Do you like this story?

Friday, 9 October 2015

Gulon Main Rang Bhare Baad E Naubahaar Chale

Gulon Main Rang Bhare Baad E Naubahaar Chale
Gulon Main Rang Bhare Baad E Naubahaar Chale
Chale Bhi Aao Ke Gulshan Ka Karobaar Chale

Qafas Udaas Hai Yaaro Saba Se kuch To Kaho
Kahi To Bahre Khuda Aaj Zikar E Yaar Chale

Kabhi To Subh Tere Kunj E Lab Se Ho Aaghaz
Kabhi To Shab Sar E kaakul Se Mushkbaar Chale

Bara Hai Dard ka Rishta Ye DiL Gharib Sahi
Tumhare Naam Pe Aaenge ghamgusar chale

Jo Hum Pe Guzri So Guzri Magar Shab E Hijraan
Hamare Ashk Teri Aaqbat Sanwaar Chale

Maqaam Faiz koi Raah Main jacha Hi Nah
Jo kuye Yaar Se Nikle To Suye Daar Chale..

Kisi ny thek kha tha Tarp Kar Guzar JaYe Gi Yeh Raat Bhi Akhir.

Kisi ny thek kha tha Tarp Kar Guzar JaYe Gi Yeh Raat Bhi Akhir.
Kisi ny thek kha tha Tarp Kar Guzar JaYe Gi Yeh Raat Bhi Akhir.

Tum Yaad Na Karo Gay
TU Kya Subha Na Hogi.

Mujhe ab darr nahin lagta

Mujhe ab darr nahin lagta
Mujhe ab darr nahin lagta
kisi ke door jane se
Taluq toot jane se
Kisi ke maan jaane se
Kisi ke rooth jaane se
Mujhe ab Darr nahin lagta

Kisi ko aazmane se
Kisi ke aazmane se
Kisi ko yaad rakhne se
Kisi ko bhool jaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Kisi ko chorr dene se
Kisi ke chorr jaane se
Shamma ko jalaane se
Shamma ko bhujaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Akele muskuraane se
Kabhi ansuu bahaane se
Na iss saare zamaane se
Haqeeqat se fasaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Kisi ki naa-rsaayi se
Kisi ki paa-rsaayi se
Kisi ki bewafaayi se
Kisi dukh intehaayi se
Mujhe ab darr nahin lagta

Na to iss paar rehne se
Na to uss paar rehne se
Na apni zindgaani se
Na ik din maut aane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Ae RAB K HABIB AAO, Ae MERE TABEEB AAO

Ae RAB K HABIB AAO, Ae MERE TABEEB AAO
Ae RAB K HABIB AAO, Ae MERE TABEEB AAO

Dil haye gunahun se bezar nahi hota
maghlob shahaa nafs e badkar nahi hota
acha ye gunahun ka bimaar nahi hota

go sans ki mala ab tootne wali hai
ghaflat se magar phir bhi bedar nahi hota

Talluq ki nayi ik rasm ab ijaad karna hai,

Talluq ki nayi ik rasm ab ijaad karna hai,
Talluq ki nayi ik rasm ab ijaad karna hai,
Na uss ko bhoolna hai aur na us ko yaad karna hai,

Zubaanen katt gayin to kya salaamat ungliyaan to hain,
Dar-o-deewaar pe likh do tumhe fariyaad karna hai,

Sitaara khush-gumaani ka sajaaya hai
hatheli pr,
Kisi surat humen to apne dil ko shaad karna hai,

Bana kar ek ghar dil ki zameen pr us ki yaadon ka,
Kabhi abaad karna hai kabhi barbaad karna hai,

Seene main jalan ankhon main tufaan sa kyun hai,

Seene main jalan ankhon main tufaan sa kyun hai,
Seene main jalan ankhon main tufaan sa kyun hai,
Iss sheher main har shakss pareshaan sa kyun hai,

Dil hai to dharrakne ka bahaana koi dhoondhe,
Pathar ki tarah be-hiss o be-jaan sa kyun hai,

Tanhaayi ki yeh kaun si manzil hai rafiqo,
Ta hadh-e-nazar ek bayabaan sa kyuun hai,

Hum ne to koi baat nikaali nahin gham ki,
Woh zuud-pashemaan pashemaan sa kyun hai,

Kya koi naii baat nazar aati hai hum main,
Aayina hamen dekh ke hairaan sa kyun hai..

