Do you like this story?

Friday, 19 June 2015

Dekha palat k usne k hasrat usey b thi by Wasi Shah

Dekha palat k usne k hasrat usey b thi by Wasi Shah

Dekha palat k usne k hasrat usey b thi by Wasi Shah
Dekha palat k usne k hasrat usey b thi by Wasi Shah
Dekha palat k usne k hasrat usey b thi
Hum jis par mit gaye they mohabbat usey b thi,

Chup ho gya tha dekh kar wo b idhar udhar
Dunya se meri tarha shikayat usey b thi,

Ye soch kar andhere galey se laga liye
Raaton ko jagne ki adat usey b thi,

Wo ro diya tha mujh ko pareshaan dekh kar
Us din hala'n k meri zarurat usey b thi,

Un pathron k sath nibhani pari usey Wasi
Jin se faqat mujhe nahi nafrat usey b thi.

ACha Huwa Jo Dhund ParNey Lagii Hai..

ACha Huwa Jo Dhund ParNey Lagii Hai..
ACha Huwa Jo Dhund ParNey Lagii Hai.. 

WarNa Do0r Tak tumhari Raahein TakTi Thi Aaankhein..

MeRey 0r Us K Darmiyaan Nikla,,

MeRey 0r Us K Darmiyaan Nikla,,
MeRey 0r Us K Darmiyaan Nikla,,

UMarr Bhar Ki Judaai Ka RiShtaa...

Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy


Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy
Gham-e-Ashqi Se Keh Do, Rah-e-Aam Tak Na Pohanchy
Mujhe Khof Hai Ye Tohmat, Mere Naam Tak Na Pohanchy

Main Nazar Se Pee Raha Tha, k Ye Dil Ne Bad dua Di
Tera Haath Zindagi Bhar, Kabhi Jaam Tak Na Pohanchy

Jo Naqaab-e-Rukh Uthaya, To Ye Qaid Bhi Laga Di
Uthey Nigaah zrur Lekin, Dr-o-Baam Tak Na Pohanchy

Ye Adaa-e-Beniyazi, Tujhy Bewafa Mubarak!
Magr Aisi b, Be Rukhi Kia?
K Salam Tak Na Pohanchy..

Kya Karo Ge IshQ ki Kitaabain Likh Kar.....

Kya Karo Ge IshQ ki Kitaabain Likh Kar.....
Kya Karo Ge IshQ ki Kitaabain Likh Kar.....

Ye Wohi IshQ Hai Na Jis Ne Heer Se Ranjha Cheen Liya Tha....

Ye wisaal hai k kamaal hai meri khawahishon k hujoom ka.

Ye wisaal hai k kamaal hai meri khawahishon k hujoom ka.
Ye wisaal hai k kamaal hai meri khawahishon k hujoom ka.

Main jis tarf Bhi nigah karon mjhe har tarf wo dikhai dey..

Main Rota Raha Raat Bhar Ye Faisla Na Kar Saka

Main Rota Raha Raat Bhar Ye Faisla Na Kar Saka
Main Rota Raha Raat Bhar Ye Faisla Na Kar Saka.

Wo Yaad Aa Raha Hai 
Ya 
Main Yaad Kar Raha Hun.

Jo Dil Ko Acha Lagta

Jo Dil Ko Acha Lagta
Jo Dil Ko Acha Lagta 
Hai Usi Ko Apna Kehta H0on.. 

MunafiQ Ban Ke RiShton Ki Tijarat Main Nahii Karta..

Khulay Gi Us Nazar Pe Chashm E Tar Aahista Aahista,

Khulay Gi Us Nazar Pe Chashm E Tar Aahista Aahista,
Khulay Gi Us Nazar Pe Chashm E Tar Aahista Aahista, 
Kia Jata Hai Pani Me Safar Aahista Aahista. 

Koi Zanjeer Phir Wapis Wahin Par Le K Aati Hai, 
Kathin Ho Raah Tu Choota Hai Ghar Aahista Aahista. 

