Do you like this story?

Thursday, 20 August 2015

Qateel Shifai Poetry Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay

Qateel Shifai Poetry Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay
Qateel Shifai Poetry
Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay

Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay

Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat

Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay

Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki

Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay

Os Ne Kitnay Pyaar Se Apna Kufar Dia Nazraanay Mein

Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Se Karnay Aaye Thay

Kaisay Jati Mere Badan Se Beetay Lamhon Ki Khushbuu

Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mere Hamsaaye Thay
Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko

Pairr Pe Bethi Ek Chirrya Ne Apne Per Phailaaye Thay
Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Os Ka Wo Kehna Haye “Qateel”

Tum Ko Lout Hee Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay

Qateel Shifai Poetry Sadmaa to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon main,

Qateel Shifai Poetry  Sadmaa to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon main,
Qateel Shifai Poetry

Sadmaa to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon main,

Lekin yeh sochta hoon ke ab tera kya hoon main,

Mein khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf,

Apne badan ki kabr mein, kab se garrhaa hoon mein,

Kis kis ka naam laaon zubaan par ke tere saath ,

Har roz ek shaks neya dekhta hoon ,

Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam ,

Duniyaa samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon main,

Le mere tajrubon se sabak, aye mere raqeeb,

Do-chaar saal umar mein, tujhse barra hoon main,

Jaaga huwa zameer woh aiyeena hai “Qateel”,

Soney se pehlay roz, jisey dekhta raha hoon main..

Ab bhi uss ke khat aate hain…

Ab bhi uss ke khat aate hain…
Ab bhi uss ke khat aate hain…
Bheege bheege aur bheene jaadu mein lipte ..!
Mausam, khushboo, ghar walon ki baaten kar ke,
Apne dil ka haal sabhao se likhti hai ..!
Ab bhi uss ke sab lafzon se kachche jazbe phoot aate hain ..!
Ab bhi uss ke khat mein mausam geet sunaane lag jaate hain ..!
Ab bhi dhoop nikal aati hai baadal chhaane lag jaate hain ..!
Ab bhi uss ke jism ki khushboo haathon se ho kar lafzon tak,
Aur phir mujh tak aati hai ..!
Ab bhi uss ke khat mein aksar chaand ubharne lagta hai ..!
Shaam utre toh un lafzon mein sooraj doobne lagta hai ..!
Ab bhi uss ke khat padh kar mujh mein kuchh tootne lagta hai ..!
Ab bhi khat ke kone mein woh ek deep jalaati hai ..!
Ab bhi mere naam pe apne ujle honth bana deti hai ..!
Ab bhi uss ke khat aa jate hain..
Bheege bheege aur bheene jaadu mein lipte,
Ab bhi uss ke khat aate hain …!!

Aankhon se mere iss liye laali nahin jaati,

Aankhon se mere iss liye laali nahin jaati,
Aankhon se mere iss liye laali nahin jaati,
yaadon se koi raat jo khaali nahin jaati.

Ab umar, na mausam, na woh raaste ki wo palte
iss dil ki magar kham khyali nahin jaati.

Maange tu agar jaan bhi hans ke tujhe de dein,
teri toh koi baat bhi taali nahin jaati.

Aaye koi aa kar tere dard sambhaale,
hum se toh ye jageer sambhaali nahin jaati.

Maloom humhein bhi hain bahut se tere qissey,
par baat teri hum se uchhaali nahin jaati.

Humraah tere phool khilte the jo dil mein,
ab shaam wohi dard se khaali nahin jaati.

Hum jaan se jaayege tab hi baat banegi,
tum se toh koi raah nikaali nahin jaati. 

Baandh lein haath pe, seene pe sajaa lein tum ko

Baandh lein haath pe, seene pe sajaa lein tum ko
Baandh lein haath pe, seene pe sajaa lein tum ko
jee mein aata hai ki taaveez bana lein tum ko.

Phir tumhen roz sanwaaren, tumhen badhta dekhen
kyon na aangan mein chambeli sa laga lein tum ko.

Jaise baalon mein koi phool chuna karta hai
ghar ke guldaan mein phool sa saja lein tum ko.

Kya ajab khwaahish uthti hain humare dil mein
kar ke munna sa, hawaaon mein uchhaalen tum ko.

Iss qadar toot kar tum par pyaar aata hai
apni baahon mein bharen maar hi daalen tum ko.

Kabhi khwaabon ki tarha aankh ke parde mein raho
kabhi khwaahish ki tarha dil mein bula lein tum ko.

Hai tumhare liye kuchh aisi aqeedat dil mein
apne haathon mein dua sa utha lein tum ko.

Jaan dene ki ijaazat bhi nahin dete ho
warna mar jaayen abhi mar ke manaa lein tum ko.

Jis tarha raat ke seene mein hai mahtaab ka noor
apne taareek makaanon mein sajaa lein tum ko.

Ab toh bas ek hi khwaahish hai kisi mod par tum
hum ko bikhre hue mil jaao, sambhaalen tum ko. !!

Kyun vasl ki shabb hath lagane nahin dete,

Kyun vasl ki shabb hath lagane nahin dete,
Kyun vasl ki shabb hath lagane nahin dete,
Maashuuq ho ya koi amaanat ho kissi ki

Daanista chorr jaaon ga maidaan aur tum,

Daanista chorr jaaon ga maidaan aur tum,
Daanista chorr jaaon ga maidaan aur tum,
Haarey huye raho ge agar jeet bhi gaye

Phir jaag utha hai dil me purane dilon ka dard,

Phir jaag utha hai dil me purane dilon ka dard,
Phir jaag utha hai dil me purane dilon ka dard,
Jee chahta hai phir koi taaza ghazal kahoon.

Ab yeh bhi nahin theek ke har dard mittaa dain,

Ab yeh bhi nahin theek ke har dard mittaa dain,
Ab yeh bhi nahin theek ke har dard mittaa dain,
Kuch dard kaleje se lagaane ke liye hain

Darya mein Qatray ki soorat Gumm ho jaaon..

Darya mein Qatray ki soorat Gumm ho jaaon..
Darya mein Qatray ki soorat Gumm ho jaaon.. 

Apny aap sy bahir niklon TUM ho jaon

Ibtidaa woh thi ke jeena tha mohabbat main muhaal,

Ibtidaa woh thi ke jeena tha mohabbat main muhaal,
Ibtidaa woh thi ke jeena tha mohabbat main muhaal,
Intehaa yeh hai ke ab marna bhi mushkil ho geya.

Hum ne uss ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha,

Hum ne uss ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha,
Hum ne uss ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha,
Phir bhi do aankhon se kitnaa dekha ja sakta tha.

Ab is ghar ki abaadi mehmaanon pr hai,

Ab is ghar ki abaadi mehmaanon pr hai,
Ab is ghar ki abaadi mehmaanon pr hai,
Koi aa jaye to waqt guzar jaata hai..

Bandagi ka meri andaaz juda hota hai,

Bandagi ka meri andaaz juda hota hai,
Bandagi ka meri andaaz juda hota hai,
Mera kaaba mere sajdon main chupa hota hai.

Mera dil ik masoom sa bacha,

Mera dil ik masoom sa bacha,
Mera dil ik masoom sa bacha,
Tujhe sochta hai sharaarat ki tarah

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...