Do you like this story?

Saturday, 5 September 2015

Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan Nai Aan,

Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan Nai Aan,
Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan Nai Aan,
Guftar Mein Kirdar Mein Allah Ki Burhan,

Qahari-O-Ghafari-O-Qudosi-O-Jabroot,
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman,

Hamsaya-E-Jibreel-E-Ameen Banda-E-Khaki,
Hai Is Ka Nashaiman Na Bukhara Na Badakhsan,

Ye Raz Kisi Koi Nahi Maloom Ke Momin,
Qari Nazar Ata Hai Haqeeqat Mein Hai Quran,

Qudrat K Maqasir Ka Ayyar Is K Irade,
Dunia Mein Bhi Meezan Qayamat Mein Bhi Meezan,

Jis Se Jigar-E-Lala Mein Thandak Ho,
Wo Shabnam Dariaon K Dil Jis Se Dehal Jain Wo Taufan,

Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan Nai Aan....

Ae Rah e Haq ke Shaheedo,wafa ki tasweeron,

Ae Rah e Haq ke Shaheedo,wafa ki tasweeron,
Ae Rah e Haq ke Shaheedo,wafa ki tasweeron, 
tumhe watan ki hawayein Salam kehti hein,

laganay aag jo aye thay ashianay ko woh sholay, 
apne lahoo se bujha diye hai tumhe Bacha liya hai yateemi se kitne phoolon ko , 
Suhag kitni baharon ke Rakh tumne

Tumhain Chaman Ke Fazaien Salam Kehtien Hain

Ae Rah e Haq ke Shaheedo,wafa ki tasweeron, 
tumhe watan ki hawayein Salam kehti hein,

Chalay jo hoge shahadat ka jaam pi ke tum, 
Rasool Paak (SaW) ne baanhon mei le liya hoga,
 Ali (Rza) tumhari shujaat pe jhoomte hongein, 
Hussain (Rza) pak ne irshaad yeh kiya hoga tumhe khuda ki Razayein salam kerti hein

Ae Rah-e-Haq Kay Shaheedo, wafa ki tasweeron,
 tumhe watan ki hawayein salam kehti hein

Janab e Fatima Jigar e Rasool (SaW) ke aagay Shaheed ho ke kiya maa ko surkhuroo tum ne Janab e Hazrat Zainab (Rza) gawahi deti hain, Shaheedo rakhi hai behnon ki aabroo tum ne,

watan ki betiyan, maayein salam kehti hein

Ae Rah e haq kay Shaheedo, Wafa ki tasweeron, tumhe watan ki hawayein salam kehti hein


Ae Watan K Sajeeley Jawano

Ae Watan K Sajeeley Jawano
Ae Watan K Sajeeley Jawano
Ae Watan K Sajeeley Jawano
Ae Watan K Sajeeley Jawano
Mere Naghmey Tumharey Liye Hain

Sarfaroshi Hai Eemaan Tumhara
Jurraton K Paristaar Ho Tum
Jo Hifazzat Karey Sarhadon Ki
Woh Falakbos Deewar Ho Tum
Ae Shujaaat K Zinda Nishano 
Mere Naghmey Tumharey Liye Hain

Beewiyon, Maaon, Behnon Ki Nazrein Tum Ko Dekhein To Yun Jagmagayen Jaisey Khamoshiyon Ki Zaban Se 
De Rahee Hon Woh Tum Ko Duaen
Kom K Ae Jarrri Paasbano
Mere Naghmey Tumharey Liye Hain

Tum Pe Jo Kuch Likha Shairoon Ne Us Mein Shamil Hai Awaz Meri
Urr K Pohancho Ge Tum Jis Falak Per Saath Jaye Gi Parwaaz Meri 
Chaand Taron K Ae Raazdaro
Mere Naghmey Tumharey Liye Hain

AweSOm poetry, Guzarta saal hai

AweSOm poetry, Guzarta saal hai
Guzarta saal hai
or saal ka ye aakhri din hai
abhi kuch dhoop hai lekin
zara c der ko tay hai k aakhir
shaam honi hai
haqeeqat ya kahaani jo bhi hai
anjaam honi hai
agar tay hai yehi hona
to phir kis baat ka khadsha
to phir kis baat ka rona
chalo mil beth kar apnay
khasaaray baant lete hein
sabhi rang aur jugnu or sitaaray
baant lete hein....

