Tuesday, 18 August 2015
Kumm tere zabt ki qeemat nahin karne wale,
Kumm tere zabt ki qeemat nahin karne wale,
Hum teri aankh se hijrat nahin karne wale,
Apne nazdeek mohabbat hai ibaadat ki tarah,
Hum ibaadat ki tijaarat nahin karne wale,
Yeh alag baat hai ke izhaar nahin kar sakte,
Yeh na samjho ke mohabbat nahin karne wale,
Kaatt ke phenk de sar chaahe sajaa naize pr,
Hum tere hath pe bayt nahin karne wale,
Aye haakim-e-waqt zara apne girebaan main jhaank,
Log bewajah baghaavat nahin karne wale
Hum ko khush rehne ke adaab kahan atey hain,
Tu bata aye dil-e-betaab kahan atey hain,
Hum ko khush rehne ke adaab kahan atey hain,
Main to yak-musht usse somp doon sab kuch lekin,
Aik muthii main mere khawb kahan atey hain,
Mudatton baad tujhe dekh ke dil bhar aaya,
Warna sehraaon main sailaab kahan aatey hain,
Meri bedaar nigaahon main agar bhoolay se,
Neend aaye bhi to khawb kahan aatey hain,
Hum kisi tarah tere dar pe thikaana kar lein,
Hum fakeeron ko yeh adaab kahan aatey hain,
Sarbassar faqat jin main teri jhallak milti hai,
Ab muyassar humen woh khawb kahaan atey hain
Gungunaate huye aanchal ki havaa de mujh ko,
Gungunaate huye aanchal ki havaa de mujh ko,
Ungliyaan phair ke baalon main sula de mujh ko,
Jis tarah faaltu guldaan parre rehte hain,
Apne ghar ke kisi konay se laga de mujh ko,
Main tere hijr main chup chaap na mar jaon kahin,
Main hon sakte main kabhi aa kr rula de mujh ko,
Roothna tera meri jaan liye jaata hai,
Aese naraaz na ho hansss ke dikha de mujh ko,
Aur kuch nahin maanga mere maalik tujh se,
Uss ki galiyon ki khaak bana de mujh ko,
Log kehte hain ke yeh ishq niggal jaata hai,
Main bhi iss ishq main aya hon ab dua de mujh ko
Udaas logon se pyar karna koi to seekhe,
Udaas logon se pyar karna koi to seekhe,
Safaid lamhon main rang bharna koi to seekhe,
Koi to aaye khizaan main patey ugaane wala,
Gulon ki khushbuu ko qaid karna koi to seekhe,
Koi dikhaaye mohabbaton ke saraab mujh ko,
Meri nigaahon se baat karna koi to seekhe,
Koi to aaye nayi ruton ka peyaam le ker,
Andheri raaton main chaand ban’na koi to seekhe,
Koi peyambar koi imaam-e-zamaan hi aye,
Aseer zehnon main soch bharna koi to aye
Khayaal-e-yaar main mujh ko yunhi madhosh rehne do,ghazal
Khayaal-e-yaar main mujh ko yunhi madhosh rehne do,
Na poocho raat ka qissa mujhe khamosh rehne do,
Sunaya vasl ka qissa to mere dost yoon bole,
Kahan tum kahan us ki haseen aghosh rehne do,
Mujhe maloom hai us ne mera hona nahin lekin,
Meri umeed mat torro mujhe pur-josh rehne do,
Mohabbat jurm hai mera mujhe iqraar hai iska,
Wafaa ilzaam hai to phir mere sar dosh rehne do,
Kitaab-e-ishq se hum pr yehi raaz khula hai,
Paaye jo jaam ulfat ka ussey meh-nosh rehne do
Subscribe to:
Posts (Atom)