NaiN Kanwal Jab HaNste haiN..
Mere Dhyaan k Ujlay AaNgaN Me..
Jab Subha Sitaray Chunti hai..
Jab ShaaM koi Sur Bunti hai..
MaiN Sochta hon in RastoN Me..
HuM Kitni dair k Baad Mile..
Jab kitne Mosam Beet gaye..
Is Karab Kathor Musafat Me..
Dil SadiuN Chakna Choor hoa..
Is Hijar k Taptya Sehra Me..
Kya ghazlen thi jo Raakh Hoi..
Kya NeendeN thi jo Khaq hoi..
Ham Kitni Dair k Bad Mile..
Kiu itni Dair k Baad Mile..
Tere NaiN Kanwal Jab HaNste haiN..
Mere Dhyaan k Ujlay AaNgaN Me..
Jab Subha Sitaray Chunti hai..
Jab ShaaM koi Sur Bunti hai..
MaiN Sochta hon in RastoN Me..
HuM Kitni dair k Baad Mile..
Jab kitne Mosam Beet gaye..
Is Karab Kathor Musafat Me..
Dil SadiuN Chakna Choor hoa..
Is Hijar k Taptya Sehra Me..
Kya ghazlen thi jo Raakh Hoi..
Kya NeendeN thi jo Khaq hoi..
Ham Kitni Dair k Bad Mile..
Kiu itni Dair k Baad Mile..
Ek Tassver Jo Kamray Me Lagai Hui Hay..
Ek Tassver Jo Kamray Me Lagai Hui Hay..
Ghar Ki Toti Hui Divar Chupai Hui Hay..
Dhol Ka Shor Qayamat Hay K Teri Barat..
Dosray Gaaon Se Is Gaaon Me Aae Hui Hay..
Ankh Par SheSha Lagaya Hay K Mehfoz Rahay..
Teri Tassver Jo Pani Me Banai Hui Hay..
Takhat Or Taaj To Paaon Me Parray Rehtay Hen..
Wo Gadai Teray Darvesh Ne Pai Hui Hay..
Qabar Par Deep Na Rakh Naam Ka Kutba Na Laga..
Hum Ne Mushkil Se Ye Tanhai Kamai Hui Hay..
Ghar Ki Toti Hui Divar Chupai Hui Hay..
Dhol Ka Shor Qayamat Hay K Teri Barat..
Dosray Gaaon Se Is Gaaon Me Aae Hui Hay..
Ankh Par SheSha Lagaya Hay K Mehfoz Rahay..
Teri Tassver Jo Pani Me Banai Hui Hay..
Takhat Or Taaj To Paaon Me Parray Rehtay Hen..
Wo Gadai Teray Darvesh Ne Pai Hui Hay..
Qabar Par Deep Na Rakh Naam Ka Kutba Na Laga..
Hum Ne Mushkil Se Ye Tanhai Kamai Hui Hay..
Ae waqt zara to tham ja Mujhe yaad KISI ko karne de..
Ae waqt zara to tham ja Mujhe yaad KISI ko karne de..
Mujhe piyar hai ik SUNG DIL se Jo koi BAAT mujhay na karne de..
Na apne PASS wo aanay de Na khud se DOOR wo janay de..
Na DIL ko apne pass rakhay Na aur kisi ka HONaY de..
Har waqt mujhe WO yaad aaye Phir DIL se ik aawaz aaye..
Ye kaisi CHAHAT hai us ki Jo JEENaY de na MARNaY day..
Mujhe piyar hai ik SUNG DIL se Jo koi BAAT mujhay na karne de..
Na apne PASS wo aanay de Na khud se DOOR wo janay de..
Na DIL ko apne pass rakhay Na aur kisi ka HONaY de..
Har waqt mujhe WO yaad aaye Phir DIL se ik aawaz aaye..
Ye kaisi CHAHAT hai us ki Jo JEENaY de na MARNaY day..
WaQt darmaan pazeer tha hi nahi..
WaQt darmaan pazeer tha hi nahi..
WaQt darmaan pazeer tha hi nahi..
DiL Lagaya tha DiL Laga Hi nahi..
Tark e uLfat hai kiss Qadar Aasan..
Aaj to Jaisy Kuch Huwa hi nahi..
Hai Kahan Moj e Saba Wo Shameem..
Jaisy To Moj e Saba Hi nahi..
Jiss say Koi khata Hoi Ho Kabhi..
Hum ko wo Aadmi MiLa Hi nahi..
Wo Bhi kitna kathin Raha Ho Ga..
Jo K Acha Bhi Tha Bura Hi Nahi..
Koi Daikhay To Mera Hujra e Zaat..
Yahan sab Hi Kuch Wo Tha Wo Tha Hi Nahi..
Aik Hi Apna MiLnay WaLa Tha..
Aisa Bichhrra K Phir MiLa Hi Nahi..
Wo waQt meri jaan Bohat door nahi hai
Wo waQt meri jaan Bohat door nahi hai
Wo waQt meri jaan Bohat door nahi hai
Jab dard say ruk jaayen gi sab zeest ki raahein
Or hadd sy guzar jaye ga Andoh Nihaani Jhukk jaayen gi tarsi hoyi nakaam nigaahein
Chhinn Jaayen gaye mujh say meray Aansu Meri Aahein
Wo waQt meri Jaan bohat door nahi hai...
