Jis aaghosh-e-Nakheel ko tum ne qaid-e-tanhai samjha
woh qila junoon-e-fitrat se banaya tha mein ne
Ek Dunya hasraton ki wahan bhi basti thi
Bas tum ko Nigah-e-Mukhalif se chupaya tha mein ne
Bari azaad uraan bhartay ho mauje-e-saba mein
par ehsaas-e-qurbat ko kuch dur paya tha mein ne
Jin rangon ko tum ne tabbasum ka zarya samjha,
Jazbaat k un teelon ko khud he giraya tha mein ne
Kuch keh denay ki dastaras tu hasil nahi,
bas ek bhara hua dil basaya tha mein ne