Do you like this story?

Sunday, 16 August 2015

poshto poetry,

poshto poetry,
Za Da Kali Ta Da Khaar Ye
Za Kam-Aqal Ta Okhyaar Ye

Za Pa Shan Laka Da Zmake
Ta Da Ghar Pa Sar K Laar Ye

Che Da Zrra Haal Drta Wayem
Pa Khnda Shy Che Uzgaar Ye

Za De Meni Livany Krrm
Yara Ta Rana Vezaar Ye
.
Shpa Aw wraz De Yadawama
Ta ZAma Da Jvnd Ruzgaar Ye

Kho Nasib K ZAma Na Ye
Ta Da Bal Da Gharri Haar Ye

Paron Za Sta Khoshali Wom
Nan Da Bal Sara GhmKhwaar Ye

Na Pohegam Che Ta Sa Ye
Bewafa Ka WafaDaar Ye

Zrra Sakon Aw Zan Me Bailo
Mene Sa Da Ghm Bazaar Ye

Bus Ka Her Ye Krra, Zarhgia
Waly Khpal Marg Ta Tayaar Ye.

Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka

Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka
Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka
Kab na janay ho jaye mojza muhabbat ka

Apni zaat sy b wo ajnabi sa lagta hy
Jiss k sath ho jaye haadsa muhabbat ka

Wo chala hi jata hy jis ny jana hota hy
Lakh do chahay usko waasta muhabbat ka

Zindagi mein jeenay ka aasra nahi rehta
Jab kisi sy cheen jaye hosla muhabbat ka

Doston sy 'WASI' agar tumhain muhabbat hy
Doston ko mat dena mashwara muhabbat ka

Wo Mujh Se Becharr Kar Aab Tak Nahi Ghalib

Wo Mujh Se Becharr Kar Aab Tak Nahi Ghalib
Wo Mujh Se Becharr Kar Aab Tak Nahi Ghalib 
Koi Tu hamdard Jo Usay Ronay Nahi Deta

Gulab che mrhaway she rajegy

Gulab che mrhaway she rajegy
Gulab che mrhaway she rajegy
Starge che mrhawe she malkona wranawen

Itna Khamosh Talluq Kue Rakhtey Ho Hum Se

Itna Khamosh Talluq Kue Rakhtey Ho Hum Se
Itna Khamosh Talluq Kue Rakhtey Ho Hum Se
Log Kehtey Hain Is Badnaseeb Ka Koi Nahin

Mohabbat

Mohabbat
Agar KHUDA Se Ho Tu Bandagi Ban Jati Hay
Agar Mazhab Se Ho Tu Imaan Ban Jati HAy
Agar Shareek e Hayaat Se Ho Tu Zindagi Ban Jati Hay
Agar Doulat Se Ho Tu Fikar Ban Jati Hay.

Mat KAro Behas Haar Jaow Gi

Mat KAro Behas Haar Jaow Gi

Mat KAro Behas Haar Jaow Gi
Hussan Itni Barri Daleel Nahi 

Daleel Thi Na Koi Hawala Tha Un K Pass

Daleel Thi Na Koi Hawala Tha Un K Pass
Daleel Thi Na Koi Hawala Tha Un K Pass
Ajeeb Log Thay Bus Ikhtelaf Rakthay Thay

Chorr diya hum ne hamaisha k liye us ki aarzoo karna

Chorr diya hum ne hamaisha k liye us ki aarzoo karna
Chorr diya hum ne hamaisha k liye us ki aarzoo karna 

Jis ko mohabbat ki qadar na  ho usay duaon main kya mangna

Raiza raiza bekhri hon main jin ko chotton se

Raiza raiza bekhri hon main jin ko chotton se
Raiza raiza bekhri hon main jin ko chotton se 
Mujh ko pathar dil kehtay hay pathar jaisay log

Baat Nikalegii To Phir Duur Talak Jaayegii

Baat Nikalegii To Phir Duur Talak Jaayegii
Baat Nikalegii To Phir Duur Talak Jaayegii 
Log Bevajah Udaasii Kaa Sabab Puuchhenge 
Ye Bhii Puuchhege Ki Tum Itanii Pareshaan Kyuun ho

Ungaliyaan Uthengii Sukhe Huye Baalon Kii Taraf 
Ik Nazar Dekhenge Guzare Huye Saalon Kii Taraf

Chudiyon Par Bhii Ka_Ii Tanz Kiye Jaayenge 
Kaanpate Haathon Pe Bhii Fikre Kase Jaayenge