Badal Dena Hai Rasta Ya Kahin Par Beth Jana Hai, 
K Thakta Jaa Raha Hai Humsafar Aahista Aahista. 

Kallish K Sath Is Dil Se Na Meri Jaan Nikal Jaye, 
Khinche Teer-E-Shanasai Magar Aahista Aahista. 

Hawa Se Sar-Kashi Me Phool Ka Apna Ziyaan Dekha, 
So Jhukta Ja Raha Hai Ab Sar Aahista Aahista. 
Poet: 
Parveen Shakir

Ab jo lotay ho itne saalon mein

Ab jo lotay ho itne saalon mein
Ab jo lotay ho itne saalon mein, 
Dhoop utri huyi hai baalon mein, 

Tum meri aankh k samundar mein, 
Tum meri rooh k ujaalon mein, 

Phool hi phool khill uthey mujh mein, 
Kon aaya mery khayalon mein, 

Mene jee bhar k tujh ko dekh liya, 
Tujh ko uljhaa k kuch sawalon mein, 

Meri khushiyon ki kaayenat bhi tu, 
Tu hi dukh dard k hawalon mein, 

Jab tera doston mein zikar aaye, 
Theess uthti hai dil k chaalon mein, 

Tum se abaad hai yeh tanhai, 
Tum hi roshan ho ghar k jaalon mein, 

Saanwli shaam ki tarah hai woh, 
Woh na goroon mein hai na kaalon mein, 

Kya usey yaad aa raha hoon 
Rang ubhrey hain us k gaalon mein..

Ye na thi hamari Qismat k wisaal e Yar hota

Ye na thi hamari Qismat k wisaal e Yar hota
Ye na thi hamari Qismat k wisaal e Yar hota 
Agar or jeety rehty yehi intezar hota, 

Teray waaday pay jiye hum To ye Jan Jhoot jana, 
K khushi sy mar na jaty agar aitbaar hota, 

Teri Nazuki sy jana k bandha tha Ehad e Booda, 
Kabhi tu na tor sakta Agar istawaar hota, 

Koi mery Dil sy poochy tery teer neemksh ko, 
Ye khalish kahan say hoti Jo jigar k paar hota, 

Ye kahan ki dosti hai k Bany hain dost Naaseh 
koi charah saaz hota Koi ghum gusaar hota, 

Kahon kis sy main k kya hai Shab e Ghum buri balaa hai,
Mujhy kya bura tha marna Agar aik bar hota, 

Huwy mar k hum jo ruswa Huwy Q na GharQ e Darya, 
Na kabhi janaza uthta Na kahein mazaar hota, 

Ye Masaail e Tasawwuf Ye tera bayaan Ghalib! 
Tujhy hum wali samajhty Jo na Baadah Khwaar hota..

Bohat hain ya or bhejoon?

Bohat hain ya or bhejoon?
Bohat hain ya or bhejoon? 

Jaanan IshQ k azaab saaray..

Main Chup Raha K Zehar Yehi Mujh Ko Raas Tha.

Main Chup Raha K Zehar Yehi Mujh Ko Raas Tha. 
Wo Sang-E-Lafz Phaink Kar Kitna Udaas Tha. 

Aksar Meri Qaba Py Hansi Aa Gai Jisay. 
Kal Mil Gya Tu Wo B Dareeda Libas Tha. 

Main Dhondta Tha Door Khalaon Me Aik Jism. 
Chehron Ka Ik Hujom Mere Aas Pas Tha. 

Tum Khush Thy Pathron Ko Khuda Jaan Kar Magar. 
Mujh Ko Yaqeen Hai Wo B Tumhara Qayaas Tha. 

Bakhsha Hai Jis Ny Rooh Ko Zakhmon Ka Pairahan. 
Mohsin!Wo Shakhs Kitna Tabiyat Shanaas Tha. 
Poet: 
Mohsin Naqvi

Mery bus mein agar yeh ho Janaan

Mery bus mein agar yeh ho Janaan
Mery bus mein agar yeh ho Janaan 

Main wafa teray naam kar jaaon..

