Do you like this story?

Showing posts with label Khizaan Chhaai Hai Gulshan. Show all posts
Showing posts with label Khizaan Chhaai Hai Gulshan. Show all posts

Thursday, 17 September 2015

Khizaan Chhaai Hai Gulshan

Eid poetry, Khizaan Chhaai Hai Gulshan
Khizaan Chhaai Hai Gulshan 
Main Guloon Ki EId Kia Hogi. 
Kisi Naadaar K Bhooke Bachoon 
Ki EId Kia Hogi. 

Kabhi Jalta Hai Aangan Main 
Kabhi Choolha Nahi Jaltaa. 
Bataao To Bhalaa Un Be_Bason Ki EId Kia Hogi. 

Wo Khush Hain Jinke Apne EId 
Par Mojood Hain Lekin. 
Judaa Jin Se Howe Apne To Un Ki EId Kia Hogi. 

Nazar Ab Aa Gaya Hai Chaand 
Phir Bhi Khush Nahi Hain Wo. 
Siwa Mahboob K Un Aashqoon Ki EId Kia Hogi. 

Abhi Tak Muntazir Hain Chooriyaan Mahindi Bhi Kaajal Bhi. 
Nahi Pehne Gaye Un Paailon 
Ki EId Kia Hogi. 

Chali Aao Tumhari Deed 
Se To MIR Ki Har EId Hoti Hai. 
Siwaa Tere Bhala Hum Gham'zadon Ki EId Kia Hogi.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...