Do you like this story?

Sunday, 23 August 2015

Khaak mutthi mein liya qabar ki yeh sochta hun mein...

Khaak mutthi mein liya qabar ki yeh sochta hun mein...
Khaak mutthi mein liya qabar ki yeh sochta hun mein...

Insaan jo marty hein to gharoor kahan jata hay.

Mujhe Yaad Hain Aaj Bhi Wo Raaten

Mujhe Yaad Hain Aaj Bhi Wo Raaten
Mujhe Yaad Hain Aaj Bhi Wo Raaten
Maa Jab Me Roya Karta Tha
Na Tujh Ko Sone Deta Tha
Na Khud Me Soya Karta Tha

Mujhe Yaad Hai Tera Thapkana
Tera Jagna Mera So Jana
Jab Bhook Se Roya Karta Tha
Teri Godd Me Soya Karta Tha

Teri Dant Dapat Bhi Sunta Tha
Tere Pyar K Moti Chunta Tha
Maa Aaj Bhi Mujh Ko Sona Hai
Dil Khol K Aaj Bhi Rona Hai
Tu Phir Se Lori De Mujh Ko
Phir Chain Se Mujh Ko Sona...

Chahat k Kashkool Utha Kar

Chahat k Kashkool Utha Kar
Chahat k Kashkool Utha Kar
Ranj O Alm K Dhool Baja Kar

Dar Dar Phirna Thik Nahi Hai
Suno Mohabbat Bheek Nahi Hai.

Har Koi Dil Ki Hatheli Pe Hai Sehra Rakhe

Har Koi Dil Ki Hatheli Pe Hai Sehra Rakhe
Har Koi Dil Ki Hatheli Pe Hai Sehra Rakhe
Kis Ko Serab Kare Wo Kise Pyasa Rakhe.

Umar Bhar Kon Nibahta Hai Taluq Itna
Ae Meri Jaan Ke Dushman Tuje Allah Rakhe.

Ham Ko Acha Nahi Lagta Koi Ham Naam Tera
Koi Tuj Sa Ho Tu Phir Naam Bhi Tuj Sa Rakhe

Dil Bhi Pagal Hai Ke Us Shakhs Se Wabasta Hai
Kisi Aur Ka Hone Na De Na Apna Rakhe..

Hans Na Itna Bhi Faqeron Ke Akele Pan Par
Ja, Khuda Meri Tarah Tuj Ko Bhi Tanha Rakhe.

Ye Qinayat Ye Itayat Hai Ke Chahat Hai Faraz
Ham Tu Razi Hai Wo Jis Haal Mein Jesa Rakhe

Khayalon Mein Bhtak Jana, Teri Yaadon

Khayalon Mein Bhtak Jana, Teri Yaadon
Khayalon Mein Bhtak Jana, Teri Yaadon
Mein Kho Jana

Bohat Hi Mehnga Para Ham Ko, Sitam Gar Tera Ho Jana

Dhund Chai Hui Hai Jheelon Par

Dhund Chai Hui Hai Jheelon Par
Dhund Chai Hui Hai Jheelon Par
Ur Rahe Hain Parinde Teelon Par

Sab Ka Rukh Hai Nishamon Ki Taraf
Bastion Ki Taraf, Banon Ki Taraf

Apne Glon Ko Le Kar Charwahe
Sarhadi Bastion Mein Ja Phunche

Dil-e Nakam! Main Kahan Jaon?
Ajnabi Shaam! Main Kahan Jaon?

Hota hai apni Aankh ka Aanso bhi Bewafa.

Hota hai apni Aankh ka Aanso bhi Bewafa.
Hota hai apni Aankh ka Aanso bhi Bewafa.

Wo bhi nikalta hai to kisi aur k liye.

Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,

Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,
Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,
Ashq kaa dariyaa hua hoon main palat ke aa bhi jaao tum,

Jahan pe hath chhorra tha jahan pe sath chhorra tha,
Usi raah pe kharra hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,

Udaasi ne banaya ghar mere dil k bagheeche mein,
Bohat hi ghamzada hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,

Dar-o-deewar kehte hain mere kaano mein aa aa kar,
Kab se veeraan parra hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,

Kisi ka baa-wafa hona Sajid sabab hai gar judaai ka,
Suno! phir be-wafa hoon main palat ke aa bhi jaao tum..

Toote huye ghar bhi zara dekh le chal ke,

Toote huye ghar bhi zara dekh le chal ke,
Toote huye ghar bhi zara dekh le chal ke,

Tanhayi main naqshe na bana taj mehal ke..

Aye Mohobbat Tu Meri Mohobbat

Aye Mohobbat Tu Meri Mohobbat
Aye Mohobbat Tu Meri Mohobbat
Ka Khyal Rakhna
Main Rahu Na Rahu Tu Use
Sambhal Rakhna
Bahut Nadan Hai Wo Meri Jaane
Wafa Tu Uski Hasi Ko Hamesha Bara
khayal Rakhna
Jab Bhi Wo Roye Meri Yaad Me To
Use Itna Kehna K
Main Laut Aaunga Bas Mujpe
Thora Aitbaar Rakhna Aur Jab Tak Main Laut Naa Aau
Tab Tak Aye
Mahobbat Tu Meri Mahobbat Ka
Khyal Rakhna

Ek pal ki ye baat nhi,

Ek pal ki ye baat nhi,
Ek pal ki ye baat nhi, 

Do pal ka ye sath nhi, 

Kehne ko to zindgi jannat se pyari hai, 

Par wo sath hi kya jisme tumhara Hath nhi.

Suna Hai Bohot Shoaq Hai Ap Ko Hukmarni ka...!

Suna Hai Bohot Shoaq Hai Ap Ko Hukmarni ka...!
Suna Hai Bohot Shoaq Hai Ap Ko Hukmarni ka...!


Yeh Dil Saltanat Hai Ap Ki Bsss Raaj Kijiyeee...

Meri Aankhon Me Utro Inhe Samandar Kardo

Meri Aankhon Me Utro Inhe Samandar Kardo
Meri Aankhon Me Utro Inhe Samandar Kardo
Kuch Hi Sahi Mohabbat Ki Ek Nazar Kardo

Toot Kar yon Milo Ke Armaan Na Reh Jaye Koi
Yon Mohabbat Ke Har Lamhe Ko Amar Kardo.

Jinke Noor Se Mil Jaye Beenai Hamein Bhi
Apne Khuwabo Ko Meri Aankhon Ki Nazar Kardo

Khubsurat Sa Ek Pal Kissa Ban jata Hai

Khubsurat Sa Ek Pal Kissa Ban jata Hai
Khubsurat Sa Ek Pal Kissa Ban jata Hai

Jane Kab Kaun Zindagi Ka Hissa Ban jata Hai

Kuchh Log Zindagi Mein Milte Hai Aise

Jinse Kabhi Na Tutne wala Rishta Ban jata Hai

Hum bhi shikastah dil hain pareshan tum bhi ho.

Hum bhi shikastah dil hain pareshan tum bhi ho.
Hum bhi shikastah dil hain pareshan tum bhi ho.

Andar se rezah rezah meri jaan tum bhi ho.

Hum bhi hain ek ujray hue shahr ki misaal.

Aankhein bata rahi hain ke veeran tum bhi ho.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...