Tumharay shehar ka mosam bara suhana lagay

Tumharay shehar ka mosam bara suhana lagay
Tumharay shehar ka mosam bara suhana lagay 
Main ik shaam chura lon agar bura na lagay 

Tumhary bas mein agar hai to bhool jao hamein 
Tumhein bhulaany mein shayad hamein zamana lagy 

Jo doobna hai to itny sakoon sy doobo 
K aas paas ki lehron ko bhi pata na lagy 

Isi liye to khilaaye hain phool safhon par 
Hamein jo zakhm lagy hain wo dostana lagy 

Wo ik sitara k jo rasta dikhaye hamein 
Wo ik ishara k jo Harf e Mujarmana lagy 

Na jany kab sy koi mery saath hai Qaisar 
Jo ajnabi na lagy or Aashna na lagy..

Hamaisha dair kar deta hon main,

Hamaisha dair kar deta hon main,
Hamaisha dair kar deta hon main, 
Har kaam karny mein 
Zaroori Baat kehni ho Koi waada nibhana ho, 

Usy Aawaz deni ho Usy wapis bulana ho, 
Hamesha dair kar deta hon main, 

Madad karni ho uski yaar ki dharas bandhana ho, 
Bohat Dareena raston par kisi sy milny jana ho, 
Hamesha dair kar deta hon main, 

Badalty mosmon ki sair mein dil ko lagana ho, 
Kisi ko yaad rakhna ho Kisi ko Bhool jana ho, 
Hamesha dair kar deta hon main, 

Kisi ko Moat sy pehly kisi ghum sy bachana ho 
HaQeeQat or thi kuch Usko jaa k ye btana ho, 

Hamesha dair kar deta hon main har kaam karny mein,

Ab k Tajdeed e Wafa ka nahi imkaan janaan

Ab k Tajdeed e Wafa ka nahi imkaan janaan
Ab k Tajdeed e Wafa ka nahi imkaan janaan 
Yad kya tujh ko dilayen tera pemaan janaan 

Younhi Mosam ki ada dekh k yad aya hay 
Kis Qadar jald badal jatay hain Insaan janaan 

Zindagi teri ataa thi so teray naam ki hay 
Hum nay jesay B basar ki tera ehsaan janaan 

Dil ye kehta hay k shayad ho fasurda tu B 
Dil ki kya bat karein dil to hy nadaan janaan 

Muddaton sy yehi AaLam na TawaQQo na umeed 
Dil pukaray hi chala jata hay Janaan Janaan 

Hum Bhi kya saada thay hum nay Bhi samajh rakha tha 
Gham e Doraan say juda hay Gham e Janaan Janaan 

Ab k kuch aisi saji Mehfil e Yaraan janaan 
Sar Bazanu hay koi sar ba Girebaan janaan 

Ab tera zikar B shayad hi GhazaL mein Aaye 
Or say Or huway dard k unwaan janaan 

Hum k Roothi hoyi Rutt ko B manaa Letay thay 
Hum nay dekha hi na tha Mosam e Hijraan janaan 

Hosh aya to sabhi khwab thay reza reza 
Jesay urrtay huway OraaQ e Pareshaan janaan..

KuCh Is TarHa Se NaRaZ HaiN Wo HaM Se

KuCh Is TarHa Se NaRaZ HaiN Wo HaM Se
KuCh Is TarHa Se NaRaZ HaiN Wo HaM Se 

JaiSe UnHe KiSi AuR Ne MaNa LiyA Ho

Aankh se door na ho dil se uter jaaye ga..

Aankh se door na ho dil se uter jaaye ga..
Aankh se door na ho dil se uter jaaye ga.. 

Waqt ka kia he guzerta he guzar jaaye ga..

Sabar Ka Daman Hath Se Na Choro

Sabar Ka Daman Hath Se Na Choro
Sabar Ka Daman Hath Se Na Choro 

Har Kaam Asaan Hone Se Pehle Mushkil Hota Hy.

