Tuesday, 29 September 2015
Mahndi Apne Hathon Me Saja Kar Baray Naaz Se.
Mahndi Apne Hathon Me Saja Kar Baray Naaz Se.
Intizar Kare Gi Wo Kisi Gair Ki Baraat Ka.
Dard O Sitam Me Tashnagi Us Raat Barhay Gi,
Raqeebo Ko Tu Bay-Sabri Se Intizar Hoga Us Raat Ka.
Apni Khushyan Apne Seene Me Dafan Kar K,
Shab-E-Firaag Me Ham Maatum Manaye Gay Us Raat Ka.
Mere Dil Ki Tarap Koi Na Sunay Us Raat Ko,

Wo Jo Log Thay Meray Humsafar..
Wo Jo Log Thay Meray Humsafar..
Meri Zaat Ka Jo Nikhaar Thay..
Wo Jo Shab o Roz Meri Chah Thay..
Wo Jo Lamha Bhar Ka Waqar Thay..
Na Wo Log Hain Meray Pas Ab..
Na Nikhaar Hai Meri Zaat Mein..
Na Wo Shab o Roz Ki Chah Hai..
Na Wo Lamha Bhar Ka Waqar Hai..
Bus Zindagi Hai BeNaam Si..
Kabi Subh Si Kabi Shaam Si..
Meri Zaat Ka Jo Nikhaar Thay..
Wo Jo Shab o Roz Meri Chah Thay..
Wo Jo Lamha Bhar Ka Waqar Thay..
Na Wo Log Hain Meray Pas Ab..
Na Nikhaar Hai Meri Zaat Mein..
Na Wo Shab o Roz Ki Chah Hai..
Na Wo Lamha Bhar Ka Waqar Hai..
Bus Zindagi Hai BeNaam Si..
Kabi Subh Si Kabi Shaam Si..
Daagh dunya ne diye zakham zamaanay se milay..
Daagh dunya ne diye zakham zamaanay se milay..
Hum ko tuhfay ye tumhen dost bananay se mile..
Hum tarastay hi tarrastay hi tarastay hi rahay..
Wo falaanay se falaanay se falaanay say milay..
Khud se mil jatay tu chaahat ka bharam reh jata..
Kya milay aap jo logon k milaanay se milay..
Kabhi likhwanay gaye khatt kabhi parhwaye gaye khatt..
Hum hasinon se isi heelay bahaanay se milay..
Ik naya zakhm mila aik nayi umar mili..
Jab kisi sheher me kuch yaar puranay se milay..
Aik ham hi nahi phirrtay hain liye qissa e gham..
Un k khamosh Labbon par bhi fasaanay se milay..
Kaisay manayen k unhen bhol gaya to ae kaif..
Un k khatt aaj hamen tere sarhaanay se milay..
pOet Kaif Bhopali

Har sham kehtay ho kal sham milen gay..
Q ati nai wo sham jis sham milen gay..
Youn acha nai lagta yeh shamon ka badalna..
Kal sham b kaha tha k kal sham milen gay..
Ati ha jo milnay ki garhi kartay ho bahana..
Youn milna acha nai kisi kam say milen gay..
Yeh rah e muhabat hai yahan chalna aasan nai..
Ungli b uthay gi yahan ilzam b lagay gay..
Mumkin nai shamon k abhi milna jo hamara..
Hum dono k yak ja to b nam milen gay..
Umeed hai wo din ayen gay..
Subho sham milen gay saray aam milen gay..Har sham kehtay ho kal sham milen gay..
Q ati nai wo sham jis sham milen gay..
Youn acha nai lagta yeh shamon ka badalna..
Kal sham b kaha tha k kal sham milen gay..
Ati ha jo milnay ki garhi kartay ho bahana..
Youn milna acha nai kisi kam say milen gay..
Yeh rah e muhabat hai yahan chalna aasan nai..
Ungli b uthay gi yahan ilzam b lagay gay..
Mumkin nai shamon k abhi milna jo hamara..
Hum dono k yak ja to b nam milen gay..
Umeed hai wo din ayen gay..
Subho sham milen gay saray aam milen gay..
Aainay Per Kabhi Kitaab Mein Hain
Aainay Per Kabhi Kitaab Mein Hain
Oski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain
Thaktay Phirtay Hain Dhoop Mein Bachay
Titliaan Saaya e Gulaab Mein Hain
Ek Kachay Gharay Ki Jurrat Per
Kitni Tugyaaniaan Chanaab Mein Hain
Wo Abhi Tak Hai RuBaru Apnay.
Hum Abhi Tak Hisaar e Khwaab Mein Hain
Oski Aadat Hai Roothna Mohsin
Loog BeWaja Iztaraab Mein Hain
Mere Hathon Main Apne Naam Ki Lakeer Dekhna
Mere Hathon Main Apne Naam Ki Lakeer Dekhna
Meri Ankhon Main Apne Husn Ki Tasveer Dekhna
Kya They Or Kya Bna Dia Teri Ulfat Ne
Kese Ban Gaye Hain Tere Pyar Mein Faqeer Dekhna
Bohat Naaz Hy Na Tujay Apni Husn ki Dolat Per Dost
Mere Paas B Hay Zakhmon Ki Jageer Dekhna
Mere Ho Or Mere Hi Reho Ge Hamesha
Rang Laaye Gi Sachey Pyar Ki Taseer Dekhna
Bohat Zulm Sahey Hain Teri Judai K Ham Ne.
Sada Ek Jesi Nhi Rehti Taqdeer Dekhna.

