Do you like this story?

Saturday, 5 September 2015

AweSOm poetry, Surkh sharabon jesi ankhen phool ki pati jaise hont.

AweSOm poetry, Surkh sharabon jesi ankhen phool ki pati jaise hont.
Surkh sharabon jesi ankhen phool ki pati jaise hont. 
Gul ko dho de jesy shabnam us Larki k waisy hont. 

Aankh uthaye tu tarpa de boly tu dehkaye aag. 
Uff toba ye kesi ankhen uff toba ye kesy hont. 

Aksar dhoonda karty hen hum phir kar sheher ki sarkon par. 
Mast katora c wo ankhen mast bnaany waly hont. 

Kitni pyari lagti hen wo ankhen mast ghazlon C. 
Sholy se bharkaty dil me uff wo aag ugalty hont. 

Uff wo jaaron ka mosam wo barfon jesi tez hawa. 
Jany kya kya yad dilayen kanpty or thirakty hont. 

Ik zara bas chu leny se Aajiz jal kar khak huay. 
Akhir kab tak dekhte rehty us k angaron se hont.

AweSOm poetry, Wo Jis Markaz Se Thay Mansoob Us Se Hat Chuke Hain..

Wo Jis Markaz Se Thay Mansoob Us Se Hat Chuke Hain..
Wo Jis Markaz Se Thay Mansoob Us Se Hat Chuke Hain.. 
Idhar Kuch Din Se Hum Har Raabtey Se Kat Chuke Hain.. 

Isi Mehdood Safhey Par Likhein Apni Kahaani.. 
K Hum Doonon Taraf Se Haashiyon Mein Bat Chuke Hain.. 

Bharam Rakha Huwa Hai Dhoop Mein Saaye Ne Apna.. 
Wagarna ! Hum Qad-o-Qaamat Mein Kab k Ghat Chuke Hain.. 

Wohi Sooraj Se Le Kar Chaand Tak Lamho'n ka Chalna.. 
Hamein Ab Roz-o-Shab k Sab Manaazir Rat Chuke Hain..

AweSOm poetry, Bhoole Na Kisi Haal Me Aadaab-e-Nazar Hum.

AweSOm poetry, Bhoole Na Kisi Haal Me Aadaab-e-Nazar Hum.
Bhoole Na Kisi Haal Me Aadaab-e-Nazar Hum. 
Mur Kar Na Tujhe Dekh Sake Waqt-e-Safar Hum. 

Ay Hussn! Kisi Ne Tujhe Itnaa Tu Na Chaaha. 
Barbaad Huwa Tere Liye Kon Magar Hum. 

Jeene ka Hamein Khud Na Mila Waqt Tu Kya Hai. 
Logon ko Sikhlaate Rahe Jeene Ka Hunar Hum. 

Ab Tere Taalluq Se Hamein Yaad Hai Itna. 
Aik Raat ko Mehmaan Rahe Thay Tere Ghar Hum. 

Dunya Ki Kisi shaan Se Dhundla Nahi Sakta. 
Aankhon Me Liye Phirte Hain jo Khuwaab-e-Sehar Hum. 

Wo Kon Si Aahat Thi Jo Khuwaabon Me Dar Aayi. 
Kya Jaaniye Kiun Chaunk Parre Pichle Pehar Hum.

Parakhna mat parakhne se koi apna nahi rehta,

AweSOm poetry, Parakhna mat parakhne se koi apna nahi rehta,

Parakhna mat parakhne se koi apna nahi rehta,
Kisi bhi Aaina me dair tak chehra nahi rehta...

Baray logon se milne me hamesha fasla rakhna,
Jahan darya samandar se mila, darya nahi rehta...

Tumhara Shehar to bilkul naye andaz wala hai,
Hamare shehar me bhi ab koi hum sa nahi rehta...

Mohabbat aik khushbu hai hamesha saath chalti hai,
Koi insan tanhai me bhi tanha nahi rehta....

Koi badal haray mausam ka phir ailan karta hai,
Khizan ke bagh mein jab aik bhi patta nahi rehta...