Tumharay dil say hamari yadein nikal na payen to loat ana

Tumharay dil say hamari yadein nikal na payen to loat ana
Tumharay dil say hamari yadein nikal na payen to loat ana 
Paraye shehron ki gar Hawayen na ras ayen to loat ana 

Suna hai Hum ny Decembaron mein bujhi hoi Aag jall pary gi 
Tumhara Janaan khunak rutein jab badan jalayen to loat ana 

Hawass mein zarr ki Qadam utha k watan sy door to ja basy ho 
Hamein Malaal e Qadam uthana kabhi rulayen to loat ana 

Naye naye say marasmon k nai nai C RafaQton k 
Jo darmyan mein kabhi tumhein hum bhi yaad ayen to loat ana 

Suno Gullani.. 
Ye dooriyaan bhi ab itni ziada nahi hain achi 
Jo ab k mehfiL mein saray Humdam tumhein bulayen to loat ana..

If You have the ability to listen anything rude or harsh without loosing

If You have the ability to listen anything rude or harsh without loosing
If You have the ability to listen anything rude or harsh without loosing Your temperament or selfconfidence.. 
It means You are Educated

Udaas Logon sy pyaar Karna Koi To Seekhay

Udaas Logon sy pyaar Karna Koi To Seekhay
Udaas Logon sy pyaar Karna Koi To Seekhay 
Safaid Lamhon mein Rang Bharna Koi to seekhay 

Koi To Aaye Khizaan Mein pattay Ugaany WaLa 
GuLLon Ki khushboo ko Qaid Karna Koi To Seekhay 

Koi Dikhaye Mohabbaton k saraab Mujh ko 
Meri Nigaahon say Baat karna Koyi To Seekhay 

Koi To Aaye Nayi Rutton Ka Payaam Lay Kar 
Andhairi Raaton mein chand Banna Koi to Seekhay 

Koi Payamber Koi Imaam e zamaan Hi Aaye 
Aseer Zehnon Mein soach Bharna Koi to seekhay..

Nahi mumkin andheron mein chiraagon ko buja dena

Nahi mumkin andheron mein chiraagon ko buja dena 
Bohat mushkil hy meri jaan tmhen dil sy bhula dena 

Tumhen ik din sataaein gay meri chahat k sb jazbe 
Meri ghazlein meri Nazmein mere Khatt b jala dena 

Kabhi jo yaad auon main tumhein fursat k lamhoun mein 
Haseen hathon se kaghaz per mujhe likhna mita dena 

Tere Dil ko jo chain aye mere Dil ki kahani se 
Tu mujh ko bhi zara Dil se Mohabbat ki dua dena..

tasveer banaon to bigar jati hai mujh pe

tasveer banaon to bigar jati hai mujh pe
tasveer banaon to bigar jati hai mujh pe 

aisa nahin banna mujhe wesa nahin banna

Ik din main Loat k aon ga..

Ik din main Loat k aon ga..
Kabi tunay ye socha hai k tery hont hiltay hain 
to mery Gulshan e DiL mein Hazaron phool khiltay hain 

Meray Kaanon ki shunwaaiTery honton ki jabeen say 
Khayalon mein haseen paikar banati hai 

Meri Janaan Teri ye sandLi Awaz Meri sans ki Lo ko barhati hai 
Mujhy awaz ko Qaidi banana hay 
Jo socha hay wo kar k B dikhana hay 

K main shayar Riwajon or reeton ka bura bandhan 
Bhalaa kab tk nibhaon ga. 

Meri Janaan Magar tum yaad rakhna.. 
Ik din main Loat k aon ga..

suno Tum Ne Kabhi Mailay Mein Bajte Dhol Dekhay Hain?

suno Tum Ne Kabhi Mailay Mein Bajte Dhol Dekhay Hain?
suno Tum Ne Kabhi Mailay Mein Bajte Dhol Dekhay Hain?
Ajab Hay Almiya In Ka 
Bohat He Shor Karty Hain 
Magar Andar Se Khaali Hain 

Yehi Mera Fasana Hay 
Bus Itni Si Paheli Hay 
Yehi Meri Kahani Hay..Suno Tum Ne Kabhii Sahil Pe Bikhri Rait Dekhi Hay 
Samundar Sath Behta Hay 
Magar Us K MuQaddar Mein Hamesha Pyas Rehti Hay 

