Hijr ke mausam main yeh barish ka barassna kaisa,
Aik sehraa se samandar ke guzarna kaisa,
Aye mere dil na pareshaan ho tanhaa ho kar,
Woh tere saath chala kab tha, bicharrna kaisa,
Log to kehte hain gulshan ki tabaahi dekho,
Main to veeraan sa jungle tha, ujarrna kaisa,
Dekhne main to koi dard nahin dukh bhi nahin,
Phir yeh aankhon main asshkon ka ubharna kaisa,
Bewafa kehne ki jurat bhi na karna,
Uss ne iqraar kiya kab tha, to mukarna kaisa
No comments:
Post a Comment