Do you like this story?

Thursday, 17 September 2015

Yun teri chahtain sambhaali hain,

Eid poetry, Yun teri chahtain sambhaali hain,
Yun teri chahtain sambhaali hain, 
Jese eidi ho mere bachpan ki..

Bin Saajan K Meri Eid Udaas Hai.

Eid poetry, Bin Saajan K Meri Eid Udaas Hai.
Bin Saajan K Meri Eid Udaas Hai. 
Manaoon Kaisey Main Khushi Deed Udaas Hai. 

Rasqan Hai Hontoon Pe Udaasi. 
Jo Mile Khushi Ki Wo Naveed Udaas Hai. 

Chale Bhi Aao Ab K Eid Par Tum. 
Kehte Hain Dost K Meri Gufat-O-Shuneed Udaas Hai. 

Khilte Nahi Dil K Aagan Mein Phool. 
Dil K Gulistaan Ka Khursheed Udaas Hai.

Aao Eid Pe Mil Kar Muskurain Hum. 
Tere Jaane Se Meri Eid Udaas Hai.a

Eid K Din Sab Milain Ge Apne Apne Yaar Se.

Eid poetry, Eid K Din Sab Milain Ge Apne Apne Yaar Se.
Eid K Din Sab Milain Ge Apne Apne Yaar Se. 

Hum Galy Mil Mil K Roye'n Ge Dar-0-Deewar Se

Khizaan Chhaai Hai Gulshan

Eid poetry, Khizaan Chhaai Hai Gulshan
Khizaan Chhaai Hai Gulshan 
Main Guloon Ki EId Kia Hogi. 
Kisi Naadaar K Bhooke Bachoon 
Ki EId Kia Hogi. 

Kabhi Jalta Hai Aangan Main 
Kabhi Choolha Nahi Jaltaa. 
Bataao To Bhalaa Un Be_Bason Ki EId Kia Hogi. 

Wo Khush Hain Jinke Apne EId 
Par Mojood Hain Lekin. 
Judaa Jin Se Howe Apne To Un Ki EId Kia Hogi. 

Nazar Ab Aa Gaya Hai Chaand 
Phir Bhi Khush Nahi Hain Wo. 
Siwa Mahboob K Un Aashqoon Ki EId Kia Hogi. 

Abhi Tak Muntazir Hain Chooriyaan Mahindi Bhi Kaajal Bhi. 
Nahi Pehne Gaye Un Paailon 
Ki EId Kia Hogi. 

Chali Aao Tumhari Deed 
Se To MIR Ki Har EId Hoti Hai. 
Siwaa Tere Bhala Hum Gham'zadon Ki EId Kia Hogi.

Koi Us Shakhs Ko Bas Itna Bata De..

Eid poetry, Koi Us Shakhs Ko Bas Itna Bata De..
Koi Us Shakhs Ko Bas Itna Bata De.. 

K Mera Chaand Meri Eid Usi Se Hai..

Aankh Num Kar Gaya BicHrry Huwe Logon Ka Khayaal...

Eid poetry, Aankh Num Kar Gaya BicHrry Huwe Logon Ka Khayaal...
Aankh Num Kar Gaya BicHrry Huwe Logon Ka Khayaal... 

Wo Dekho DarD-E-Dil De Kar Chali Ja Rahi Hai EiD ..

EID AAI TO

Eid poetry, EID AAI TO
Suno Jaana'N, 
Bad Tumhary Eid Aai To, 
Aaky Dareechon Sy Takrai, 
Darwazy Par Dastak Bhi Di, 

Bil'Aakhir Mayoos Gayi Hy, 
Wo Kaya Jany, 
Bad Tumhary Dil Aur Aankhein Jeety Jee, 
Taboot Mein Hum Ny Rakh Chhorry Hain,

Honton Par Likha Sunaata, 
Haathon Aur Pairon Sy Un Ki, 
Saari Shaksti Chheen Li Hum Ny, 
Eid Agar Aangan Mein Hamary, 