Suno Tum Ne Kabhi Sehra Mein Jaltey Pairr Dekhay Hain? 
Sabhi Ko Chhaaon Detey Hain 
Magar In Ko Silay Mein Dhoop Milti Hay 

Suno Tum Ne Kabhi Shakhon Se Bichhartey Phool Dekhy Hain? 
Wo Khushbu Baant Detay Hain Bikhar Janay Talak 
Lekin Hawa Ka Sath Detey Hain 

Suno Tum Ne Kabhi Mailay Mein Bajte Dhol Dekhay Hain? 
Ajab Hay Almiya In Ka 
Bohat He Shor Karty Hain 
Magar Andar Se Khaali Hain 

Yehi Mera Fasana Hay 
Bus Itni Si Paheli Hay 
Yehi Meri Kahani Hay..

Thursday, 18 June 2015

Aik Handsom Boy Class Mai Aya

Aik Handsom Boy Class Mai Aya
Aik Handsom Boy Class Mai Aya
Sari Girls Dekhte Hi Dewani
Larke Ne Aate Hi Kuch Kaha To Girls Behosh
.
.
SOCHO
.
.Kya Kaha?
.
.
.
Baji Jaga Den Jhaaro Lagana Hai. . . . .

Rishton Ki Kehkashan Sar-e-Bazar Bech Kar,

Rishton Ki Kehkashan Sar-e-Bazar Bech Kar,
Rishton Ki Kehkashan Sar-e-Bazar Bech Kar, ,
Ghar Ko Bacha Liya Dar-o-Deewar Bech Kar, ,
Shohrat Ki Bhook Hum Ko Kahan Lekar Agayi, ,
Hum Mohtaram Howe Bhi To Kirdar Bech Kar, ,
Wo Shakhs Sorma Hai Magar Baap Bhi To Hai, ,
Roti Khareed Laya Hai Talwar Bech Kar, ,
Jis Ke Qalam Ne Muddaton Howe Hain Inqalab, ,
Ab Pait Paalta Hai Wo Kirdar Bech Kar, ,
Kaanpi Zara Zameen To Sab Khaak Ho Gaya, ,
Hum Ne Mehel Banaye Thai Meenar Bech Kar, , , , ,

Ye Pehle hijar Ka Kissa Hai,

Ye Pehle hijar Ka Kissa Hai,
Ye Pehle hijar Ka Kissa Hai, ,
Go Aaj Ke Din Ki Baat Nahi, ,
Kuch Umer Bhi Thi Dewano Si, ,
Kuch Chaal Bhi Thi Mastanon Si, ,
Hathon Mai Phool Sajate Thai, ,
Saj Dhaj Kar College Jate Thai, ,
Kab Itne Sedhe Saadhe Thai, ,
Us Waqt To Hum Shehzada Thai, ,
Phir Aik Chehra Bha Sa Gaya, ,
Nazdek Wo Dil Ke Aa Sa Gaya, ,
Phir Wo Tha Or Batain Uski, ,
Din Sab Uske Ratain Uski, ,
Phir Aisa Bichra Mila Nahi, ,
Is Dil Ka Phool Khila Nahi, ,
Phir Uske Baad Jo Log Mile, ,
Is Dil Ko Jitne Rog Mile, ,
Har Sans Usi Ke Naam Rahi, ,
Har Usi Ki Shaam Rahi, ,
Ye Pehle Hijar Ka Kissa Hai, , 
Jo Aaj Bhi Hum Par Tari Hai, ,
""YE HIJAR ABHI TAK JARI HAI""

Lipat Kar Apni Tanhayi Se Jagta Rehta Hon,

Lipat Kar Apni Tanhayi Se Jagta Rehta Hon, ,
Tamam Raat Kisi Ki Yaad Mujhe Sone Nahi Deti, ,
Uski Koi Masoom Si Shararat Jab Bhi Ati Hai Yaad, ,
Udas To Kar Jati HaiPar Rone Nahi Deti, ,
Log Kehte Hain Bhol Kar Usay Nayi Zindagi SHuru Kar, ,
Wo Rooh Par Qabiz Hai Mujhe Kisi Or Ka Hone Nahi Deti, , , , ,

