Do you like this story?

Wednesday, 19 August 2015

Ik ik naQsh mita saktay thy MushkiL kya thi?

Ik ik naQsh mita saktay thy MushkiL kya thi?
Ik ik naQsh mita saktay thy MushkiL kya thi? 
Hum usy diL sy bhuLa saktay thy MushkiL kya thi? 

Hum nay chaha hi nahi chain sy rehna warna 
Dasht-e-GuLzaar bana saktay thy MushkiL kya thi? 

Jo diya hum nay jaLaya hai JaLa kar khud ko, 
Wo Diya tum bhi JaLa saktay thy MushkiL kya thi? 

Theek hai hum sy koi dost bnaya na gaya, 
1 Dushman to bnaa saktay thy MushkiL kya thi? 

Kab sy Samaan-e-Safar Bandh k baithy huwy thy, 
Hum tumhen chhorr k Jaa saktay thy MushkiL kya thi

Dariya safar mein hai, na kanara safar mein hai

Dariya safar mein hai, na kanara safar mein hai
Dariya safar mein hai, na kanara safar mein hai 
Nao nahi ye soch ka dhara safar mein hai 

Pur peech rastoon ki aziyat baja magar! 
Sach pochiye to apna guzara safar mein hai 

Thokar mein paoon ki hai har ik ranj-e-rehguzar 
Jab tak naseeb sath tumhara safar mein hai 

Manzil nishan-e-rah rahay to qadam qadam 
Har ranj har malal gawara safar mein hai 

Socho to aas pas ki har shai thami huwi 
Dekho to shehr saare ka saara safar mein hai 

Dasht-e-bala mein dhoop ka ehsaas tak nahi 
Kuch aisay doston ka sahara safar ne hai 

Shaheen kis se hal-e-dil-e-zaar ab kahain 
Suntay hain wo bhi dard ka maara safar mein hai

Sabaq Iss Zindagi Mein Bas Itna Hi Mila Hai

Sabaq Iss Zindagi Mein Bas Itna Hi Mila Hai
Sabaq Iss Zindagi Mein Bas Itna Hi Mila Hai 

Dhoka Bas Wo Nahi Deta Jisay Moka Nahi Milta

I Kn0w L0tSs 0f Pe0ple Hate Me,

I Kn0w L0tSs 0f Pe0ple Hate Me, 
Bc0z Me N0t S0 G0od,, 
But 
FeW Pe0ple Surely 
L0ve Me, 
Bc0z They Kn0w That My Little G0odNeSs iS N0t Fake.

A Person Can Not Achieve His Real Success & Happiness

A Person Can Not Achieve His Real Success & Happiness 
Untill He Learns The Art Of Having Tolerance, Sacrifice, Care And Respect For Others

kya khazanay meri jaan hijar ki shab yaad aaye

kya khazanay meri jaan hijar ki shab yaad aaye
kya khazanay meri jaan hijar ki shab yaad aaye 
tera chehra teri aankhain tere lab yaad aaye 

Aik tu tha jisay Ghurbat main pukara dil ne 
Warna bichrday huye ehbaab to sab yaad aaye 

Hum ne Maazi ki Sakhaawat pe jo pal bhar socha 
dukh bhi kya kya humain Yaaron k sabab yaad aaye 

Phool khilnay ka jo Mosam mere dil main utra 
tere bakhshay huye kuch Zakham ajab yaad aaye 

Aab to Aankhon main faqat dhool hey kuch yaadon ki 
hum usay yaad bhi aaye hain to kab yaad aaye 

Bhool janay main wo Zalim hey bhala ka Maher 
yaad aanay pe bhi aaye to ghazab yaad aaye 

Ye khunak rut, ye Naye Saal ka pehla lamha 
dil ki khwahish hey k koi ab yaad aaye

Udaasioon ka sabab jo likhna To ye bhi likhna

Udaasioon ka sabab jo likhna To ye bhi likhna
Udaasioon ka sabab jo likhna To ye bhi likhna 
kay chand taaray Shahaab ankhien badal gaye hain 

Wo zinda lamhay jo teri raahon mein 
Tere anay kay muntazir thay 
Wo thak kay raahon mien dhel gaye hain 

Wo teri yaadien khayal tere 
Wo ranj tere milaal tere 
Wo teri ankhein sawal tere 
Wo tum say mere tamaam Rishtay bichar gaye hain ujarh gaye hian 

Udaasioon ka sabab jo likna to ye bhi likhna 
Leraztay hoonton pe larhkharhti 
Dua kay soraj Peghal gaye hain 
Tamaam sapnay he jal gaye hain

Youn Hi Umeed Dilatey Hain Zamaney Waley

Youn Hi Umeed Dilatey Hain Zamaney Waley
Youn Hi Umeed Dilatey Hain Zamaney Waley 
Kab palattey Hain Bhala Choor Ke Janey Waley 
Tu Kabhi Dekh Jhulastey Hoi Sehra Mein Darakht 

Kaisey Jaltey Hain wafaon Ko Nibhaney Waley 
Un Se Aati Hai Tirey Lamas Ki Khushbo Ab Bhi 

Khat Nikaley Huay Betha Hoon Puraney Waley 
Kuch Tu Aankhon Ki Zubani Bhi Kahey Jatey Hain 

Moun Se Nahi Hotey Sab Raaz Bataney Waley 
Aa Kabhi Dekh Zara Un Ki Shabon Mein Aa Kar! 

