Do you like this story?

Friday, 31 July 2015

Tumhe'n kya yaad Hai'n V0 pal,

Tumhe'n kya yaad Hai'n V0 pal,
Tumhe'n kya yaad Hai'n V0 pal, 

M0haßßat ke Hasee'n Lamhe, 

Hasee'n Tar0'n ßhari Rate'n 

V0 Pyaari Pyaar ki ßaate'n 

V0 Dil 0r jaan ki ßaate'n 

Mujhe suß yaad Hai'n Aß ßhi 

ß0hat Anm0ol the V0 pal 

kaßhi ßhula Nahi sakte 

Na jaane kya khataae'n Thi'n 

Na jaane kya Galat fehmi 

Hame'n Aß Dard Deti hai 

Ye D0ori 0r ye tanhai 

ßata0 

kya kare'n Aß Hum 

Hame'n ye Dard sehna hai 

kissi ke hijjar Mai'n Mujh k0 

Har pal tarapna hai 

Magr Hum Aß ßhi kehte hai'n 

V0 Hamare Dil Mai'n Rehte hai'n 

Hame'n t0 yaad hai suß kuch 

V0 ßaat karna 

V0 Yaad karna 

V0 piyaar karna 

kaßhi ßhula Nahi sakte 

Tumhe'n ßhi yaad hai suß kuch 

Yaa 
suß kuch ßh0ol ßaithe H0 

Magar suß yaad hai hum k0 

kaßhi ßhula Nahi sakte 

Tumhare ßin Mere Hum Dum 

Magar Hum Ji Nahi sakte..

Apny Dil ko Sambhalo or so jao

Apny Dil ko Sambhalo or so jao
Apny Dil ko Sambhalo or so jao 

Anso Ankhon me chupa lo or so jao 

Kuch nhi Milta ishq me siway is k 

Ghum ki Barish me Naha lo or so jao 

Chor Do ye Ratoo ko Dair tk Jagna 

uski yaad Dil sy Mita lo or so jao 

Ishq me Hamesha 
Be-wafai hi Hoti hy 

Ye Baat Zehan me Bitha lo or so jao-

Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi.

Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi.
Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi. 

Khuwabon Ki Duniya Apni Us Se Hi Saja Di Thi. 

Chaha Tha Us Ko Hum Ne Khud Se Bhi Bohat Barh Kar. 

Us Chahat Mein Hum Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi. 

Maloom Nahi Tha Hum Ko Woh Bewafa Bhi Hoga. 

Us Per Bharosa Karke Khud Ko Hi Saza Di Thi. 

Socha Tha Sath Mil Ke Kaatenge Zindagi Ko. 

Us Ne To Ek Pal Main Har Baat Bhula Di Thi. 

Kaisa Sitam Hai Dekho Woh Kab Se Judda Hai Mujh Se. 

Apni Zindagi Jis Ka Saya Sa Bana Di Thi. 

Kiya Tha Us Per Bharosa Kyun Had Se Barh Kar. 

Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi.

Humein Ab Kho K Kehta Hy

Humein Ab Kho K Kehta Hy
Humein Ab Kho K Kehta Hy 
Mujhe Tum Yaad Aaty Ho, 

Kisi Ka Ho K Kehta Hy 
Mujhe Tum Yaad Aaty Ho,, 

Samundar Tha To Zor-O-Shor Sy Lehrein Bahata Tha,,, 

Ab Qatra Ho K Kehta Hy 
Mujhe Tum Yaad Aaty Ho,,, 

Bayaan Krty Jo HaaL-E-DiL To Yun Hi Muskura Deta, 

Wohi ab Ro K Kehta Hy 
Mujhe Tum Yaad Aaty Ho.

Tumhari Yaad Bhi Jaana Kisi Muflis Ki Poonji Hai.

Tumhari Yaad Bhi Jaana Kisi Muflis Ki Poonji Hai.
Tumhari Yaad Bhi Jaana Kisi Muflis Ki Poonji Hai. 


Jisay Hum Saath Rakhtay Hain Jisay Hum Roz Gintay Hain.

Muhabbat Rog Hay Jaana.

Muhabbat Rog Hay Jaana.
Muhabbat Rog Hay Jaana.
Ajab Sanjog Hay Jaana.
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana.
Baray Borhay Btatay Thy.
Kayi Qissay Sunatay Thy.
Magar Hum Mantay Kab Thy.
Yeh Sab Kuch Jantay Kab Thy.
Yeh Baatein Zikr k Qabil Bhala Gardantay Kab Thy.

Ana k Takht Par Baithy Humein Maloom Hi Kab Tha. 
Ana k Takht Se Ooper Bohat Sari Bulandi Par.
Kahin Pariyon k Jhurmat Me.
Tery Pairoon Ki Payel Me.
Tery Chotay Se Gaaon Mei.
Ghani Zulfoon Ki Chaaon Mei.
Sitaray Chaand Sooraj Walehana Raqs Kartay Hain.

