Ho Jaaye Us Parinday Ko Aanay Mein Dair Par
Aaye Ga Wo Zaroor Iss Ujrri Mundair Par.
Awraaq-e-Radd Shuda Pe Wo Likhti Rahein "Alif",
Kuch Bachiyaa'n Jo Bethi Theen Kachray K Dhair Par.
Kya Jaaniye K Kis Ka Usay Intizaar Hai,
Betha Hai Kab Say Aik Parinda Mundair Par.
Wahshi Qabeelay K Kisi Sardaar Ki Tarah,
Ho Kar Sawaar Aana Parra Mujh ko Sher Par.
TU Mat Gumaan Kar K Nahi Tujh Say Barrh K Aur,
Hota Hai Bal-Zaroor Sawaa Ser, Ser Par.
Sahir ! Main Ik Nigaah Mein Qurbaan Ho Gaya,
Us Nau Shagufta Chehray Ki Ujli Sawair Par.
Poet: Pervaiz Sahir