Faiz Ahmad Faiz
Main saahil pey likhi howi ibaarat nahi
Main saahil pey likhi howi ibaarat nahi
Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahi
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahi
Jisey dekha aur bhula diya
Main shama nahi
Jisey phoonka aur bujha diya
Main hawa ka jhonka nahi
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahi
Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga
Khwab ibaarat hawa ki tarah
Chand boond shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyun kay Main to Mohabbat HooN
Aur Mohabbat Koi Zawaal Nahi
Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahi
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahi
Jisey dekha aur bhula diya
Main shama nahi
Jisey phoonka aur bujha diya
Main hawa ka jhonka nahi
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahi
Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga
Khwab ibaarat hawa ki tarah
Chand boond shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyun kay Main to Mohabbat HooN
Aur Mohabbat Koi Zawaal Nahi
Tumharey Baad Bass Itna Hua Hai
Tumharey Baad
Bass Itna Hua Hai
Mohabbat Pyar Bharosa Aitbar
Meri Zindagi Ki Lughatt Se
Youn Achanak Mitt Gaye
Jaisey Kabhi They Hee Nahin
Bass Itna Hua Hai
Mohabbat Pyar Bharosa Aitbar
Meri Zindagi Ki Lughatt Se
Youn Achanak Mitt Gaye
Jaisey Kabhi They Hee Nahin
Jaisay Nangay Paaon
Jaisay Nangay Paaon.
Phattay Puranay Kapr0n waaly Bachay
Apni Khaali Jaib0n ka Ehsaas liye
Dil Ko Achi lagnay waali
Mehngi Cheezen
Kisi Dukaan k Band Sheesh0n say
Pehr0n lag kar Taktay hain Na..
Main Bhi Tum ko y0un hi
Aksar Takta rehta H0on..
Phattay Puranay Kapr0n waaly Bachay
Apni Khaali Jaib0n ka Ehsaas liye
Dil Ko Achi lagnay waali
Mehngi Cheezen
Kisi Dukaan k Band Sheesh0n say
Pehr0n lag kar Taktay hain Na..
Main Bhi Tum ko y0un hi
Aksar Takta rehta H0on..
Gulon Main Rang Bhare Baad E Naubahaar Chale
Gulon Main Rang Bhare Baad E Naubahaar Chale
Chale Bhi Aao Ke Gulshan Ka Karobaar Chale
Qafas Udaas Hai Yaaro Saba Se kuch To Kaho
Kahi To Bahre Khuda Aaj Zikar E Yaar Chale
Kabhi To Subh Tere Kunj E Lab Se Ho Aaghaz
Kabhi To Shab Sar E kaakul Se Mushkbaar Chale
Bara Hai Dard ka Rishta Ye DiL Gharib Sahi
Tumhare Naam Pe Aaenge ghamgusar chale
Jo Hum Pe Guzri So Guzri Magar Shab E Hijraan
Hamare Ashk Teri Aaqbat Sanwaar Chale
Maqaam Faiz koi Raah Main jacha Hi Nah
Jo kuye Yaar Se Nikle To Suye Daar Chale..
Chale Bhi Aao Ke Gulshan Ka Karobaar Chale
Qafas Udaas Hai Yaaro Saba Se kuch To Kaho
Kahi To Bahre Khuda Aaj Zikar E Yaar Chale
Kabhi To Subh Tere Kunj E Lab Se Ho Aaghaz
Kabhi To Shab Sar E kaakul Se Mushkbaar Chale
Bara Hai Dard ka Rishta Ye DiL Gharib Sahi
Tumhare Naam Pe Aaenge ghamgusar chale
Jo Hum Pe Guzri So Guzri Magar Shab E Hijraan
Hamare Ashk Teri Aaqbat Sanwaar Chale
Maqaam Faiz koi Raah Main jacha Hi Nah
Jo kuye Yaar Se Nikle To Suye Daar Chale..
Kisi ny thek kha tha Tarp Kar Guzar JaYe Gi Yeh Raat Bhi Akhir.
Kisi ny thek kha tha Tarp Kar Guzar JaYe Gi Yeh Raat Bhi Akhir.
Tum Yaad Na Karo Gay
TU Kya Subha Na Hogi.
Tum Yaad Na Karo Gay
TU Kya Subha Na Hogi.
Mujhe ab darr nahin lagta
Mujhe ab darr nahin lagta
kisi ke door jane se
Taluq toot jane se
Kisi ke maan jaane se
Kisi ke rooth jaane se
Mujhe ab Darr nahin lagta
Kisi ko aazmane se
Kisi ke aazmane se
Kisi ko yaad rakhne se
Kisi ko bhool jaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ko chorr dene se
Kisi ke chorr jaane se
Shamma ko jalaane se
Shamma ko bhujaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Akele muskuraane se
Kabhi ansuu bahaane se
Na iss saare zamaane se
Haqeeqat se fasaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ki naa-rsaayi se
Kisi ki paa-rsaayi se
Kisi ki bewafaayi se
Kisi dukh intehaayi se
Mujhe ab darr nahin lagta
Na to iss paar rehne se
Na to uss paar rehne se
Na apni zindgaani se
Na ik din maut aane se
Mujhe ab darr nahin lagta
kisi ke door jane se
Taluq toot jane se
Kisi ke maan jaane se
Kisi ke rooth jaane se
Mujhe ab Darr nahin lagta
Kisi ko aazmane se
Kisi ke aazmane se
Kisi ko yaad rakhne se
Kisi ko bhool jaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ko chorr dene se
Kisi ke chorr jaane se
Shamma ko jalaane se
Shamma ko bhujaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Akele muskuraane se
Kabhi ansuu bahaane se
Na iss saare zamaane se
Haqeeqat se fasaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ki naa-rsaayi se
Kisi ki paa-rsaayi se
Kisi ki bewafaayi se
Kisi dukh intehaayi se
Mujhe ab darr nahin lagta
Na to iss paar rehne se
Na to uss paar rehne se
Na apni zindgaani se
Na ik din maut aane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Subscribe to:
Posts (Atom)