Do you like this story?

Friday, 28 August 2015

Udhar Sy Chaand Tm Dekhou

Udhar Sy Chaand Tm Dekhou
Udhar Sy Chaand Tm Dekhou
Idhar Say Chaand Ham Dekhein
Nigahein Yun Takrain Ke Doh Diloon Ki Eid Hou Jaye.

Jawaab Deta Hoon Main Bi Kamal Ankhon Say

Jawaab Deta Hoon Main Bi Kamal Ankhon Say
Jawaab Deta Hoon Main Bi Kamal Ankhon Say

Woh Lay Kay Ataay Hain Jaab Bi Sawaal Ankhoun Mein.

Teri Yadeen December Ki Shaboon Jaisi

Teri Yadeen December Ki Shaboon Jaisi
Teri Yadeen December Ki Shaboon Jaisi
Joh Ahati Hein Toh Janaa Bhoool Jati Hain.

Muhabbat B Huti Hai Toh

Muhabbat B Huti Hai Toh
Muhabbat B Huti Hai Toh
Zarurat Kaay Paiesh E Nazar
Abb Eik Nazaar Main Lut
Janay Kah Zamanaa Nhi Rhaa?

Haal Pochti Nahi

Haal Pochti Nahi
Dunya Zinda Logo Ka
Chalae Aate Hain
Janazae Pe Barat Ki Tarahn.

Jb mulaqat na thEE tab tUo koi baat na thE..

Jb mulaqat na thEE tab tUo koi baat na thE..
Jb mulaqat na thEE tab tUo koi baat na thE..

.
Ab yeh tanhai keY din keseY guzarey jayen..

Yahn gham khawAAr nahin hai wahan azAAr nahin..

Yahn gham khawAAr nahin hai wahan azAAr nahin..
Yahn gham khawAAr nahin hai wahan azAAr nahin..

.
KiS jahan mein yeh tereY dard keY marey jayen…

Main andheroON mein nahin main toU wahan jaon ga..

Main andheroON mein nahin main toU wahan jaon ga..
Main andheroON mein nahin main toU wahan jaon ga..

.
Woh jahan sath mereY chaand sitarey jayen…!! 😀

Jeet kar toU kahin leY jaye musalsal hAm ko..

Jeet kar toU kahin leY jaye musalsal hAm ko..
Jeet kar toU kahin leY jaye musalsal hAm ko..

.
Ar hum roz teri chaah mein hAAarey jayen…!!

Marg-e-jaan nAa sahi, marg-e-mohabbat hEE sahi..

Marg-e-jaan nAa sahi, marg-e-mohabbat hEE sahi..
Marg-e-jaan nAa sahi, marg-e-mohabbat hEE sahi..

.
Zindagi kuch tUo tera qArzz utarey jayen…!!

Mein ne her lamha Khuda seY mangee hai dua…

Mein ne her lamha Khuda seY mangee hai dua…
Mein ne her lamha Khuda seY mangee hai dua…

.
Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhOOn….!!

Thursday, 27 August 2015

wasi shah ghazal,ye jo chehre se tumhen lagte hain beemar se hum

wasi shah ghazal,ye jo chehre se tumhen lagte hain beemar se hum
ye jo chehre se tumhen lagte hain beemar se hum
khob  roye  hain  lipat  kar  dar-o-deewar se  hum

yar  ki  aankh  main  nafrat  ne  hamain  qatl  kiya
kon  kehta  hai  kate  yar  ki  talwaar  se  hum

ranj  har  rang  k  jholi  main  bhare  hain  hum ne
 jab bhi guzre  hain  kisi  dard  k  bazaar  se  hum

ishq  main  hukm  adooli  bhi  hamain  ati   hai
talne  wale  to  nahi  hain  tere  inkaar   se  hum

wasi shah ghazal,Meri Aankhon Mein Aansoo Pighalta Raha ,Chand Jalta Raha

wasi shah ghazal,Meri Aankhon Mein Aansoo Pighalta Raha ,Chand Jalta Raha

Meri Aankhon Mein Aansoo Pighalta Raha ,Chand Jalta Raha
Teri Yaadon Ka Sooraj Nikalta Raha , Chand Jalta Raha

Koi Bistar Pay Shabnam Lapaitay Hoay Khawab Dekhta Raha
Koi Yaadon Mein Karwat Badalta Raha, Chand Jalta Raha

Meri Aankhon Mein Sab Saatein Jaagti Hein Abhi
Nehr Pay Tu Mein Saath Chalta Raha,Chand Jalta Raha

Mein Tau Yeh Jaanta Houn Jis Shab Tum Mujhay Chorr Kar Gaey
Aasman Say Shaula Nikalta Raha ,Chand Jalta Raha

Raat Aai Tau Kia Kia Tamashay Hoay,Tumhein Maaloom Hay
Teri Yaadon Ka Sooraj Ubalta Raha,Chand Jalta Raha

Raat Bhar Meri Palkon Ki Dehleez Par Khawab Girtay Rahay
Dil Tarrapta Raha,Haath Malta Raha,Chand Jalta Raha

Yeh December Kay Jis Mein Karri Dhoop Bhi Meethi Lagnay Lagay
Tum NahinTau December Sulagta Raha,Chand Jalta Raha

Aaj Bhi Woh Taqadas Bhari Raat Mehki Hoi Hay Wasi 
Mein Kisi Mein,Koi Mujh Mein Dhalta Raha,Chand Jalta Raha

wasi shah ghazal,kash main teray haseen hath ka kangan hota

wasi shah ghazal,kash main teray haseen hath ka kangan hota
kash main teray haseen hath ka kangan hota

tu baray piyar say chao say baray man kay sath

apni nazuk see kalaee main charhaty mujh ko

aor betaby say furqat kay khiza lamhon main

tu kisee soch main doby jo ghumaty mujh ko

main teray hath ki khushbu say mehak sa jata

jab kabhi mood main akar mujhay chuma karty

teray honton ki main hiddat say dehak sa jata

rat ko jab bhi tu nindh kay safar pay jaty

marmarin hath ka eik takiya banaya karty

main teray kan say lag kar kaii batain karta

tery zulfon ko teray gal ko chumaa karta

mujh ko betab sa rakhta tery chahat ka nasha

main tery roh kay gulshan main mehakta rehta

main teray jism kay angan main khanakta rehta

kuch nahin tu yehi benam sa bandhan hota

kash main teray hansee hath ka kangan hota

wasi shah ghazal,mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...

wasi shah ghazal,mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...

mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...
dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai...

aankhon mein chubh gayein teri yaadon ki kirchiyan...
kandhon pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai...

dil tor ke khamosh nazaron ko kiya mila...
shabnam ka ye sawal hai aur chaand raat hai...

phir titliyan si urne lagein dasht-e-khuwaab mein...
phir khuwahish-e-wisaal hai aur chaand raat hai...

campus ki nehar per hai tere haath haath mein...
mausam bhi lazawal hai aur chaand raat hai...

har aik kali ne orh liya matami libaas...
har phool per malaal hai aur chaand raat hai...

meri to por por mein khush si bas gayi...
us per tera khayal hai aur chaand raat hai...

chalka sa par raha hai 'wasi' wehshaton ka rang...
har cheez pe zawwal hai aur chaand raat hai..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...