Wednesday, 5 August 2015
Mere naseeb ne jab mujh se intiqaam liya
Mere naseeb ne jab mujh se intiqaam liya
Kahaan kahaan teri yaadon ne dil ko thaam liya
Fiza ki aankh bhar aayi, hawa ka rang urra
Sukoot-e-shaam ne chupkay se tera naam liya
Wo main nahi tha k ik harf bhi na keh paya
Wo be'basi thi k jis ne tera salaam liya
Har ik khushi ne tere gham ki aabroo rakh li
Har ik khushi se tere gham ne intiqaam liya
Wo ma'arka tha k fateh-o-shikast bhi na mili
Wo na-murad ne kya jaane kis se kaam liya
Poet: Shaaz Tamkanat
Baksh deta hai Khuda unko
Baksh deta hai Khuda unko
Jinki kismat kharab hoti hai
Wo hargiz nahi bakshe jate hai
Jinki neeyat kharab hoti hai
Na mera ek hoga na tera lakh hoga
Na tareef teri hogi na mazak mera hoga
Gurur na kar Shah e shareer ka
Mera bhi khaak hoga tera bhi khaak hoga
Zindagi bhar branded branded karne waalo
Yaad rakhna kafan ka koi brand nahi hota
Koi ro kar dil bahlata hai
Or koi hass kar dard chupata hai
Is dard ki duniya sy guzar kyoun nhi jaty,
Is dard ki duniya sy guzar kyoun nhi jaty,
Yeh Log bhi kya Log hain mar Kyoun nhi jaty,
Hai kon zamany mein mera poochny waLa,
Nadaa'n hain jo kehty hain k ghr kyoun nhi jaty,
ShoaLay hain to kyoun in ko bharrakty nhi daikha,
Hain khaak to rahon mein bikhar kyoun nhi jaty,
Aansu bhi hain Aankhon mein duaayen bhi hain Labb par,
Bigrry huwy HaLaat sanwar kyoun nhi jatay..
Malaal Kartay Rahay Waqt K Guzarnay Ka,
Malaal Kartay Rahay Waqt K Guzarnay Ka,
Yahi To Kaam Bacha Tha Hamaaray Karnay Ka.
Hai Kaar-e-Ishq Wo Neki K Umr Bhar Ham Ko,
Sawaab Milta Rahay Ga Kisi Pe Marnay Ka.
Qareeb Gaaon Nahi, Raah Mein Bhi Chhaon Nahi,
Koi Jawaaz Nahi Hai Mere Thehrnay Ka.
Ajeeb Nasha Hai Ghyre ! Ye Hosh-Mandi Bhi,
Kisi Tarah Bhi Ye Nasha Nahi Utarnay Ka.
Poet: Kashif Ghyre
Main aik shaam jo lauta gham-e-jahaan ban kar,
Main aik shaam jo lauta gham-e-jahaan ban kar,
Bikhar k reh gaya raaho'n ki daastaan ban kar.
Main khud mein goonjta hoon ban k tera sannaata,
Mujhe na dekh meri tarha be'zabaan ban kar.
Main apne aap ka wo shor tha, tujhe pa kar,
Tujhe dara diya aawaaz-e-be-amaan ban kar.
Har aik shakhs hai afwaah aap hi apni,
Har aik shakhs ko jaanta hai har koi gumaan ban kar.
Tamaam simten palat'ti si jaan parrti hain,
Puhanch raha hoon kahaan dard-e-la'makaan ban kar.
Ye kis ko dhoond raha hoon main aik arsay se,
Khud apna hi koi bhatka huwa nishaan ban kar.
Jo khud thay apni sada ka yaqeen, wahi to hain hum,
Pahaarr jaise koi urr gaya dhuwaan ban kar.
TU kar k radd mujhe khud ko zara qubool to kar,
Kharra hoon teray liye aik imtihaan ban kar.
Khud apni baat ka dukh ban k reh na jaa, Ay Talkh
Har aik dil mein sama jaa gham-e-jahaan ban kar.
Poet: Manmohan Talkh
Raaton ko subh jaag k karna kahaan gaya
Raaton ko subh jaag k karna kahaan gaya
Aahein watan ki yaad mein bharna kahaan gaya.
Ujrray chaman mein ab bhi tamanna bahaar ki
Jo hasraton mein tha kabhi marna, kahaan gaya.
Bheja hai meri bhook ne mujh ko watan se door
Marzi se apni main kabhi warna kahaan gaya.
