Do you like this story?

Wednesday, 19 August 2015

AkaiLy reh k yeh jeevan Guzaarna hoga

AkaiLy reh k yeh jeevan Guzaarna hoga
AkaiLy reh k yeh jeevan Guzaarna hoga 
Jo khud gya hai Usy kya pukarna hoga, 

Main apnay Ehad pay Qaim hon Aaj Bhi Janaan 
K waQt jaisy Bhi Guzry Guzarna Hoga, 

Ajeeb Log hain kehtay hain Ab khushi k Liye 
Tumhari Yaad ko DiL sy Utaarna hoga, 

Hamary Bakht mein Likha tha is tarha shayad 
Nagar Nagar mein kisi ko pukaarna hoga, 

Wo MiL to Jaye ga Arshad MaLik aisy 
TaLabb mein us ki Zamanay ko Haarna hoga..

Ojhal sahi nigah se dooba nahi hon mein

Ojhal sahi nigah se dooba nahi hon mein
Ojhal sahi nigah se dooba nahi hon mein 
Ay Raat khabardar k Haara nahi hon mein 

Darpesh Subh o Sham yehi kashmakash hai ab 
Us ka banon mein kese k apna nahi hon mein 

Mujh ko Farishta honay ka daawa nahi magar 
Jitna bura samjhtay ho utna nahi hon mein 

Mumkin nahi hai mujh se ye Tarz e Munaafiqat 
Dunya tere mizaaj ka banda nahi hon mein

Ojhal sahi nigah se dooba nahi hon mein

Ojhal sahi nigah se dooba nahi hon mein
Ojhal sahi nigah se dooba nahi hon mein 
Ay Raat khabardar k Haara nahi hon mein 

Darpesh Subh o Sham yehi kashmakash hai ab 
Us ka banon mein kese k apna nahi hon mein 

Mujh ko Farishta honay ka daawa nahi magar 
Jitna bura samjhtay ho utna nahi hon mein 

Mumkin nahi hai mujh se ye Tarz e Munaafiqat 
Dunya tere mizaaj ka banda nahi hon mein

Ab phooL ye Wafaon k chunta nahi koi

Ab phooL ye Wafaon k chunta nahi koi
Ab phooL ye Wafaon k chunta nahi koi 
GuLdaan Udaas thay usy takta nahi koi 

Ghum bantnay ki Aas py rehna na dosto 
Oron ki Aag mein yahan jalta nahi koi 

Youn roshni nay TakhLeeQ sy Chheena hai Aitbar 
TaaReekiyon say Ab Yahan Darta Nahi Koi 

Duniya to teri yaad ka Paikar Bhi Chheenti 
Sadd shukar is pay DastRass rakhta nahi koi 

WaQf hain is Safar ki Saoobat sy Sary Log 
Is Raah GuzaaR E IshQ pay ChaLta nahi koi 

Dukh ki kisi sadaa pay paLtay nahi hain Hum 
Seenay mein ab to dard Bhi uthta nahi koi.

Subh Ki Pehli Kiran Yoon Tau Jaga Deti Mujeh

Subh Ki Pehli Kiran Yoon Tau Jaga Deti Mujeh
Subh Ki Pehli Kiran Yoon Tau Jaga Deti Mujeh 
Band Khirki Se Magar Kese Sada Deti Mujeh 

Mein Teri Yaadon Mein Khoya Muntazir Hota Tera 
Koi Khushboo Teri Amad Ka Pata Deti Mujeh 

Sheher Se Urr Ker Bhi Tere Pass Aa Sakta Tha Mein 
Gar Tera Pagiham Gaon Ki Hawa Deti Mujeh 

Kaghaz kitabein phool Patay Shairi 
Zindagi Ke Pass Kia Tha Jo Sawa Deti Mujeh 

Mere Lafzon Mein Ghina Ka Zaika Mojood Tha 
Woh Kabhi Ik Sheir Tau Mera Suna Deti Mujeh 

Uska Ghar Kahin Anghoor Ki Beilon Mein Tha 
Zindagi Ki Dhoop Mein Yeh Tau Bata Deti Mujeh




Maati ki Mohabbat May Giraftar Parindy,

Maati ki Mohabbat May Giraftar Parindy,
Maati ki Mohabbat May Giraftar Parindy, 
Jatay Nahi Dekhy kabhi Us Paar Parindy, 

khaali Nahi Rehta Dil-e-Darevsh ka Dehraa, 
Hujray May Sada Rehty Hain do chaar Parindy, 

Ye Baagh Hamaray Liye Hota Tha Magar Ab, 
karty Hain Yahan Ishq ka Beopaar Parindy, 

kya Main Bhi Darkhton My Darkhton ki Tarah Hun, 
kiyun Mujh Py Utar Aaty Hain Har Baar Parindy, 

Ye Shehr Sy Bahir ka koi khwab Hai Tabish, 
Ye Jheel Py Urty Huwy do chaar Parindy,.