Log Zaalim Hain Har Ik Baat Kaa Taanaa Denge 
Baaton Baaton Men Meraa Zikr Bhii Le Aayenge

Unakii Baaton Kaa Zaraa Saa Bhii Asar Mat Lenaa 
Varnaa Chehare Ke Taasur Se Samajh Jaayenge

Chaahe Kuchh Bhii Ho Savaalaat Na Karanaa Unse 
Mere Baare Men Koi Baat Na Karanaa Unse

Baat Nikalegii To Phir Duur Talak Jaayegii

"Justju Unko Baharon Ki Hai Veeranon Mein"

"Justju Unko Baharon Ki Hai Veeranon Mein"

"Justju Unko Baharon Ki Hai Veeranon Mein" 

Justju Unko Baharon Ki Hai Veeranon Mein 
Dhoondte Fhirte Hain Apnon Ko Ve Baigaanon Mein 

Jo Udaate Te Hasi Ishq Ke Bimaaron Ki 
Khud Wahi Aaj Hain Shaamil Unhi Deewanon Mein 

Kuch Na Kuch Khot Mili,Sab Ke Dilon Mein, Fhir Bhi 
Hum Farishton Ko Rahe Doondte, Insaanon Mein 

Kisliye Shamma Pe Vo Jaan Gavaye Naahak 
Behas Hothi Hain Yahi Aaj Ke Parvaanon Mein 

Beyimaani Ke Fasadon Ke Sitam Ke Kisse 
Ab Nazar Aate Hain Akbaaron Ke Unvaanon Mein 

Hain Yakeen Jinko Doston Ki Yaari Par 
Kyu Shummar Unka Na Duniya Kare Naadaanon Mein 

Pooch Lo Nasha Kaisa Hai Har Katre Mein 
Maye Chalakti Hain Jo In Aankhon Ke Paimaanon Mein

Aa Gayi Yaad Shaam Dhale Hi

Aa Gayi Yaad Shaam Dhale Hi
Aa Gayi Yaad Shaam Dhale Hi
bujh gayaa dil chiraaGh jalte hii

khul gaye shahr-e-Gham ke darvaaze
ek zaraa sii havaa ke chalte hii

(shahr-e-Gham : city of sufferings)

kaun thaa tuu ke phir na dekhaa tujhe
miT gayaa Khvaab aaNkh malte hii

tuu bhii jaise badal saa jaataa hai
aks-e-diivaar ke badalte hii

Aaghaaz To Hota Hai Anjaam Nahi Hota

Aaghaaz To Hota Hai Anjaam Nahi Hota
Aaghaaz To Hota Hai Anjaam Nahi Hota 
Jab Merii Kahaanii Men Vo Naam Nahiin Hotaa

Jab Zulf Kii Kaalikh Men Ghul Jaaye Ko’ii Raahii 
Bad-Naam Sahii Lekin Gum-Naam Nahiin Hotaa

Hans Hans Ke Javaan Dil Ke Ham Kyoun Na Chune Tukre 
Har Shakhs Kii Qismat Men Ina’am Nahiin Hotaa

Bahte Hu’e Aansuu Ne Aankhon Se Kahaa Tham Kar 
Jo Mae Se Pighal Jaaye Vo Jaam Nahiin Hotaa

Din Duube Hain Yaa Duubii Baaraat Liye Kashtii 
Saahil Pe Magar Ko’ii Kohraam Nahiin Hotaa

Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Men Aate Jaate Ho

Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Men Aate Jaate Ho
Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Men Aate Jaate Ho 
Insha Saahab Naahaq Jii Ko Vahshat Men Uljhaate Ho

Dil Kii Baat Chhupaanii Mushkil,Lekin Khuub Chhupaate Ho 
Ban Men Daanaa,Sha’hr Ke Andar Diivane Kehlaate Ho

Bekal Bekal Rahte Ho, Par Mehfil Ke Aadaab Ke Saath 
Aankh Churaa Kar Dekh Bhii Lete Ho, Bhole Bhii Ban Jaate Ho

Peet Men Aise Laakh Jatan Hain, Lekin Ek Din Sab Nakaam 
Aap Jahaan Men Rusvaa Hoge, Vaaz Hamen Farmaate Ho

Ham se naam junuun kaa qaayam, ham se dasht kii aabaadii 
ham se dard ka shikvaa karte, ham ko zakhm dikhaate ho?
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...