Kitna Rootey Hain Zamaney Ko Hansaney Waley 
Aaj Sitara Hai Na Jugnu Koi Raabtey Toot Gay Un Se Milaney Waley

DiL Mein Phir Aaj Teri Yaad Ka Mosam Aya..

DiL Mein Phir Aaj Teri Yaad Ka Mosam Aya..
DiL Mein Phir Aaj Teri Yaad Ka Mosam Aya.. 

Wo bheegy baaL wo bheega badan, 
Wo bheegi bheegi har dharrkan, Wo GaaL haya mein dooby huwy, 

Wo hont wafa sy Larzy huwy,Wo Aankhein soi soi see, 
Wo Saansein khoi khoi see, 
Kuch BoLo! Q khamosh ho tum? 
Is DiL sy kya naraz ho tum? 

Kya ab bhi tumhari FurQat mein ik saawan koi Likhta hai? 
Kya ab bhi tumhary Honto'n par ik chunbann koi dharta hai? 

Kya ab bhi tumhary shaano'n sy MaLmaL ka dupatta girta hai? 
Kya ab bhi tumhari Baanho'n mein ik DiL sa koi rehta hai? 

Main tum ko soach raha hon Bus...Tum ko soach raha hon, 
Tum mujh mein doobti jati ho,main tum mein doobta jata hon, 

Tum mery shaany sy Lag kar kuch kaan mein kehny waLi ho, 
Tum mery dhyan ki duniya ki 1 samandar C shehzadi ho... 

DiL mein phir Aaj Teri yaad ka mosam aya.

Afreen Tujh Pe Tera Bho0l Jana Aksar..

Afreen Tujh Pe Tera Bho0l Jana Aksar..
Afreen Tujh Pe Tera Bho0l Jana Aksar.. 

Afreen Mujh Pe K Teri Hi Yaad Musalsal.

RishtayDari Ko TorNay WaLa Jannat May DakhiL Nehi Ho Ga.

Al_Hadees: 
RishtayDari Ko TorNay WaLa Jannat May DakhiL Nehi Ho Ga. 
Ref: 
(Sahi-Bukhari, 
Kitaab-uL-Adab, 
Hadees No. 5638

Ashk Aankhon mein aye jaty hain..

Ashk Aankhon mein aye jaty hain..
Ashk Aankhon mein aye jaty hain.. 

Phir Bhi hum muskuraye jaty hain.

AkaiLy reh k yeh jeevan Guzaarna hoga

AkaiLy reh k yeh jeevan Guzaarna hoga
AkaiLy reh k yeh jeevan Guzaarna hoga 
Jo khud gya hai Usy kya pukarna hoga, 

Main apnay Ehad pay Qaim hon Aaj Bhi Janaan 
K waQt jaisy Bhi Guzry Guzarna Hoga, 

Ajeeb Log hain kehtay hain Ab khushi k Liye 
Tumhari Yaad ko DiL sy Utaarna hoga, 

Hamary Bakht mein Likha tha is tarha shayad 
Nagar Nagar mein kisi ko pukaarna hoga, 

Wo MiL to Jaye ga Arshad MaLik aisy 
TaLabb mein us ki Zamanay ko Haarna hoga..

Ojhal sahi nigah se dooba nahi hon mein

Ojhal sahi nigah se dooba nahi hon mein
Ojhal sahi nigah se dooba nahi hon mein 
Ay Raat khabardar k Haara nahi hon mein 

Darpesh Subh o Sham yehi kashmakash hai ab 
Us ka banon mein kese k apna nahi hon mein 

Mujh ko Farishta honay ka daawa nahi magar 
Jitna bura samjhtay ho utna nahi hon mein 

Mumkin nahi hai mujh se ye Tarz e Munaafiqat 
Dunya tere mizaaj ka banda nahi hon mein

Ojhal sahi nigah se dooba nahi hon mein

Ojhal sahi nigah se dooba nahi hon mein
Ojhal sahi nigah se dooba nahi hon mein 
Ay Raat khabardar k Haara nahi hon mein 

Darpesh Subh o Sham yehi kashmakash hai ab 
Us ka banon mein kese k apna nahi hon mein 

Mujh ko Farishta honay ka daawa nahi magar 
Jitna bura samjhtay ho utna nahi hon mein 

Mumkin nahi hai mujh se ye Tarz e Munaafiqat 
Dunya tere mizaaj ka banda nahi hon mein

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...