Khulay Gi Us Nazar Pe Chashm E Tar Aahista Aahista,
Kia Jata Hai Pani Me Safar Aahista Aahista.
Koi Zanjeer Phir Wapis Wahin Par Le K Aati Hai,
Kathin Ho Raah Tu Choota Hai Ghar Aahista Aahista.
Badal Dena Hai Rasta Ya Kahin Par Beth Jana Hai,
K Thakta Jaa Raha Hai Humsafar Aahista Aahista.
Kallish K Sath Is Dil Se Na Meri Jaan Nikal Jaye,
Khinche Teer-E-Shanasai Magar Aahista Aahista.
Hawa Se Sar-Kashi Me Phool Ka Apna Ziyaan Dekha,
So Jhukta Ja Raha Hai Ab Sar Aahista Aahista.
Poet:
Parveen Shakir

No comments:
Post a Comment