Sab ye samajh rahe hain yahaan main khushi se hoon
Khushiyon mein gham ka aaj bhi dharna kahaan gaya.
Jo des se gaya hai wo roya hai des ko
Kehtay thay jis ko hum kabhi apna kahaan gaya.
Jaoon palat k ab bhi ye khuwaahish to hai Khalish
Apnon se apne des mein Darna kahaan gaya.
Poet: Shafiq Khalish
Saturday, 1 August 2015
Mere naseeb ne jab mujh se intiqaam liya
Mere naseeb ne jab mujh se intiqaam liya
Kahaan kahaan teri yaadon ne dil ko thaam liya
Fiza ki aankh bhar aayi, hawa ka rang urra
Sukoot-e-shaam ne chupkay se tera naam liya
Wo main nahi tha k ik harf bhi na keh paya
Wo be'basi thi k jis ne tera salaam liya
Har ik khushi ne tere gham ki aabroo rakh li
Har ik khushi se tere gham ne intiqaam liya
Wo ma'arka tha k fateh-o-shikast bhi na mili
Wo na-murad ne kya jaane kis se kaam liya
Smile And Tears Are The Powerful Couple Of The World,
Smile And Tears Are The Powerful Couple Of The World,
Usually They Are Not Seen Together
But
When They Are Together
It is The Best Moment Of life
Baksh deta hai Khuda unko
Baksh deta hai Khuda unko
Jinki kismat kharab hoti hai
Wo hargiz nahi bakshe jate hai
Jinki neeyat kharab hoti hai
Na mera ek hoga na tera lakh hoga
Na tareef teri hogi na mazak mera hoga
Gurur na kar Shah e shareer ka
Mera bhi khaak hoga tera bhi khaak hoga
Zindagi bhar branded branded karne waalo
Yaad rakhna kafan ka koi brand nahi hota
Koi ro kar dil bahlata hai
Or koi hass kar dard chupata hai
Is dard ki duniya sy guzar kyoun nhi jaty,
Is dard ki duniya sy guzar kyoun nhi jaty,
Yeh Log bhi kya Log hain mar Kyoun nhi jaty,
Hai kon zamany mein mera poochny waLa,
Nadaa'n hain jo kehty hain k ghr kyoun nhi jaty,
ShoaLay hain to kyoun in ko bharrakty nhi daikha,
Hain khaak to rahon mein bikhar kyoun nhi jaty,
Aansu bhi hain Aankhon mein duaayen bhi hain Labb par,
Bigrry huwy HaLaat sanwar kyoun nhi jatay.
Teri yaadein Mulakaatein.
Teri yaadein Mulakaatein.
Main kaise bhoolon Chahat ki wo barsaatein.
Toohi mera dil hai Toohi meri jaan.
Kabhi to paas mere aao.
Kabhi to nazrein mujhse milao.
Kabhi to dil se dil ko milao O Jaana.
Meri jaan Palkein yon na jhukaana.
Meri jaan Mujhse door na jaana.
Meri jaan mujhko bhool na jaana.
O Jaana.
Mujhe lauta de Wo mera pyaar.
Main tera hi Deewana hoon.
Teri baatein Kabhi main bhool na paon..
Toohi Mera dil hai Toohi meri jaan.
yaara Kyun khafa ho mujhse.
O yaara kyun juda ho mujhse.
O yaara mera pyaar hai tujhse.
O Jaana.
Tere bin Dillagi hai adhoori.
Tere bin Aashiqi hai adhoori.
Mujhe milna hai tujhse zaroori O Jaana.
Mujhe lauta de wo Mera pyaar.
Mujhe lauta de wo Mera pyaar
Socha tha K kisi se Piyar Na karain gy hum,
Socha tha K kisi se Piyar Na karain gy hum,
badal gaya Irada tujhy Dekhny k baad..
Chain se So jati The Ma In Sohani Ratoun mein,
Neendain Urh gyi Meri Tujhy dekhny k Baad..
Bohat Naaz tha Chand ko Apni Chandni Par,
Chup gaya Badloun mein wo B tujhy dekhny K Baad..
Kya banao rishta teri zaat k sath,
Uth Rahy hyn Sawal tujhy dekhny K Baad..
Apny Chehry ko Chupa k Rkho Khuda k Wasty,
Dil ho Jata hy Be Qabu tujhy Dekhny k Bad
Subscribe to:
Posts (Atom)