Do you like this story?

Monday, 7 September 2015

Mujhe miti ke ghar banane ka shok tha,

Bewafa Ghazal, Mujhe miti ke ghar banane ka shok tha,
Mujhe miti ke ghar banane ka shok tha,
Usay ashiyane girane ka shok tha,
Mai khud se roth jata hon aksar is liye,
Mujhe rothay howe log manane ka shok tha,
Usay Wadoon ki paasdari pasand na thi,
Lekin mujhe waaday nibhane ka shok tha,
Mai masroof tha tanhayun ki talaash mai,
Usay logon se milne milane ka shok tha,
Wo bewafa tha is mai herat ki baat kya hai,
mujhe bhi bewafa logon se DIL lagane ka shok tha,,

Bara kathin hai rasta jo aa sako toh sath do!

Bewafa Ghazal, Bara kathin hai rasta jo aa sako toh sath do!
Bara kathin hai rasta jo aa sako toh sath do!
Ye zindagi ka fasla mita sako to sath do!!
Bare fareb khaoogi, bare sitam utaoogi!
Ye umar bhar ka sath hai nibha sako toh sath do!!
Jo tum kaho, ye dil toh kya, mai jaan bhi fida karon!
Jo main kahon, bus ek nazar, luta sako toh sath do!!
Hazaar imtehan yahan, hazaar azmaeish!
Hazaar dukh, hazaar gham, utha sako toh sath do!!
Ye zindagi yahan khushi ghumoon ke sath sath hain!
Rula sako toh sath do, hansa sakho toh sath do!!

Kisi Ki Rah Ankhain Bicha Kar Kuch Nahi Milta, ,

Bewafa Ghazal, Kisi Ki Rah Ankhain Bicha Kar Kuch Nahi Milta,
Kisi Ki Rah Ankhain Bicha Kar Kuch Nahi Milta, ,
Ye Dunya Bewafa Hai Dil Laga Kar Kuch Nahi Milta, ,
Koi Bhi Loat Kar Ata Nahi Anso Bahane Se, ,
Kisi Ki Yad Mai Dil Ko Rula Kar Kuch Nahi Milta, ,
Kisi ke Dil Par Kya Guzre Kisi Ko Kya Khabar Iski, ,
Kisi Ko APna Hal-e-Dil Suna Kar Kuch Nahi Milta, , , ,

Bichar Kar Tum Se ZIndagi Saza Lagti Hai, ,

Bewafa Ghazal, Bichar Kar Tum Se ZIndagi Saza Lagti Hai, ,
Bichar Kar Tum Se ZIndagi Saza Lagti Hai, ,
Ye Sans Bhi Jaise Mujh Se Khafa Lagti Hai, ,
Tarap Uthte Hain Dard Ke Maare, ,
Zakhmon Ko Jab Tere Sheher Ki Hawa Lagti Hai, ,
Agar Umeed-e-Wafa Karon To Kis Se Karon, ,
Mujh Ko To Meri Zindagi Bhi Bewafa Lagti Hai, , , , ,

Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai

Bewafa Ghazal, Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah
Aye Zindagi Yeh Raaz Chupaon To Kis Tarah

Apni Tabahiyoon Mein Mera Haath Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Toota Jo Dil Ka Aaina Tootay Sabhee Bharam
Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeenay Ke Liye Kamm

Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Sunday, 6 September 2015

Us bewafa se bhala rishta mita kesy dun.

Bewafa Ghazal, Us bewafa se bhala rishta mita kesy dun.
Us bewafa se bhala rishta mita kesy dun. 
Wo JAAN hai meri usy bhola kesy dun. 
Apni roh me basa k jise pyar kya tha, 
Sochta hun usy ab dagha kesy dun. 
Kitne khwab sajaye thy meri in ankhon ne, 
Men apna har khwab bhala jala kesy dun.
Wo roye ga to ansu mere b niklein ge, 
Us ki bewafai ki usy saza kesy dun. 
Wo kehta hai k us ki khushi ki dua mangon men, 
Par wo kisi or ka ho jaye usy ye dua kesy dun...