Mohabbat Ka Bhi Dastoor Alag Hai,

Mohabbat Ka Bhi Dastoor Alag Hai,
Mohabbat Ka Bhi Dastoor Alag Hai,

Pal Bhar Mein Ho jati Hai,
Zindagi Bhar K Liye..

Main jab bacha tha.

Main jab bacha tha.
Main jab bacha tha.
To aksar...

Khilonay Toot jatay Thay.
Maa Aa kar Khilonay jhorr deti thi.

Suna Hai Maa Se bhi Barr kar Tujhe ulfat hai Bando se.

Tu Aa Kar Jorr Day "Ya Rab"
Main Khud ko Torr Betha Hoon.

Thursday, 1 October 2015

Mahndi Apne Hathon Me Saja Kar Baray Naaz Se.

Mahndi Apne Hathon Me Saja Kar Baray Naaz Se.
Mahndi Apne Hathon Me Saja Kar Baray Naaz Se.
Intizar Kare Gi Wo Kisi Gair Ki Baraat Ka.

Dard O Sitam Me Tashnagi Us Raat Barhay Gi,
Raqeebo Ko Tu Bay-Sabri Se Intizar Hoga Us Raat Ka.

Apni Khushyan Apne Seene Me Dafan Kar K,
Shab-E-Firaag Me Ham Maatum Manaye Gay Us Raat Ka.
Mere Dil Ki Tarap Koi Na Sunay Us Raat Ko,

Mahndi Apne Hathon Me Saja Kar Baray Naaz Se.
Intizar Kare Gi Wo Kisi Gair Ki Baraat Ka.

Hum Wø Nahi Jø Dil Tørr Dain ge,


Hum Wø Nahi Jø Dil Tørr Dain ge,
Hum Wø Nahi Jø Dil Tørr Dain ge,
Thaam Kar Haath $ath Chorr Dain ge,,,
.
Hum Døsti kartay Hain Paani 0r Machli ki Tarha.
Juda krna Chaho To Dam Torr Dain ge..

Agar Woh Meri Aankhon Mein

Agar Woh Meri Aankhon Mein
Agar Woh Meri Aankhon Mein

Mujas'sam Dekh Ley Khud Ko,

Usy Meri Mohabbat Sy Balaa Ka Ishq Ho Jaye..

Mujhe ab darr nahin lagta

Mujhe ab darr nahin lagta
Mujhe ab darr nahin lagta
kisi ke door jane se
Taluq toot jane se
Kisi ke maan jaane se
Kisi ke rooth jaane se
Mujhe ab Darr nahin lagta

Kisi ko aazmane se
Kisi ke aazmane se
Kisi ko yaad rakhne se
Kisi ko bhool jaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Kisi ko chorr dene se
Kisi ke chorr jaane se
Shamma ko jalaane se
Shamma ko bhujaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Akele muskuraane se
Kabhi ansuu bahaane se
Na iss saare zamaane se
Haqeeqat se fasaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Kisi ki naa-rsaayi se
Kisi ki paa-rsaayi se
Kisi ki bewafaayi se
Kisi dukh intehaayi se
Mujhe ab darr nahin lagta

Na to iss paar rehne se
Na to uss paar rehne se
Na apni zindgaani se
Na ik din maut aane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Ae RAB K HABIB AAO, Ae MERE TABEEB AAO

Ae RAB K HABIB AAO, Ae MERE TABEEB AAO
Ae RAB K HABIB AAO, Ae MERE TABEEB AAO

Dil haye gunahun se bezar nahi hota
maghlob shahaa nafs e badkar nahi hota
acha ye gunahun ka bimaar nahi hota

go sans ki mala ab tootne wali hai
ghaflat se magar phir bhi bedar nahi hota

Tuesday, 29 September 2015

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...