Humein Maloom Hi Kab Tha.
Tery Qadmon Ki Aahat Par.
Gulabi Muskurahat Par.
Tery Hontoon Ki Jumbash Par.
Tery Sir k Isharay Par.
Sada-e-DilBrana Par. Nigah-e-Qatilana Par.
Jafa-e-Mehrmana Par.
Ada-e-Kafirana Par. Chaman k Phool Saray Iss Tarah Se Dhayan Detay Hain.

Zara Se Wasl k Jhansey Mein Apni Jaan Detay Hain.

Humein Kab ILM Tha Jaana.
Tery Pekar Se Dhul kar Chandani Har Soo Bikharti Hay. 
Shab-e-Mahtab Ki Doshezgi Kaisy Nikharti Hay.

Teri Payel Ki Chan Chan Mann Mein Kya Ghanti Bajati Hay.
Teri Awaz Veerany Mein Kya Jadu Jagati Hay.
Tery Naghmay Fiza Mein Kis Tarah Jal Tarang Bajaty Hain.

Bohat Pukhta Iraday Kis Tarah Se Toot Jatay Hain.

Humein Idraak Hi Kab Tha.
Humein Kamil Bharosa Tha. Hamary Sath Kisi Surat Bhi Aisa Nahi Ho Ga.
Dil-e-Nadaan Kabhi Qaboo Se BeQaboo Nahi Ho Ga.

Magar Phir Yun Huwa Jaana.
Na Janay Kiun Huwa Jaana.
Bara Afsoon Huwa Jaana.
Jigar Ka Khoon Huwa Jaana.

Tery Abroo Ki Ik Jumbash Se Ghayel Ho Gaye Hum b.

Baray Be Multafit Phirtay Thy Maayel Ho Gaye Hum b.

Sakhawat Karnay Aye Thy Aur Saayel Ho Gaye Hum b.

Baray Borhoon Ki In Baaton k Qaayel Ho Gaye Hum b.

Muhabbat Rog Hay Jaana.
Ajab Sanjog Hay Jaana.
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana

Teri yaadein Mulakaatein.

Teri yaadein Mulakaatein.
Teri yaadein Mulakaatein. 
Main kaise bhoolon Chahat ki wo barsaatein. 

Toohi mera dil hai Toohi meri jaan. 

Kabhi to paas mere aao. 
Kabhi to nazrein mujhse milao. 
Kabhi to dil se dil ko milao O Jaana. 

Meri jaan Palkein yon na jhukaana. 
Meri jaan Mujhse door na jaana. 
Meri jaan mujhko bhool na jaana. 
O Jaana. 

Mujhe lauta de Wo mera pyaar. 

Main tera hi Deewana hoon. 
Teri baatein Kabhi main bhool na paon.. 

Toohi Mera dil hai Toohi meri jaan. 

yaara Kyun khafa ho mujhse. 
O yaara kyun juda ho mujhse. 
O yaara mera pyaar hai tujhse. 
O Jaana. 

Tere bin Dillagi hai adhoori. 
Tere bin Aashiqi hai adhoori. 
Mujhe milna hai tujhse zaroori O Jaana. 

Mujhe lauta de wo Mera pyaar. 
Mujhe lauta de wo Mera pyaar.

Wednesday, 22 July 2015

Shabnam ke aansoo phool par ye toh wahi qissa hua,

Shabnam ke aansoo phool par ye toh wahi qissa hua,
Shabnam ke aansoo phool par ye toh wahi qissa hua,
aankhen meri bheegi hui chehra tera utra hua.

Ab in dinon meri ghazal khushboo ki ek tasveer hai,
har lafz ghunche ki tarah khil kar tera chehra hua.

Shayad usey bhi le gaye achchhe dinon ke qaafile,
is bagh mein ek phool tha teri tarah hansta hua.

Har cheez hai bazaar mein is haath de us haath le,
izzat gayi, shohrat gayi, rushwa hue, charcha hua.

Mandir gaye, masjid gaye, peeron faqeeron se mile,
ek us ko paane ke liye kya kya kiya, kya kya hua.

Anmol moti pyar ke duniya chura kar le gayi,
dil ki haveli mein koi darwaza tha toota hua.

Barsaat mein deewar-o-dar ki saari tahreeren mitin,
dhoya bahut mita nahin taqdeer ka likha hua. !!

