Main saahil pey likhi howi ibaarat nahi
Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahi
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahi
Jisey dekha aur bhula diya
Main shama nahi
Jisey phoonka aur bujha diya
Main hawa ka jhonka nahi
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahi
Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga
Khwab ibaarat hawa ki tarah
Chand boond shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyun kay Main to Mohabbat HooN
Aur Mohabbat Koi Zawaal Nahi
No comments:
Post a Comment