Do you like this story?

Wednesday, 2 September 2015

Alone but happy,Kitney Tohfay Dayti Hay na Yeh Mohabbat bhi.

Alone but happy,Kitney Tohfay Dayti Hay na Yeh Mohabbat bhi.
Kitney Tohfay Dayti Hay na Yeh Mohabbat bhi.

Ruswai Alag, Judai Alag, Or Tanhai Alag...!


Ksi Ki Baat Main Aakar,

Ksi Ki Baat Main Aakar,
Ksi Ki Baat Main Aakar,
Ksi ka Piyaar Tum Paa Kar,
Mujhy Tum Bhool Na Jana,

Ksi Ki Soch Mein Bas Kar,
Ksi Ki Aas Tum Ban Kar,
Mujhy Tum Bhool Na Jana,

Tumhary Bin Kabhi Ek Pal,
Guzarta Hi Nahi Mera,
Magr Tum Yaad Rakh Lena,
Mujhy Tum Bhool Na Jana,

Tumhy har pal Ary pagal.
Is Dil Ny Chaha Hai
Ksi ki Chahat Tum Paa Kar,
Mujhy Tum Bhool Na Jana.

Ulfat-e-Yar Mein Khuda Se Aur Kiya Mangu..

Ulfat-e-Yar Mein Khuda Se Aur Kiya Mangu..
Ulfat-e-Yar Mein Khuda Se Aur Kiya Mangu..

Khuda Tumhein Khushiyan De__ Aur Mujhe Faqat Sath Tera...!!

Kal Shab Ka Chand Hu-B-Hu Tum Jaisa Tha.!!

Kal Shab Ka Chand Hu-B-Hu Tum Jaisa Tha.!!
Kal Shab Ka Chand Hu-B-Hu Tum Jaisa Tha.!!


Wo Hi Husn ,Wo Hi Guroor Aur Bohat Door...!!

Teri Baanhon Mein Hain Dono Jahan Mere.

Teri Baanhon Mein Hain Dono Jahan Mere.
Teri Baanhon Mein Hain Dono Jahan Mere.

Main Kuch Bhi Tou Nahi Siwa Tere ......!!

Khud Ko Khoney Ka Pata Nahi Chala,

Khud Ko Khoney Ka Pata Nahi Chala,
Khud Ko Khoney Ka Pata Nahi Chala,

Tum Ko Paany Ki Yun Inteha Kar Di..

Tum Yaad Rakho Ya Bhool Jao,

Tum Yaad Rakho Ya Bhool Jao,
Tum Yaad Rakho Ya Bhool Jao,

Tum Yaad Ho Yeh Yaad Rakhna..


Tuesday, 1 September 2015

Aise lagay "UDAS" "SAR-E-SHAM" zindagi

Aise lagay "UDAS" "SAR-E-SHAM" zindagi
Aise lagay "UDAS" "SAR-E-SHAM" zindagi
Jaise kisi ki "AANKH" ka ho "ILZAM" zindagi
Apne "JAAN" mein dekha tere "BAAD" kuch na tha
Humne "LAGA" di aaj tere "NAAM" zindagi
Jis k bina ye "SAANS" mujhe "DOOBTI" lagey
Ja kar "USAY" b "DHOOND" kisi sham zindagi
Ye "PYAR" dard na ban sakey jis k "NASHE" me
Pila de "MUJH" ko "AAJ" wohi "JAAM" zindagi
Ab "DOOSTON" k "HATH" mere "HATH" mein nahi
Girney laga hon "AAJ" mujhe "THAM" zindagi

Ulji hoi zat ko pany ki zid na karo

Ulji hoi zat ko pany ki zid na karo
Ulji hoi zat ko pany ki zid na karo
Jo na ho apna usy apnany ki zid na karo
Is samundar me tufan bohat aty hain
Is k sahil pe ghar banany ki zid na karo

Alone but happy,Khushbuu jaise log mile afsaane meN

Alone but happy,Khushbuu jaise log mile afsaane meN
Khushbuu jaise log mile afsaane meN
ek puraana Khat kholaa anjaane meN

jaane kis kaa zikr hai is afsaane meN
dard maze letaa hai jo duhraane meN

shaam ke saaye baalishtoN se naape haiN
chaaNd ne kitnii der lagaa dii aane meN

raat guzarte shaayad thoRaa vaqt lage
zaraa sii dhuup uNdel mere paimaane meN

dil par dastak dene ye kaun aayaa hai
kis kii aahat suntaa huN viirane meN

Alone but happy,Dil me mehak rahe hain kisi aarzoo ke phool

Alone but happy,Dil me mehak rahe hain kisi aarzoo ke phool
Dil me mehak rahe hain kisi aarzoo ke phool
Palkon pe khilne wale hain shayad lahoo ke phool

Ab tak hai koi baat mujhe hurf hurf yaad
ab tak mai chun raha hun kisi guftugu ke phool

Kaliyan chatak rahi thin ke awaz thi koi
ab tak sama_aton me hain ik khush gulu ke phool

Mere lahoo ka rang hai har noke khaar par
sehraa me har taraf hain meri justuju ke phool

Deewane kal jo log the phulon ke ishq me
ab unke damano me bhare hain rafoo ke phool

Alone but happy,Daldal thi zindagi so dhansta chala gaya

Alone but happy,Daldal thi zindagi so dhansta chala gaya
Daldal thi zindagi so dhansta chala gaya
Main apni bebasi pe yun hi hansta chala gaya

Pehle dikha raha tha mujhe manzilon ke khawab
Phir mere saamnay se woh rasta badalta chala gaya

Main ro para tha jis ki judai ko soch kar
Woh shakhs mere haal pe hansta chala gaya

Main khud lipat gaya tha jise Dost jaan kar
Woh saanp ki tarhan mujhe dasta chala gaya

Alone but happy,Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga

Alone but happy,Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga

Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi
Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga

Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye
Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga

Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho
Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga

Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko
Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga

Naraz agar wo hain Mere Nasheman se
Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga

Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye
Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga

kaise unhe batain ki pyar unse kitna karte hain hum

kaise unhe batain ki pyar unse kitna karte hain hum
kaise unhe batain ki pyar unse kitna karte hain hum
jinko kabhi payen hi nahi kyu unhe khone se darte hai hum
tammana thi jinpe mar mitne ki kabhi hume…..
aaj unke hi lie pal pal marte hain hum

Alone but happy,Koi Yaad Saloni Si,

Alone but happy,Koi Yaad Saloni Si,
Koi Yaad Saloni Si,
Koi Baat Purani Si,
Aankhon Se Jaari Hai,
Ashkon Ki Rawani Si,
Hans Ke Kisi Se Milna,
Lagta Hai Kahani Si,
Koi Mujh Ko Lagti Thi,
Khwabon Ki Raani Si,
Mere Rahe Takti Thi,
Pagal Si Diwani Si,
Bachpan Ke Beete Din,
Lagte Hai Nadani Se,
Aaj Jab Wo Mile,
Lage Kitne Begane Se.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...