Tu Mere Dil Me Bas Chuka Hai...

Tu Mere Dil Me Bas Chuka Hai...
Tu Mere Dil Me Bas Chuka Hai... 
Goea Dal'dal Me Phans Chuka Hai... 

Tum Garaj He Rahe Ho Abi Talak... 
Daiko Badal Kitna Baras Chuka Hai... 

Kali Ko Chaman Me Koi Bhanwraa... 
Apni Bahon Me Kas Chuka Hai... 

Ab Samundar B Lagta Ha 2 Boond... 
Piyasa Dil Itna Taras Chuka Hai... 

Ab Bachna Lagta Hai Bohat Mushkil... 
Tere Ishq Ka Naag Das Chuka Hai... 

Ab To Rona Chor De... 
Ye Zamana Bohat Hans Chuka Hai

Meri Sadiyaan Bigaar Di

Meri Sadiyaan Bigaar Di
Meri Sadiyaan Bigaar Di 
Tum Ney.. 

Apny Lamhay Sanwaarnay KeLiye

A cute concept of life

A cute concept of life
A cute concept of life 

If you want to Shine like Sun 
First you will have 
to Burn like it.

Duniya Sey Mujhay Pyaar Tha Sab Bhool Chuka Hon

Duniya Sey Mujhay Pyaar Tha Sab Bhool Chuka Hon
Duniya Sey Mujhay Pyaar Tha Sab Bhool Chuka Hon 
Aik Shakhs Mera YAAR Tha Sab Bhool Chuka Hon 

Bakhshi Hai Mujhay Pyaar K Badley Mein Judayi 
Jo B Tera Kirdar Tha Sab Bhool Chuka Hon 

Bas Itna Mujhay Yaad Hai Aik Wasal Ki Shab Thi 
Iqrar Tha Inkar Tha Sab Bhool Chuka Hon 

Han Meri Khata Thi K Tujhay Tooth Kar Chaha 
Han Main Hi Gunahgar Ho Sab Bhool Chuka Hun 

Aik Shakhs Ney Pagal Sa Bana Rakha Hai 
Main Kitna Samajhdar Tha Sab Bhool Chuka Hon.

Kaanch Ke Surkh Choori Mere Hath Mein

Kaanch Ke Surkh Choori Mere Hath Mein
Kaanch Ke Surkh Choori Mere Hath Mein 

Aaj Ayse Khan'khane Lagi 
Jaise Kal Raat Shabnam Se Likhi Hue 

Tere Haath Ke Shokion Ko Hawaon Ne Sir De Dia Ho.

Agar saansein mehak jaayen

Agar saansein mehak jaayen
Agar saansein mehak jaayen 
Agar Aankhein chhalak jayen 

Agar khwabon ki khwahish ho 
Agar phoolon ki barish ho 

Agar hansty huway ronay ko jee chahy akaily mein 
Agar wo dekh kar tum ko kahein kho jaye mailay mein 

Agar tum poochhny jaao k Aakhir kya HaQeeQat hai 
or 
Uska ye jawaab aye, 
Mujhy to tum sy nafrat hai 
Samajh lena muhabbat hai

A Paper Flying In Air Due To Its LUCK

A Paper Flying In Air Due To Its LUCK
A Paper Flying In Air Due To Its LUCK 
BUT A Bird Is Flying Due To Its EFFORT 
So 
If Luck Is Not With U 
Efforts R Always There To Support.

Har shaks nahi hota har shaks k qabil..

Har shaks nahi hota har shaks k qabil..
Har shaks nahi hota har shaks k qabil.. 

Har shaks ko apne liye socha nahi karte

Koi Tou Jaye..

Koi Tou Jaye..
Koi Tou Jaye.. 

Tere Nagar Ki Musaftoon Ko Samaet LaYe.. 
Teri Gali May Hamari Sochain Bikheer Aaye.. 

Tujhy Bataye K Koun Kaisay.. 
Uchaalta Hay Wafa K Mooti.. 

Tumhari Janib Koi Tou Jaye.. 
Meri Zubaan Mein Tujhay Bulaye Tujhy Manaye.. 

Hamari Halat Tujhy Bataye Tujhy Rulaye
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...