Saja kar apni hi aankh hazaar chehron pe,

Saja kar apni hi aankh hazaar chehron pe,
Saja kar apni hi aankh hazaar chehron pe,
kiya hai maine sadaa aitbaar chehron pe.
Main teri bazm mein kis kis se dushmani leta?
likha tha naam tera be’shumaar chehron pe 

tu baDe pyar se baDe chaao se baDe armaan ke saath

tu baDe pyar se baDe chaao se baDe armaan ke saath
tu baDe pyar se baDe chaao se baDe armaan ke saath
apani naazuk si kalayee mein chaDhati mujh ko
aur betaabi se furqat ke KhizaaN lamhon mein
tu kisi soch mein Doobi jo ghumatii mujh ko
main tere haath ki Khushbu se mahak saa jata
jab kabhi mooD mein aa kar mujhe chuma karti
tere honTon ki shiddat se main dahak saa jata
raat ko jab bhi tu neendon ke safar par jati
marmari haath kaa ik takiya banaya karti
main tere kaan se lag kar kai baaten karta
teri zulfon ko tere gaal ko chumaa karta
jab bhi tu band qabaa kholne lagati jaanaaN
apani aankhon ko tere husn se kheraa karta
mujh ko betaab saa rakhta teri chaahat kaa nashaa
main teri rooh ke gulshan mein mahakata rahta
main tere jism ke aangan mein khanakata rahta
kuchh nahi to yahi benaam saa bandhan hota

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho
Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho

Najane Phir Wo Mera Ghumgusar Ho K Na Ho

Yehi Buhat Hy K Ek Shakhs Chain Pa Jaey

Bhale Darkht Buhat Saya Dar Ho K Na Ho.. !

Isi Gumaan Ne Kbhi Lotne Diya Na Mujhy

Najane Usko Mera Intzar Ho K Na Ho

Magr Ye Tyy Hai K Me Uske Gum Men Rehta Hun

Mere Liye Wo Bhale BeQrar Ho K Na Ho

Me Dhop Ban Nhi Sakta ‘WASI’Kisi K Liye

Mere Liye Koi Abr E Bahar Ho K Na Ho.

Tum ne kaha tha,

Tum ne kaha tha,
Tum ne kaha tha,
Pehli barish ke parte hi,
Laut aao ge..!!
Hum aur tum mil kar bheegain ge,
Dekho jana..!!
Kitni phua’rain beet chuki hain,
Saawan phir se laut ke aaya hai,
Barson pehle kiya tha tum ne,
Mujh se ehad,
Nibhaa jao na,
Janaan! Laut ke aajao naa,
Ab to laut ke aajao naa..

Ab koi yaar hai na baili hai,

Ab koi yaar hai na baili hai,
Ab koi yaar hai na baili hai,
Zindagi dard ki saheli hai,

Uthne joga nahin hai tere baad,
Dil ne takleef aesi jhaili hai,

Sham se is liye mohabbat hai,
Teri yadon ke sath kheli hai,

Muztarib kyon na hoon shab-e-hijran,
Dard ki gaud mein akeli hai,

Koi batlaye khawab ka mafhoom,
Raat hai, saamp hai, chambeli hai,

In lakeeron mein tu nahin to Wasi,
Kitni veeran yeh hatheli hai.

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete

hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete

wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete

tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete

tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete

samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete

Dil Ki Cho'khaat Pe Jo Ak Deep Jala Rakha Hai

Dil Ki Cho'khaat Pe Jo Ak Deep Jala Rakha Hai
Dil Ki Cho'khaat Pe Jo Ak Deep Jala Rakha Hai
Tere Loot Anay Ka Emkaan Saja Rakha Hai

Sans Taak Bhi Nahi Laite Tujhai Sochte Hoyee
Hum Ne Is Kaam Ko Bhi Kaal Pe uTha Rakha Hai

Rooth Jate Ho To Kuch Or Haseen Lagte Ho
Hum Ne Ye Soch K Hee Tum Ko Khafa Rakha Hai

Tum Jesi Rootha Howa Choor Gayee Thay Ak Din
Hum Ne Us Shaam Ko Seenay Say Laga Rakha Hai

Chein Laine Nahi Daite Ye Kisi Toor Mujhai
Teri Yadoon Ne Jo Tufaan Utha Rakha Hai

Janay Walay Ne Kaha Tha K Wo Loote Ga Zaror
Ak Isee Aass Pee Darwaza Khula Rakha Hai

Tere Janay Say Jo k Dhol Uthee Thi Ghaam Ki
Hum Ne Us Dhool Ko Ankhon Main Basa Rakha Hai

Mujh Ko Kal Shaam Say Wo Yaad Bohut Ane Lagay
Dil Ne Mud'dat Say Jo Ak Shaks Bhula Rakha Hai

Akhri Bar Jo Ayaa Tha Mere Naam
Main Ne Us Khaat Ko Kaalejay Say Laga Rakha Hai.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...