Do you like this story?

Tuesday, 18 August 2015

Woh mujh ko bhool betha hai nahi hairat huyi sun kar,

Woh mujh ko bhool betha hai nahi hairat huyi sun kar,
Woh mujh ko bhool betha hai nahi hairat huyi sun kar,
Woh aksar aaam si cheezen rakh kar bhool jata tha

Mat pooch sabar ki intihaa kahan tak hai,

Mat pooch sabar ki intihaa kahan tak hai,
Mat pooch sabar ki intihaa kahan tak hai,
Tu sitam kar le teri taaqat jahan tak hai,
Wafaa ki umeed kissi aur ko ho gi,
Humen to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai.

Phir tu ne chairr di hai gaye dinon ki baat,

Phir tu ne chairr di hai gaye dinon ki baat,
Phir tu ne chairr di hai gaye dinon ki baat,
Woh guftguu na kar ke tujhe bhi malaal ho.

Aap hi apni jafaaon pe zara ghaur karen,

Aap hi apni jafaaon pe zara ghaur karen,
Aap hi apni jafaaon pe zara ghaur karen,
Hum agar arzz karen ge to shikayet hogi.

Haadsa yeh bhi qayamat se koi kamm to nahin,

Haadsa yeh bhi qayamat se koi kamm to nahin,

Haadsa yeh bhi qayamat se koi kamm to nahin,
Tu ne jo ranjj diye bhoolte jaate hain humain.

Band mutthi se girti huyi rait ki tarah,

Band mutthi se girti huyi rait ki tarah,
Band mutthi se girti huyi rait ki tarah,
Bhulaa diya tum ne to zara zara kar ke.

Aap chairrain na wafaa ka qissa,

Aap chairrain na wafaa ka qissa,

Aap chairrain na wafaa ka qissa,
Baat main baat nikal aati hai

Raat mehfil main teri hum bhi kharre they aese,

Raat mehfil main teri hum bhi kharre they aese,

Raat mehfil main teri hum bhi kharre they aese,
Jesse tasveer laga de koi deewaar ke saath

Hum bhi kuch khush nahin wafa kar ke,

Hum bhi kuch khush nahin wafa kar ke,
Hum bhi kuch khush nahin wafa kar ke,
Tum ne achaa kiya nibaah na kiya

Tum ne uss waqt bewafayi ki,

Tum ne uss waqt bewafayi ki,
Tum ne uss waqt bewafayi ki,
Yaqeen jab akhri makaam pr tha.

Ab to kar lijiye aap samaat qissa ishq ka,

Ab to kar lijiye aap samaat qissa ishq ka,
Ab to kar lijiye aap samaat qissa ishq ka,
“aaah” tak le aaye hain hum mukhtsir karte huye.

Riwaayeton ko nibhane ka tha saleeqa us ko,

Riwaayeton ko nibhane ka tha saleeqa us ko,
Riwaayeton ko nibhane ka tha saleeqa us ko,
Woh bewafaayi bhi karta raha wafaa ke sath.

Ehsaan aesa talkhh jawab-e-wafa milaa,

Ehsaan aesa talkhh jawab-e-wafa milaa,
Ehsaan aesa talkhh jawab-e-wafa milaa,
Hum is ke baad phir koi armaan na kar sake..a

Jeevan ko dukh, dukh ko aag aur aag ko paani kehte,

Jeevan ko dukh, dukh ko aag aur aag ko paani kehte,
Jeevan ko dukh, dukh ko aag aur aag ko paani kehte,
Bache lekin soye huye they kis se kahaani kehte,
Sach kehne kaa hosla tum ne cheen liya hai warna,
Sheher mei phailli viraani ko sab viraani kehte,
Waqt guzarta jaata aur yeh zakhm harey rehte to,
Barri hifaazat se rakhi hai teri nishaani kehte,
Woh to shayed dono kaa dukh eik jaisa tha warna,
Hum bhi pathar maarte tujh ko aur deewani kehte,
Tabdeeli sachaayi hai is ko maante lekin kaise,
Aayine ko dekh ke ik tasveer puraani kehte,
Tera lehjaa apnaaya ab dil me hasrat si hai,
Apnii koi baat kabhi to apni zubaani kehte,
Chup reh kar izhaar kiya hai keh sakte to “aanis”,
Aik elaahida tarzz e sukhan ka tujh ko baani kehte

Chehre pe khushi chhaa jaati hai ankhon me suruur aa jata hai,

Chehre pe khushi chhaa jaati hai ankhon me suruur aa jata hai,
Chehre pe khushi chhaa jaati hai ankhon me suruur aa jata hai,
Jab tum mujhe apna kehte ho apne pe ghuruur aa jata hai,
Tum hussn ki khud ik duniyaa ho shayed ye tumhe maluum nahin,
Mehfil mei tumhaare aaney se har cheez pe nuur aa jata hai,
Hum paas se tum ko kya dekhen tum jab bhi muqaabil hote ho,
Betaab nigahon ke aagay pardaa sa zaruur aa jata hai,
Jab tum se mohabbat ki hum ne tab jaa ke kahin yeh raaz khula,
Marne ka saleeqa aatey hi jeenay ka shauur aa jata hai

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...