Udaas Shamein, Ujaad Rastey, Kabhi Bulayen

AweSomE poetry, Udaas Shamein, Ujaad Rastey, Kabhi Bulayen,
Udaas Shamein, Ujaad Rastey, Kabhi Bulayen
To Laut Ana;
Kisi Ki Ankhon Mein Ratjagon Ke Azaab Ayen To
Laut Ana;

Abhi Nayi Wadiyon, Naye Manzron Main Reh
Lo Magar Meri Jaan;
Yeh Saarey Aik Aik Karke Jab Tum Ko Chhod
Jayen To Laut Ana;

Naye Zamanon Ko Qurb Orrhey, Zayeef
Lamhey, Niddhaal Yadein;
Tumharey Khawbon Ke Band Kamron Mein Laut
Ayen To Laut Ana;

Agar Andheron Mein Chod Kar Tum Ko Bhool
Jayen Tumhare Sathi;
Aur Apni Khatir Hi Apne Apne Diye Jalayen To
Laut Ana;

Meri Woh Batein To Jin Pe Be'ikhtyaar Hanstaa
Tha Khil'khilaa Kar;
Bicharney Wali Meri Woh Batein Kabhi
Rulaayein To Laut Ana!
You might also like:

Yehi Rasm-e-Wafa hai

AweSOm poetry,Yehi Rasm-e-Wafa hai
Yehi Rasm-e-Wafa hai 
Honton py Dua hai Roye Na Koi Dil Har K

Kisi Jhonkay Ne Fiza k
Gham Ka Fasana Likh Diya Pholon K Rukhsar py

Gham Hain Ye Gehere
Aankhon me Jo Tehere 
Lagte Hain Begane Kyun Apno k Chehre

Kaisi Aagan Hai
Kaisi Jalan Hai
Jalti Hai Nam Aankhon me Sham Sawery

Mere Sath Chali Tanhai
Tujh Se Jo Ye Nazar Milai

Rab'ba Haal Mera Tu hi Jane
Khudgarz Hain Log Deewane

Kaise Dil Ne Hamain Tarpaya
Jaane Kyun Ye Rog Lagaya

1st Muharrum Youm-e-Shahdat of Hazrat Umar R.A

1st Muharrum Youm-e-Shahdat of Hazrat Umar R.A

My heart breaks when I see this !

My heart breaks when I see this !
My heart breaks when I see this ! My heart breaks when I see this !

My heart breaks when I see this ! 
May Allah give sabar to his parents ..

main saara din bohat masroof rehta hoon magar joonhi

main saara din bohat masroof rehta hoon magar joonhi
main saara din bohat masroof rehta hoon magar joonhi

Is bachay ka sochta hn.
Is picture ko dekhta hn To.

Aankhein Bheeg jati hain. :(

Friday, 4 September 2015

Duniya Ki Talab Nahi Magar Yeh Hasrat Hai,

Duniya Ki Talab Nahi Magar Yeh Hasrat Hai,
Duniya Ki Talab Nahi Magar Yeh Hasrat Hai,


Apni Baanhon Mein Ley Lun Or Duniya Sy Be-Khabar Kar Dun..


W0 kehta hai Mera Dil Aakhir Tum Se Q nahi Bharta..

W0 kehta hai Mera Dil Aakhir Tum Se Q nahi Bharta..
W0 kehta hai Mera Dil Aakhir Tum Se Q nahi Bharta..

Main kehti h0on M0habbat ki k0i had He nahi h0ti. . 

Rastey Kahan Khatam Hotey Hein Zindagi K Safar Mein,

Rastey Kahan Khatam Hotey Hein Zindagi K Safar Mein,
Rastey Kahan Khatam Hotey Hein Zindagi K Safar Mein,

Manzil Tou Wahi Hai Jahan Khuwahishein Tham Jaein..


Tumhari pasnd hamari chahat ban jaaye....

Tumhari pasnd hamari chahat ban jaaye....
Tumhari pasnd hamari chahat ban jaaye....
Tumhari muskurahat dil ki rahat ban jaaye....

Khuda khushiyon se itna khush karde apko....
Apko khush dekhna hamari adat ban jaaye..!!
(Ameen)

Kisi Ko Intezar Ki Saza Nahi Dete........

Kisi Ko Intezar Ki Saza Nahi Dete........
Kisi Ko Intezar Ki Saza Nahi Dete........
.
Pyar Dene Wale Ko Dil Se Bhula Nahi Dete........
.
Mere Ho Aur Hamesha Sirf Mere Rehna.......
.
Kyunki Ham Har Kisi Ko Aisi Wafa Nahi Dete…

Meri Qurbat Mein Jo Tum Kabhi Aao..

Meri Qurbat Mein Jo Tum Kabhi Aao..
Meri Qurbat Mein Jo Tum Kabhi Aao..

Tujhko Sikha Doon, Mohabbat Kay Sary Amal.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...