Ae RAB K HABIB AAO, Ae MERE TABEEB AAO
Dil haye gunahun se bezar nahi hota
maghlob shahaa nafs e badkar nahi hota
acha ye gunahun ka bimaar nahi hota
go sans ki mala ab tootne wali hai
ghaflat se magar phir bhi bedar nahi hota
Friday, 9 October 2015
Talluq ki nayi ik rasm ab ijaad karna hai,
Talluq ki nayi ik rasm ab ijaad karna hai,
Na uss ko bhoolna hai aur na us ko yaad karna hai,
Zubaanen katt gayin to kya salaamat ungliyaan to hain,
Dar-o-deewaar pe likh do tumhe fariyaad karna hai,
Sitaara khush-gumaani ka sajaaya hai
hatheli pr,
Kisi surat humen to apne dil ko shaad karna hai,
Bana kar ek ghar dil ki zameen pr us ki yaadon ka,
Kabhi abaad karna hai kabhi barbaad karna hai,

Seene main jalan ankhon main tufaan sa kyun hai,
Seene main jalan ankhon main tufaan sa kyun hai,
Iss sheher main har shakss pareshaan sa kyun hai,
Dil hai to dharrakne ka bahaana koi dhoondhe,
Pathar ki tarah be-hiss o be-jaan sa kyun hai,
Tanhaayi ki yeh kaun si manzil hai rafiqo,
Ta hadh-e-nazar ek bayabaan sa kyuun hai,
Hum ne to koi baat nikaali nahin gham ki,
Woh zuud-pashemaan pashemaan sa kyun hai,
Kya koi naii baat nazar aati hai hum main,
Aayina hamen dekh ke hairaan sa kyun hai..

Main jab bacha tha.
Main jab bacha tha.
To aksar...
Khilonay Toot jatay Thay.
Maa Aa kar Khilonay jhorr deti thi.
Suna Hai Maa Se bhi Barr kar Tujhe ulfat hai Bando se.
Tu Aa Kar Jorr Day "Ya Rab"
Main Khud ko Torr Betha Hoon.
To aksar...
Khilonay Toot jatay Thay.
Maa Aa kar Khilonay jhorr deti thi.
Suna Hai Maa Se bhi Barr kar Tujhe ulfat hai Bando se.
Tu Aa Kar Jorr Day "Ya Rab"
Main Khud ko Torr Betha Hoon.
Thursday, 1 October 2015
Mahndi Apne Hathon Me Saja Kar Baray Naaz Se.
Mahndi Apne Hathon Me Saja Kar Baray Naaz Se.
Intizar Kare Gi Wo Kisi Gair Ki Baraat Ka.
Dard O Sitam Me Tashnagi Us Raat Barhay Gi,
Raqeebo Ko Tu Bay-Sabri Se Intizar Hoga Us Raat Ka.
Apni Khushyan Apne Seene Me Dafan Kar K,
Shab-E-Firaag Me Ham Maatum Manaye Gay Us Raat Ka.
Mere Dil Ki Tarap Koi Na Sunay Us Raat Ko,
Mahndi Apne Hathon Me Saja Kar Baray Naaz Se.
Intizar Kare Gi Wo Kisi Gair Ki Baraat Ka.
Hum Wø Nahi Jø Dil Tørr Dain ge,
Hum Wø Nahi Jø Dil Tørr Dain ge,
Thaam Kar Haath $ath Chorr Dain ge,,,
.
Hum Døsti kartay Hain Paani 0r Machli ki Tarha.
Juda krna Chaho To Dam Torr Dain ge..
Mujhe ab darr nahin lagta
Mujhe ab darr nahin lagta
kisi ke door jane se
Taluq toot jane se
Kisi ke maan jaane se
Kisi ke rooth jaane se
Mujhe ab Darr nahin lagta
Kisi ko aazmane se
Kisi ke aazmane se
Kisi ko yaad rakhne se
Kisi ko bhool jaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ko chorr dene se
Kisi ke chorr jaane se
Shamma ko jalaane se
Shamma ko bhujaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Akele muskuraane se
Kabhi ansuu bahaane se
Na iss saare zamaane se
Haqeeqat se fasaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ki naa-rsaayi se
Kisi ki paa-rsaayi se
Kisi ki bewafaayi se
Kisi dukh intehaayi se
Mujhe ab darr nahin lagta
Na to iss paar rehne se
Na to uss paar rehne se
Na apni zindgaani se
Na ik din maut aane se
Mujhe ab darr nahin lagta
kisi ke door jane se
Taluq toot jane se
Kisi ke maan jaane se
Kisi ke rooth jaane se
Mujhe ab Darr nahin lagta
Kisi ko aazmane se
Kisi ke aazmane se
Kisi ko yaad rakhne se
Kisi ko bhool jaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ko chorr dene se
Kisi ke chorr jaane se
Shamma ko jalaane se
Shamma ko bhujaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Akele muskuraane se
Kabhi ansuu bahaane se
Na iss saare zamaane se
Haqeeqat se fasaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ki naa-rsaayi se
Kisi ki paa-rsaayi se
Kisi ki bewafaayi se
Kisi dukh intehaayi se
Mujhe ab darr nahin lagta
Na to iss paar rehne se
Na to uss paar rehne se
Na apni zindgaani se
Na ik din maut aane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Ae RAB K HABIB AAO, Ae MERE TABEEB AAO
Ae RAB K HABIB AAO, Ae MERE TABEEB AAO
Dil haye gunahun se bezar nahi hota
maghlob shahaa nafs e badkar nahi hota
acha ye gunahun ka bimaar nahi hota
go sans ki mala ab tootne wali hai
ghaflat se magar phir bhi bedar nahi hota
Dil haye gunahun se bezar nahi hota
maghlob shahaa nafs e badkar nahi hota
acha ye gunahun ka bimaar nahi hota
go sans ki mala ab tootne wali hai
ghaflat se magar phir bhi bedar nahi hota
Subscribe to:
Posts (Atom)