Shab-e-hijran ki aziyat ki khabar kis ko hai

Bewafa Ghazal, Shab-e-hijran ki aziyat ki khabar kis ko hai
Shab-e-hijran ki aziyat ki khabar kis ko hai 
Meri gumnaam mohabbat ki khabar kis ko hai 

Kis ko ahsas mere 
shidat-e-jazbat ka 
Mere halaat meri wehshat ki khabar kis ko hai 

Kon veeran makano ki khabar rakhta hai 
Meri ujri hoi kismat ki khabar kis ko hai 
Me ne chup chaap 

mohbat k sitam jheele hen 
Meri is darja sharafat ki khabar kis ko hai
Kon aaye ga ay dil ab tuj ko tasalli dene 

Teri udaas Tabiyat ki khabar kis ko hai.

Khawahishen Be'Lagaam Matt Karna,,

Bewafa Ghazal, Khawahishen Be'Lagaam Matt Karna,,
Khawahishen Be'Lagaam Matt Karna,, 
Rizq Apna Haram Matt Karna.. 
Be'Wafa K Qareeb Matt Jana,, 
Bud'Zubaan Sy Kalam Matt Karna.. 
Doston Ko Khuloos Sy Milna,, 
Gharz Rakh K Salaam Matt Karna.. 
Dekhna Ishq Main Kabhi Apni,, 
Zindagani Ghulam Matt Karna.. 
Toot Jaein Talluqaat Agr,, 
Raaz Ki Baat Aam Matt Karna.. 
Kisi K Dil Main Rehna To Umar Bhar Rehna,, 
Aik Do Din Qayaam Matt Karna..!!

Wo Khafa Hein Hum Se To Khafa Hi Rehne Do

Bewafa Ghazal, Wo Khafa Hein Hum Se To Khafa Hi Rehne Do
Wo Khafa Hein Hum Se To Khafa Hi Rehne Do 

Hum Ko Unka Gunahgar Hi Rehne Do 

Wo Samajhte Hein Hum Ne Chorr Diya Hy Unko 

Baat To Jhoot Hai Magar Such Hi Rehne Do 

Muddaton Mangi Hein Khuda Se Khushian Unki 

Jo Aata Hai ILzam Hum Pe To ILzam Hi Rehne Do 

Unki Shart Hy K Mein Bewafa Banu 

Agar Khushi Miley Unko To Mujhe Bewafa Hi Rehne Do 

Aaye Ga Waqt To dikha'en Ge Tum Ko Apna Khuloos 

Abhi Khamosh hein, Hum Ko Bus Khamosh Hi Rehne Do.....

Ab Kahan Muhabat mein Wo Maza raha Hy..

Bewafa Ghazal, Ab Kahan Muhabat mein Wo Maza raha Hy..
Ab Kahan Muhabat mein Wo Maza raha Hy.. 
Na Pardy Ka Pata Na Wo 
Sharm-0-Haya Hy.. 
Muhabat Krty Hain Sirf Dil Ko Behlany K Liye.. 
Hr Aik Aashiq Ab To Yahan Be-Haya Hy.. 
Pyar Ka Naam Detay Hain Hwas K Pujari Jis Ko.. 
Apni Hasrat Kar K Puri Kehty Hain 
Hum ny Kiya hi Kya Hy.. 
Muhabat Wo Jazba Hy Jo Do Dilon Ko Milata Hy.. 
Milen Jis mein Sirf Do Badan Socho Wo Rishta Kya Hy.. 
Main B Phirta raha 
Talaash-e-Mohabat mein.. 
Sirf dokha hi dokha hy ab pyar mein rakha kya hy..

