Tuesday, 18 August 2015
Khayaal-e-yaar main mujh ko yunhi madhosh rehne do,ghazal
Khayaal-e-yaar main mujh ko yunhi madhosh rehne do,
Na poocho raat ka qissa mujhe khamosh rehne do,
Sunaya vasl ka qissa to mere dost yoon bole,
Kahan tum kahan us ki haseen aghosh rehne do,
Mujhe maloom hai us ne mera hona nahin lekin,
Meri umeed mat torro mujhe pur-josh rehne do,
Mohabbat jurm hai mera mujhe iqraar hai iska,
Wafaa ilzaam hai to phir mere sar dosh rehne do,
Kitaab-e-ishq se hum pr yehi raaz khula hai,
Paaye jo jaam ulfat ka ussey meh-nosh rehne do
Ab woh ghar tak viraana tha bas viraana zinda tha,Ghazal Shayari
Sab aankhen damm torr chuki theen aur main tanha zinda tha,Saari galli sunsaan parri thi baad-e-fana ke pehre main,
Hijr ke dalaan aur aangan main bass ik saaya zinda tha,
Woh dopeher apni rukhsat ki aisa waisa dhoka thi,
Apne andar apni laash uthaaye main jhuuta zinda tha,
Theen woh ghar raaten bhi kahaani vaade aur phir din ginn’na,
Aana tha jaane wale ko jaane wala zinda tha,
Dasstak dene waale bhi they dastak sunn’ne waale bhi,
Thaa abaad mohallah saara har darwaaza zinda tha,
Peele patton ko seh-pehr ki vehshat pursaa deti thi,
Aangan main ik aundhe gharre par bass ik kavva zinda tha.
Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,
Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,
Ashq kaa dariyaa hua hoon main palat ke aa bhi jaao tum,
Jahan pe hath chhorra tha jahan pe sath chhorra tha,
Usi raah pe kharra hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,
Udaasi ne banaya ghar mere dil k bagheeche mein,
Bohat hi ghamzada hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,
Dar-o-deewar kehte hain mere kaano mein aa aa kar,
Kab se veeraan parra hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,
Kisi ka baa-wafa hona Sajid sabab hai gar judaai ka,
Suno! phir be-wafa hoon main palat ke aa bhi jaao tum.
Monday, 17 August 2015
Main Tera Muntazir Hoon Mujhy Muskura K Mil,
Main Tera Muntazir Hoon Mujhy Muskura K Mil,
Kab Tak Tujhy Talaash Kroon Ab Aa K Mil,
Youn Mil K Phir Judai Ka Lamha Na Aa Sakay,
Jo Darmiyan Mein Hai Sabhi Kuch Mita K Mil,
Ye Kya K Hum Milen B, Mulaqaat Bhi Na Ho
Sunday, 16 August 2015
Subscribe to:
Posts (Atom)