Do you like this story?

Saturday, 29 August 2015

Wo kia hotay han pr tum inko kia se kia smjhti ho

Wo kia hotay han pr tum inko kia se kia smjhti ho
Wo kia hotay han pr tum inko kia se kia smjhti ho
Ke jo bhi hans k mil lay ussy apna smjhti ho

Chalo hum maan letay han k milna shart hi kb thi
Magr tum fasilon ko bhi koi rishta smjhti ho

Tum Uski zaat ka hissa tum uski soch ka mehwar
Tumhara jism hai wo tum jisse saya smjhti ho

Itna to dosti ka silaah dijiye mujhe,

Itna to dosti ka silaah dijiye mujhe,
Itna to dosti ka silaah dijiye mujhe,
Apna samajh ke zeher pilaa dijiye mujhe,

Uthe na taa-ke aap ki janib nazar koi,
Jitni bhi tohmtain hain lagaa dijiye mujhe,

Kyun aap ki khushi ko mera gham kare udaas,
Ik talkhh haadsa hoon bhula dijiye mujhe,

Main aap ke qareeb hi hota hoon har gharri,
Moqa kabhi parre to sadaa dijiye mujhe,

Har cheez dasstiyaab hai bazaar main Adam,
Jhooti khushi khareed ke laa dijiye mujhe.

Friday, 28 August 2015

Koi to baat hai dil mein aur itni gehri hai,

Koi to baat hai dil mein aur itni gehri hai,
Koi to baat hai dil mein aur itni gehri hai,
Teri hansi teri ankhon tak nahin pohanchtii..

Rotay rotay phaila kajlaa ankhon mein,

Rotay rotay phaila kajlaa ankhon mein,
Rotay rotay phaila kajlaa ankhon mein,
Pehney pehney sookha gajraa hathon mein.

Na-umeedi ka main qaayel to nahin hoon magar,

Na-umeedi ka main qaayel to nahin hoon magar,
Na-umeedi ka main qaayel to nahin hoon magar,
Mene barsaat mein jaltey huye ghar dekhe hain..

Tumhare hath ki dastak ki aas mein Mohsin,

Tumhare hath ki dastak ki aas mein Mohsin,
Tumhare hath ki dastak ki aas mein Mohsin,
Main apne ghar se kahin bhi nahin geya barson.

Tum sath ho to muqaddar pe hai hakoomat apni,

Tum sath ho to muqaddar pe hai hakoomat apni,
Tum sath ho to muqaddar pe hai hakoomat apni,
Bin tere zindagi ki aukaat hi kya hai.

Aj tu mehfil-e-yaraan pe hai maghroor bohat,

Aj tu mehfil-e-yaraan pe hai maghroor bohat,
Aj tu mehfil-e-yaraan pe hai maghroor bohat,
Jab kabhi toot ke bikhre ga to yaad aon ga.

Meri ruswaayi main woh bhi hain barabar ke sharik,

Meri ruswaayi main woh bhi hain barabar ke sharik,
Meri ruswaayi main woh bhi hain barabar ke sharik,
Mere qissey mere yaaron ko sunaata kya hai

Maahol hi saazgaar kab tha,

Maahol hi saazgaar kab tha,
Maahol hi saazgaar kab tha,
Hasrat hi rahi ke muskura’on…

Koshish ke baad bhi jo poori na ho sakin,

Koshish ke baad bhi jo poori na ho sakin,
Koshish ke baad bhi jo poori na ho sakin,
Tera naam bhi un khawishon mein hai..

Uljhi huyi nigaahon se mujhe dekhta raha,

Uljhi huyi nigaahon se mujhe dekhta raha,
Uljhi huyi nigaahon se mujhe dekhta raha,
Aayiney mein kharra shakhs pareshan tha bohat..

Apne jesi koi tasveer banani thi mujhe,

Apne jesi koi tasveer banani thi mujhe,
Apne jesi koi tasveer banani thi mujhe,
Mere andar se sabhi rang tumhare nikley.

Umar kitni manzilein teh kar chuki,

Umar kitni manzilein teh kar chuki,
Umar kitni manzilein teh kar chuki,
Dil jahan thehra, thehra hi reh geya

Waqt khush khush kaatne ka mashwra dete huye,

Waqt khush khush kaatne ka mashwra dete huye,
Waqt khush khush kaatne ka mashwra dete huye,
Ro parra woh aap mujh ko hauslaa dete huye..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...