guzarta saal hai or saal ka ye
aakhri din hai
abhi kuch dhoop hai lekin
zara c der ko tay hai k aakhir
shaam honi hai
haqeeqat ya kahaani jo bhi hai
anjaam honi hai
agar tay hai yehi hona
to kyoun na shaam se pehlay
kisi anjaam se pehlay
bhula kar har pareshaani
jhatak kar har takalluf ko
jo kuch ghariya'n mayassar hein
inhi mein zindagi kar lein
kisi ehsas ki sham'a jala kar in
andheron mein
koi dam roshni kar lein
chalo hum dosti kar lein,

AweSOm poetry, Kehte Hain K Hum Se Khata'kaar Bohat Hain_

AweSOm poetry, Kehte Hain K Hum Se Khata'kaar Bohat Hain_

Kehte Hain K Hum Se Khata'kaar Bohat Hain_

Ek Rasm_e_Wafa Thi So Wafa'daar Bohat Hain_

Raaho'n Mai Koi Aabla Paa Ab Nahi Milta_

Raste Mai Magr Qafila_e_Salaar Bohat Hain_

Ek Khawab Ka Ehsan Bhi Uthaye Nahi Uth'ta_

Kia Kehiye K Asooda_e_Azaar Bohat Hain_

Har Jazba_e_Be'baad K Ehkaam Hazaro'n_

Har Lamha Be'khawab K Asaar Bohat Hain_

Palko'n Tak Aa Pohnche Na Honto'n Ki Tamazat_

Ab Tak To Aaina Bar'daar Bohat Hain_

AweSOm poetry, Aisa Bhi Nahi Us Se Mila De Koi Aa Kar_

AweSOm poetry, Aisa Bhi Nahi Us Se Mila De Koi Aa Kar_
Aisa Bhi Nahi Us Se Mila De Koi Aa Kar_

Kesa Hai Woh Itna To Bta De Koi Aa Kar_

Yeh Bhi Kisi Maa Ka Dulara Koi Hoga_

Is Qabar Pe Bhi Phool Charha De Koi Aa Kar_

Sookhi Hain Bari Dair Se Palko'n Ki Zubane'n_

Bus Aaj To Ji Bhar K Rula De Koi Aa Kar_

Barso'n Ki Dua Phir Na Kahin Khaak Mai Mil Jaye_

Yeh Abar Bhi Aandhi Na Urra De Koi Aa Kar_

Yeh Koh'Yeh Sabza'Yeh Machalti Hui Nadiya'n_

Mar Jaun Jo Manzil Ka Pta De Koi Aa Kar_

Har Ghar Pe Hai Aawaz Ek Dar Pe Hai Dastak_

Betha Hun K Mujh Ko Bhi Sadaa De Koi Aa Kar_

AweSOm poetry, SUNO EK KAM Hai TUM Se AgAr Wo KAM TUM Kr Do..

AweSOm poetry, SUNO EK KAM Hai TUM Se AgAr Wo KAM TUM Kr Do..
SUNO EK KAM Hai TUM Se AgAr Wo KAM TUM Kr Do..
jO SEENAY MEiN DHARAKTA Hai. 
MUjHE Wo "DiL" NA Do. 

LEKiN. 

jO CHAHAT Us k ANDER Hai. 
Wo MeRe NAM TUM kR Do.

AweSOm poetry, Hansne nahin deta kabhi rone nahin deta,

AweSOm poetry, Hansne nahin deta kabhi rone nahin deta,
Hansne nahin deta kabhi rone nahin deta, 
Ye dil to koi kaam bhi hone nahin deta.. 

Tum maang rahe ho mere dil se meri khawahish, 
Bacha to kabhi apne khilone nahin deta.. 

Wo kon hai us se to main waaqif bhi nahin hoon, 
Jo mujh ko kisi aur ka hone nahin deta.

AweSOm poetry, Tum Q Bany Thy Dil Ka Sahara Jawab Do.

AweSOm poetry, Tum Q Bany Thy Dil Ka Sahara Jawab Do.
Tum Q Bany Thy Dil Ka Sahara Jawab Do. 
Ab Kahan Hai Wo Pyar Tmhara JAwab Do.? 

Kis Ko Tha Naz Apni Adaon Pe Har Ghari.
Kis Ne Kiya Wafa Se Kinara Jawab Do.? 

Hum to seh na saken gay judai ka ghum. 
YE Qol tha mera k tumhara jawab do. 

Ek tarf zindagi ek tarf mout hai. 
Ab kis taraf karo gay ishara jawab do.