Muhabbat Hum Bhi Karlenge, ,

Muhabbat Hum Bhi Karlenge, ,
Muhabbat Hum Bhi Karlenge, ,
Ye Galti Tum Bhi Karlena, ,
Chalo Tum Hi Se Karlenge, ,
Kisi Se Tum Bhi Karlena, ,
Tumhe Hum DOST Kehte Hain, ,
Kya EK Baat Manogay, ,
MUHABBAT Tum Ne Karni Hai, ,
SUNO. . Hum Hi Se Karlena, , , , ,

Boy: Agar Mai Mar Gaya To Kya Tum Dosri Shadi Karogi

Boy: Agar Mai Mar Gaya To Kya Tum Dosri Shadi Karogi
Boy: Agar Mai Mar Gaya To Kya Tum Dosri Shadi Karogi
Girl: Nahi Mai Apni Behen Ke Sath Reh Longi
Girls: AGar Mai Mar Gayi To? ? ? ? ?
Boy:Mai Bhi Tumhari Behen Ke Sath Reh Longa.

Tum Bin Jiya Jaye Kaise,

Tum Bin Jiya Jaye Kaise,
Tum Bin Jiya Jaye Kaise, ,
Kaise Jiya Jaye Tum Bin, ,
Sadiyun Se Lambi Hain Ratain, ,
Sadiyun Se Lambe Howe Din, ,
Aa Jao Loat Kar Tum, ,
Ye Dil Keh Raha Hai, ,
Phir Sham-e-Tanhayi Jagi Hai, ,
Phir Yaad Tum Aa Rahe Ho, ,
Phir Jan Nikalne Lagi Hai, ,
Phir Mujh Ko Tarpa Rahe Ho, ,
Aa Jao Loat Kar Tum, ,
Ye Dil Keh Raha Hai, ,
Is Dil Se Tofaan Guzarte Hain, ,
Tum Bin To Na Jeete Na Marte Hain, ,
Aa Jao Loat Kar Tum, ,
Ye Dil Keh Raha Hai, , , , ,

Sunday, 7 June 2015

wasi shah poetry Bs Zeyada Keya Khon Os K Bary Main Noor

wasi shah poetry Bs Zeyada Keya Khon Os K Bary Main Noor
Bs Zeyada Keya Khon Os K Bary Main Noor
Joothy Wady Krny Main Vo Shkhs Kmal Ka Hunr Rkhta Tha

wasi shah poetry Mein Daik Loon Usse,Wo Na Daikhe Meri Taraf

wasi shah poetry Mein Daik Loon Usse,Wo Na Daikhe Meri Taraf
Mein Daik Loon Usse,Wo Na Daikhe Meri Taraf
Baaton Main Uss Ko Koi Lagae Zara Si Dair

wasi shah poetry Mere Jeene Ka Sabab Tha Jaise

wasi shah poetry Mere Jeene Ka Sabab Tha Jaise
Mere Jeene Ka Sabab Tha Jaise
Rab Ke Baad Woh Rab Tha Jaise

Tujh Se Milna Aur Bicharna Sub
Khuda Ka Mujh Pe Ghazab Tha Jaise

Ajab Sa Shakhs Tha Samajh Se Bahir
Goya 'Ghalib' Ka Adab Tha Jaise

Har Lamha Shab-E Firaq Ka Woh
Mere Is Dil Pe Karab Tha Jaise

Be Khayali Mai Bholna Us Ko
Khayal Yeh Bhi Ajab Tha Jaise

Raakh Hona 'Raakh' Ka Ishq Mai
Qismat Mai 'Raakh' Ke Yehi Sub Tha Jaise

wasi shah poetry Muhabat Ek Adab Ki Bimari Hai

wasi shah poetry Muhabat Ek Adab Ki Bimari Hai
Muhabat Ek Adab Ki Bimari Hai
Sari Duniya Is Zulm-O-Sitam Ki Mari Hai