Kuch Bhi To Nahi Waisa
Kuch Bhi To Nahi Waisa
Jaisa Tujhe Socha Tha
Jitna Tujhe Chaha Tha
Socha Tha Tere Lab Per
Kuch Harf Duaon K
Kuch Phool Wafaon K
Mehkein Gay Meri Khatir
Kuch Bhi To Nahi Waisa
Jaisa Tujhe Socha Tha
Mehsoos Yeh Hota Hai
Dukh Jheelay Thay Jo Ab Tak
BeNaam Musaafat Mein
Likhnay Ki Mohabbat Mein
Parhnay Ki Zaroorat Mein
BeSood Riyazat Thi
BeFaiz Ibaadat Thi
Jo Khawaab Bhi Dekhay Thay
In Jaagti Aankhon Nay
Sab Khaam Khayali Thi
Phir Bhi Tujhe Paanay Ki
Dil Ke Kisi Goshay Mein
Khuwahish To Bacha Li Thi
Lekin Tujhe Paa Kar Bhi
Aur Khud Ko Ganwa Kar Bhi
Iss Habs K Mausam Ki
Khirki Say Hawa Aai
Na Phool Say Khushbo Ki
Koi Bhi Sadaa Aai
Ab Neend Hai Aankhon Mein
Na Dil Main Wo Pehli Si
Taaza Sukhan Aarai
Na Lafz Mere Niklay
Na Harf o Maani Ki
Danish Mere Kaam Aai
Na deeda Rafaaqat Mein
Jitni Bhi Aziyyat Thi
Sab Mere Hi Naam Aai
Kuch Bhi To Nahi Wesa
Jesa Tujhe Socha Tha
Jitna Tujhe Chaha Tha..
Jaisa Tujhe Socha Tha
Jitna Tujhe Chaha Tha
Socha Tha Tere Lab Per
Kuch Harf Duaon K
Kuch Phool Wafaon K
Mehkein Gay Meri Khatir
Kuch Bhi To Nahi Waisa
Jaisa Tujhe Socha Tha
Mehsoos Yeh Hota Hai
Dukh Jheelay Thay Jo Ab Tak
BeNaam Musaafat Mein
Likhnay Ki Mohabbat Mein
Parhnay Ki Zaroorat Mein
BeSood Riyazat Thi
BeFaiz Ibaadat Thi
Jo Khawaab Bhi Dekhay Thay
In Jaagti Aankhon Nay
Sab Khaam Khayali Thi
Phir Bhi Tujhe Paanay Ki
Dil Ke Kisi Goshay Mein
Khuwahish To Bacha Li Thi
Lekin Tujhe Paa Kar Bhi
Aur Khud Ko Ganwa Kar Bhi
Iss Habs K Mausam Ki
Khirki Say Hawa Aai
Na Phool Say Khushbo Ki
Koi Bhi Sadaa Aai
Ab Neend Hai Aankhon Mein
Na Dil Main Wo Pehli Si
Taaza Sukhan Aarai
Na Lafz Mere Niklay
Na Harf o Maani Ki
Danish Mere Kaam Aai
Na deeda Rafaaqat Mein
Jitni Bhi Aziyyat Thi
Sab Mere Hi Naam Aai
Kuch Bhi To Nahi Wesa
Jesa Tujhe Socha Tha
Jitna Tujhe Chaha Tha..
Sunday, 20 September 2015
Zindagi Me Hamesha
*>---Zindagi Me Hamesha Apne Chahne Walo Ko Apni Kami Mehsus Karvao,
Magr,
Ye Duri Itni Lmbi Na Kro K Koi Tmhare Bagair Jena Sekh Le.
*>---"Jab Apko Kisi Ka Sms Mily
To Yeh Mat Socho K Uska Sms Free Hoga Esi Liye Msg Kia Hy,
"Balke Socho K
Usne Apni ZinDgi Key kuch qeemti Lamhe Apko Yaad Karne Me Guzar Diye!
*>---"Koshish karo k Zindgi" ka Har Lamha apni tarf say hr kisi k sath Achay Say Acha Guzaro"
Q k
Zindgi" Nahi Rehti par Achi Yaadain" Hamesha" Zinda Rehti Hein
Khawahishen Be'Lagaam Matt Karna
Khawahishen Be'Lagaam Matt Karna
Rizq Apna Haram Matt Karna,
Be'Wafa K Qareeb Matt Jana
Bud'Zubaan Sy Kalam Matt Karna,
Doston Ko Khuloos Sy Milna
Gharz Rakh K Salaam Matt Karna,
Dekhna Ishq Main Kabhi Apni
Zindagani Ghulam Matt Karna,
Toot Jaein Talluqaat Agr
Raaz Ki Baat Aam Matt Karna,
Kisi K Dil Main Rehna To Umar Bhar Rehna
Aik Do Din Qayaam Matt Karna.
Subscribe to:
Posts (Atom)