AweSOm poetry, mujhe bujha de, mera dard mukhtasir kar de

AweSOm poetry, mujhe bujha de, mera dard mukhtasir kar de
mujhe bujha de, mera dard mukhtasir kar de
magar diye ki tarah mujh ko mo’atbar kar de

meri talaash ko benaam-o-besafar kar de
main tera raasta chhoRuu to dar-ba-dar kar de

judaaiyoN kii ye raateN to kaatnii ho'ngii
kahaaniyoN ko ko’ii kaise muKhtasir kar de

tere Khayaal ke haathoN kuch aisaa bikhraa hoon
ke jaise bachaa kitaabein idhar-udhar kar de

AweSOm poetry, Kaati Hai Gham Ki Raat Bare Ehtraam Se,

AweSOm poetry, Kaati Hai Gham Ki Raat Bare Ehtraam Se,
Kaati Hai Gham Ki Raat Bare Ehtraam Se,
Aksar Bujha Liya Hai Charaghon Ko Shaam Se,

Roshan Hai Apni Bazm Aur Isse Ehtemaam Se,
Kuch Dil Bhi Jal Rahe Hai Chiragho'n Ke Naam Se,

Muddat Hui Hai Khoon-E-Tamanna Kiye Magar,
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahoo Dil ke JaaM Se,

Subh-E-Bahar Humko Bulati Rahi Magar,
HuM Khelte Rahe Kisi Damakti Shaam Se,

Har Saans Par Hai Maut Ka Pehra Laga Hua,
Ahista Aye Hayat ! Guzar Is MuqaaM Se,

Kati Tamaam umr Faraib-E-Bahaar Mein,
Kante Samait-te Rahe Phoolon Ke Naam Se,

Ye Aur Baat Hai Ke HuM Na Sun Sake,
Awaz Usne Di Hai Hamein Har MuqaaM Se...!!

AweSOm poetry, Kia mila us ko Mohabbat mein judayee de kar,

AweSOm poetry, Kia mila us ko Mohabbat mein judayee de kar,
Kia mila us ko Mohabbat mein judayee de kar,
Jis ko paya tha Sar-e-Aam khudayee de kar,

Is ka gham ab to mujhe reza reza karta hai,
Thak gai Rooh bhi ab is ko duhaayee de kar,

Aaj bikhra hoon mein tootey huay taarae ki tarah "WASi"
Aaj wo khush hay mujhe khud se rehayee de kar.....!

AweSOm poetry, Wisal Mosam Guzar Gaya To Khyaal Ban Kar Mila Karaingy

Wisal Mosam Guzar Gaya To Khyaal Ban Kar Mila Karaingy 
Bichar Gay Hum Agar To Phir 
Maah_o_Saal Ban Kar Mila Karaingy 

Kitab_e_Ehd_o_Wafa K Ek Ek Warq Pe Apni Khabar Milegi 
Hum Ehl_e_Ulfat Mohbaton Ki Misaal Ban Kar Mila Karaingy 

Hazar Lamhon Ki Ho Musafat Dilon Ki Dharkan Sunai Degi 
Guzrty Lamhon Ki Har Sada Me Kamal Ban Kar Mila Karengy 

Abi To Lamhon Ki Dooriyon Par Bhatak Rahy Hain Magar Kabi Hum 
Falak Ki Gardish Me Aa Gay To Hilal Ban Kar Mila Karaingay

AweSOm poetry, Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hai..

AweSOm poetry, Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hai..
Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hai..
Ik Samandar Meri Aankhon Se Baha Karta Hai..

Uss Ki Batain Mujhe Khushbu Ki Tarah Lagti Hain..
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hai..

Mere Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hai..
Woh Har Ik Shakhs Ko Daanista Khafa Karta Hai..

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi..
Baat Itni Hae Kay Woh Mujh Se Jafa Karta Hai..

Jab Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi..
Wo Bahaaron Main Zara Kam Mila Karta Hai..

AweSOm poetry, Dabi Dabi Si Woh Muskurahat; Labon Pe Apney Saja Saja Ke,

Dabi Dabi Si Woh Muskurahat; Labon Pe Apney Saja Saja Ke,
Woh Narm Lehje Me Baat Karna; Adaa Se Nazren Jhuka Jhuka Ke,

Woh Aankh Teri Shararti Si;Woh Zulff Maathey Pe Naachti Si,
Nazar Hatey Na Ek Pal Bhi;Main Thak Gaya Hoon Hata Hata ke,

Woh Tera Haathon Ki Ungliyon Ko;Mila Ke Zulfon Main Khho Sa Jana,
Haya Ko Chehrey Pe Phir Sajana,Phhool Chehra Khila Khila Ke,

Woh Haath Hooron Ke Ghar Hon Jasey,Woh Paa'On Pariyon Ke Par Hon Jasey,
Nahi Hai Teri Misaal JANAA;Main Thak Gaya Hun Bata Bata ke.. 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...