Chod Gya Hai Nisha Har Mod Pe Woh
Lagta Hai Jangal Me Ye Naya Shikari Hai

Kah Do Koi Na Chahe Ab Use
Mudaton Se Uspar Nazar Hamari Hai

Loot Liya Waqt Ne Uske Intzaar Me
Sahi Kaha Tha Mir Ishq Ek Pathar Bhari Hai

Hua Hai Na Kabhi Kuch Hoga Mujhe 
Maa Ne Khud Apne Hathon Se Meri Nazar Utari Hai

Saturday, 6 June 2015

wasi shah poetry Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karty

wasi shah poetry Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karty
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karty
Jam Shien K Dosaro Se Hum Piya Nahi Karty

Agar Un Ko Mohabbat Hy To A K Izhaar Kary 
Picha Hum B Kisi Ka Kiya Nahi Karty

wasi shah poetry Kia Ho Ra H Mujhy Aj Ka Pta Ni

wasi shah poetry Kia Ho Ra H Mujhy Aj Ka Pta Ni
Kia Ho Ra H Mujhy Aj Ka Pta Ni
Kuch Ajeeb Sa Haal H Pta Ni

Phly To Roz Aya Krti Th Khawabo M Mary
Ab Ho Gya H Kia Pta Ni

Many Dil S Pocha Kyun Chahta H Usy
Us Ny Kaha Ankho S Poach Mujhy Pta Ni

M Ny Ankhon S Poacha To Boli
Bs Dhondti E Hn R Kyun Ya Pta Ni

Ab To Sans B Ruk Ruk Kr Ati H
Or Darkhan Ka Kuch Pta Ni

wasi shah poetry Kaash Ke Bachcha Hi Rehta Mai Ishq Se Bacha Hi Rehta

wasi shah poetry Kaash Ke Bachcha Hi Rehta Mai Ishq Se Bacha Hi Rehta

Kaash Ke Bachcha Hi Rehta
Mai Ishq Se Bacha Hi Rehta

Pal Bhar Ke Liye ,Nazar Us Se Lari Thi

Pal Bhar Ke Liye ,Nazar Us Se Lari Thi
Pal Bhar Ke Liye ,Nazar Us Se Lari Thi
Sar E Raah Jab Haseena Jab Mujh Se Mili Thi

Suraj Ki Laali Ke Se Rukhsaar The Uske
Chanda Ki Tarha Se Chamakti Jabee Thi

Phel Gai Thi Khushbu Hawao'n Main Chaaro Orh
Jo Hawa Tere Jism Ko Choo Kar Chali Thi

Kuch Samj Nahi Aata K Kya Naam Doo Usko
Husn Ki Malika Thi K Paristaa K Pari Thi

Kitne Hi Shah Zor Us Din Dher Ho Gaye
K Teri Shokh Nazr Jin Jin Pe Pari Thi

Pheli Hui Thi Ghup Tareekiya Jahan Main
Mere Gird To Sitaro Ki Lari Thi

Anmol Tohfa Hai Tu Zameen Par Khuda Ka
Qudrat K Hatho Se Tu Fursat Main Bani Thi

Qayamt Ka Naam Logo Se Suna Tha Maine
Dil Se Uthi Sada Asad Haa Yeh Wohi Thi

Tmanna hy k roshan ho tri dunya tri mehfil,

Tmanna hy k roshan ho tri dunya tri mehfil,
Tmanna hy k roshan ho tri dunya tri mehfil,
Ujala mil sky tm ko to hm ghar b jla dyn gy...

atif
Abhi Kamsin ho, Rehne do, Kahien kho do gi Dil Mera
Tumhare hi liye rakha hai, Ley jaana Jawaan ho kar…..!!!
Reply
…Na Kamsin hon, na Naadan hon, Muhobbat ko samajhti hon
Tumhara kya Bharosa hai, Mukar jaao Jawaan ho kar…..!!!..........
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...