Baat Din Ki Nhi Muje Raat Se Darr Lgta Hy,

Bewafa Ghazal, Baat Din Ki Nhi Muje Raat Se Darr Lgta Hy,
Baat Din Ki Nhi Muje Raat Se Darr Lgta Hy, 
Ghr Kacha Hy Mera Muje Barsaat Se Dar Lgta Hy, 
UsNe Tohfey Me Diye Muje Kh00n K Aansu, 
Zindgi Ab Teri Her Soghaat Se Dar Lgta Hy,, 
Choro Pyar Ki Baten Koi Or Baat Kro, 
Ab To Pyar Ki Har Baat Se Dar Lgta Hy, 
Meri Khatir Wo Kahin Badnaam Na Ho Jaye, 
Is Liye Uski Her Mulaqat Se Darr Lagta Hy, 
Apno Me Reh Kr Kuch Aisey ZaKhm Khaye hain, 
K Humein t0 ab 
Apni Zaat Se bi. 
Darr Lagta hai!

Kitabon k warkon ko palat kr sochta hon

Bewafa Ghazal, Kitabon k warkon ko palat kr sochta hon
Kitabon k warkon ko palat kr sochta hon 
U palat jaye zindgi to kiya baat hai 

Khwabon mein roz milta hai jo 
Haqiqat mein Aa jaye to kiya baat hai 

Kuch log matlab k liye dhondty hein mujhy 
Bina matlab koi Aaye to kiya baat hai 

Qatal kr k to sub le jayein gey dil mera 
Koi baton se ley jaye to kiya baat hai 

jab tak zinda hon tab tak to khushi doo ga sub ko 
Meri mout se b ager kisi ko khushi mil jaye to kiya baat hai.

Us be'wfa se bhla rishta mita kesy dun.

Bewafa Ghazal, Us be'wfa se bhla rishta mita kesy dun.
Us be'wfa se bhla rishta mita kesy dun. 
Wo JAAN h meri usy bhola kesy dun. 
Apni roh me bsa k jise pyar kya tha, 
Sochta hun usy ab dagha kesy dun. 
Kitne khwab sjaye thy meri in ankhon ne,
Men apna hr khwab bhla jala kesy dun. 
Wo roye ga to ansu mere b niklein ge, 
Us ki be'wfai ki usy sza kesy dun. 
Wo kehta h k us ki khushi ki dua mangon men, 
Pr wo ksi or ka ho jaye usy ye dua kesy dun.

bana kr Log kehty thy k dosti mein sirf ruswai hy,

Bewafa Ghazal, bana kr Log kehty thy k dosti mein sirf ruswai hy,
bana kr Log kehty thy k dosti mein sirf ruswai hy, 
Aakhir wo B chor gaya apna TALBGAAR bana kr, 

Ab to hr taraf se log mje loot rahe hain, 
Koi dost koi yar to koi PYAR bana kr, 

Zindagi mein mujhe mazak bana kr dil na bhara uska, 
Wo bohat khush hua meri qabar ko DARBAAR bana kr.......!!!!

Hussan Wale Pyar Main Mehboob Ko Kya Dety Hain

Bewafa Ghazal, Hussan Wale Pyar Main Mehboob Ko Kya Dety Hain
Hussan Wale Pyar Main Mehboob Ko Kya Dety Hain 
Do Din Pyar Kiya Phir Bhula Dety Hain 

Aashiqo Ki Qismat Hai Bus Tarapna 
Girte Hain Jo Un k Aansoo Wo Zamee Ko Jala Dety Hain 

Is Jahan Main Apni Khushiyon Ki Khatir Ay "pari.. 
Log Dusron Ki Khushiyon Ka Gala Daba Dety Hain 

Hussan Walon Se Na Tum Itna Pyar Karo,
Ye To Aashiqo Ki Mout Par B Muskura Dety Hain 

Na Karna Aitabar Matlabi logon Par 
Be'wafa log Hi Aashiyana Jala Dety Hain.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...