ye meri ghazlen ye meri nazmen Tamam teri hikayaten hain Ye tazkare tere lutf ke hain Ye shair teri shikayaten hain Mujhe khabar thi keh tere aanchal main Dard ki rait chanta hun Magar har ik baar tujh ko chu kar Ye rait rang-e-hina bani hai Aur ab ye sari mata-e-hasti Ye phool ye zakhm sab tere hain Ye dukh ke nohay ye sunk ke naghme Jo kal mere the wo ab tere hain Jo teri qurbat teri judai Main kat gaye roz-o-shab tere hain Wo jis ke andaz khusarwana the Aur adaain ghalib si theen Wo kohkan to nahin tha lekin Kari chatanon se larh chuka hai Wo thak chukka tha aur us ka tesha Ussi ke seenay main garh chuka hai
Bichartey lamhey jo main ney poocha, Tumari aankhon ko kia huwa hai, Tou uski aankhon ki beeghi palkein bata rahi thin, kahaniyan kuch suna rahi thin, Puranay Qissey gaye dinon k, Aur us k honton ki larzishon se main sun raha tha kuch aisi batein, K jin ki aahat ye keh rahi thi, k meri khatir bas itna kar lo, Ye chnd saansein mera asasa, Tum in ko ley lo... Par is k badlay ye eltija hai, Abhi na jana... Kabi na jana..