Jhaank Bhi Laiti To, 
Ye Sub Daikh K Dar Jana Tha, 
Us Ny Pal Mein Mar Jana Tha,

Ye Eid Bhi Aai Hai Mujhe Tanha Pa Kar Yaaro,

Eid poetry, Ye Eid Bhi Aai Hai Mujhe Tanha Pa Kar Yaaro,
Ye Eid Bhi Aai Hai Mujhe Tanha Pa Kar Yaaro, 
Eid Mubarak Kehna Hoga Sub Ko Aansoo Chhupa Kar Yaaro. 

Aai Eid Chala Wo Dil Jala Kar Yaaro, 
Kaisy Ab Ye Eid Manaoun Main Muskra Kar Yaaro. 

Din Khooshi K Bhi Hoon Tanha Kitna Main, 
Ro Parra Tanhai Ko Galy Laga Kar Yaaro.

Ki Guzri Hy Tanha Ye Zindagi, 
Ab K Eid Py Hum Zindagi Se Chaly Rishta Torr Kar Yaaro.

"Ay hasrato mein doobi Eid alvida"

Eid poetry, "Ay hasrato mein doobi Eid alvida"
"Ay hasrato mein doobi Eid alvida"

"Zinda rhy to phir dekh'en gy tery
Urooj ka mousm ".

Masoom Se Armano ki ' Masoom si Dunia..

Eid poetry, Masoom Se Armano ki ' Masoom si Dunia..

Masoom Se Armano ki ' Masoom si Dunia..

Jo Kar Gaya Barbad Ussy Bhi Ho Eid Mubarak.

Mujhe Zindagi Mein hamesha Tumahari Zarorat ho gi.

Eid poetry,    Mujhe Zindagi Mein hamesha Tumahari Zarorat ho gi.
  
 Mujhe Zindagi Mein hamesha Tumahari Zarorat ho gi.
Ye Chand Lamho Ki Nahi Umer bhar Ki Rafaqat ho gi.

Suno Tum Mere Dil Se Hargiz Mat Khelna Warna.
Phir Kisi Ko kisi Se Na Kabhi Mohabbat ho gi.

Mein Teri Yaadon Se Jab Tak Wazoo Na Kar Loon.
Mukamal Na Kabhi Meri ibadat ho gi.

Tum Ne is EiD Par Bhi Gar Apna Wada Na kiya pora.
Tujhe Apne Wadon Par Bahot Nadamat ho gi.

TeRe Kahnay Pe Lagayi Hai Yeh Mehndi Main Ne.
EiD Par Ab Na Tu Aaya To Qayamat Hogi.










Izhar-E-Yaad Karo Yaa Pochon Hal-E-Dil uska...!!!

Izhar-E-Yaad Karo Yaa Pochon Hal-E-Dil uska...!!!
Izhar-E-Yaad Karo Yaa Pochon Hal-E-Dil uska...!!!

Aaye Dil Kuch Toh Bahana Bata Unse Baat Karne Ka...!!!

Teri yadain hain mere bachpan k khilonon k jaise..

Tow line sad poetry, Teri yadain hain mere bachpan k khilonon k jaise..
Teri yadain hain mere bachpan k khilonon k jaise..

Tanha hoti hoon to unhain lay kay beth jati hoon..

Hamary Dil Ki Matt Pucho Bari Mushkil Mein Rehta Hai..

Hamary Dil Ki Matt Pucho Bari Mushkil Mein Rehta Hai..
Hamary Dil Ki Matt Pucho Bari Mushkil Mein Rehta Hai..

Hamari Jaan Ka Dushman Hamary Dil MeinRehta Hai..

Thi door manzil,, musaafton mein katti hai umr-e-shabab apni,

Thi door manzil,, musaafton mein katti hai umr-e-shabab apni,

wo pas rehta,, wo pas rkhta,, wafa nibhata,,, to kya bura tha......

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...