Jeevan ko dukh, dukh ko aag aur aag ko paani kehte,
Bache lekin soye huye they kis se kahaani kehte,
Sach kehne kaa hosla tum ne cheen liya hai warna,
Sheher mei phailli viraani ko sab viraani kehte,
Waqt guzarta jaata aur yeh zakhm harey rehte to,
Barri hifaazat se rakhi hai teri nishaani kehte,
Woh to shayed dono kaa dukh eik jaisa tha warna,
Hum bhi pathar maarte tujh ko aur deewani kehte,
Tabdeeli sachaayi hai is ko maante lekin kaise,
Aayine ko dekh ke ik tasveer puraani kehte,
Tera lehjaa apnaaya ab dil me hasrat si hai,
Apnii koi baat kabhi to apni zubaani kehte,
Chup reh kar izhaar kiya hai keh sakte to “aanis”,
Aik elaahida tarzz e sukhan ka tujh ko baani kehte
No comments:
Post a Comment