kash main teray haseen hath ka kangan hota
tu baray piyar say chao say baray man kay sath
apni nazuk see kalaee main charhaty mujh ko
aor betaby say furqat kay khiza lamhon main
tu kisee soch main doby jo ghumaty mujh ko
main teray hath ki khushbu say mehak sa jata
jab kabhi mood main akar mujhay chuma karty
teray honton ki main hiddat say dehak sa jata
rat ko jab bhi tu nindh kay safar pay jaty
marmarin hath ka eik takiya banaya karty
main teray kan say lag kar kaii batain karta
tery zulfon ko teray gal ko chumaa karta
mujh ko betab sa rakhta tery chahat ka nasha
main tery roh kay gulshan main mehakta rehta
main teray jism kay angan main khanakta rehta
kuch nahin tu yehi benam sa bandhan hota
kash main teray hansee hath ka kangan hota