Do you like this story?

Showing posts with label Chahat poetry. Show all posts
Showing posts with label Chahat poetry. Show all posts

Monday 7 September 2015

Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha;

Chahat poetry, Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha;
Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha;
Wo Rang Rang Mein Utraa, Kiran Kiran Mein Raha..

Wo Naam Haasil-e-Fun Ho Ke Mere Fun Mein Raha;
Ke Rooh Ban Ke Meri Soch Ke Badan Mein Raha..

Sakoon-e-Dil Ke Lye Mein Kahan Kahan Na Gayi;
Magar Ye Dil, Ke Sadaa Oski Anjuman Mein Raha..

Wo Sheher Waalon Ke Aagay Kaheen Mohazzib Tha;
Wo Ek Shakhs Jo Sheheron Se Door Ban Mein Raha..

Charaagh Bujhtay Rahay Aur Khwaab Jaltay Rahay;
Ajeeb Tarz Ka Mausam Mere Watan Mein Raha !!

Pyaar Me Log Bahut Mazboot

Chahat poetry, Pyaar Me Log Bahut Mazboot

Pyaar Me Log Bahut Mazboot
Ho Jate
Hai
or Bahut Kamzor Bhi....?
.
.
Mazbut Itne Ki
Duniya Se Lad Jate Hai
.
.
Kamzor Itne Sirf Ek Insan Bina
Reh Nahi Pate..

Ijaazat maang kar jo DIL me aana chahe ...

Chahat poetry, Ijaazat maang kar jo DIL me aana chahe ...,
Ijaazat maang kar jo DIL me aana chahe ...
use pyar nahi kehte.

pyar to use kehte hain jo na chahte huwe
bhi DIL me aa jaye..

Kathan hai rah-guzar thori door saath chalo..

Chahat poetry, Kathan hai rah-guzar thori door saath chalo..


 Kathan hai rah-guzar thori door saath chalo..
buhat kara he safar thori door saath chalo..

tamaam umr kahan saath deta hai..??..
ye jaanta hoon magar thori door saath chalo..

nashe main choor hoon main b, tumhain bhi hosh nhi..
bara maza ho agar thori door saath chalo..

ye aik shab ki mulaqaat bhi ghanimat hai..
kise hai kal ki khabar thori door saath chalo..

abhi to door hain chirag raaho'n k !!!..
abhi hai door sehar thori door saath chalo..

tawaaf-e-manzil-e-janaa'n hamain bhi karna hai..
Faraz tum bhi agar thori door saath chalo..





Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...