Do you like this story?

Sunday, 16 August 2015

Baat Nikalegii To Phir Duur Talak Jaayegii

Baat Nikalegii To Phir Duur Talak Jaayegii
Baat Nikalegii To Phir Duur Talak Jaayegii 
Log Bevajah Udaasii Kaa Sabab Puuchhenge 
Ye Bhii Puuchhege Ki Tum Itanii Pareshaan Kyuun ho

Ungaliyaan Uthengii Sukhe Huye Baalon Kii Taraf 
Ik Nazar Dekhenge Guzare Huye Saalon Kii Taraf

Chudiyon Par Bhii Ka_Ii Tanz Kiye Jaayenge 
Kaanpate Haathon Pe Bhii Fikre Kase Jaayenge

Log Zaalim Hain Har Ik Baat Kaa Taanaa Denge 
Baaton Baaton Men Meraa Zikr Bhii Le Aayenge

Unakii Baaton Kaa Zaraa Saa Bhii Asar Mat Lenaa 
Varnaa Chehare Ke Taasur Se Samajh Jaayenge

Chaahe Kuchh Bhii Ho Savaalaat Na Karanaa Unse 
Mere Baare Men Koi Baat Na Karanaa Unse

Baat Nikalegii To Phir Duur Talak Jaayegii

"Justju Unko Baharon Ki Hai Veeranon Mein"

"Justju Unko Baharon Ki Hai Veeranon Mein"

"Justju Unko Baharon Ki Hai Veeranon Mein" 

Justju Unko Baharon Ki Hai Veeranon Mein 
Dhoondte Fhirte Hain Apnon Ko Ve Baigaanon Mein 

Jo Udaate Te Hasi Ishq Ke Bimaaron Ki 
Khud Wahi Aaj Hain Shaamil Unhi Deewanon Mein 

Kuch Na Kuch Khot Mili,Sab Ke Dilon Mein, Fhir Bhi 
Hum Farishton Ko Rahe Doondte, Insaanon Mein 

Kisliye Shamma Pe Vo Jaan Gavaye Naahak 
Behas Hothi Hain Yahi Aaj Ke Parvaanon Mein 

Beyimaani Ke Fasadon Ke Sitam Ke Kisse 
Ab Nazar Aate Hain Akbaaron Ke Unvaanon Mein 

Hain Yakeen Jinko Doston Ki Yaari Par 
Kyu Shummar Unka Na Duniya Kare Naadaanon Mein 

Pooch Lo Nasha Kaisa Hai Har Katre Mein 
Maye Chalakti Hain Jo In Aankhon Ke Paimaanon Mein

Aa Gayi Yaad Shaam Dhale Hi

Aa Gayi Yaad Shaam Dhale Hi
Aa Gayi Yaad Shaam Dhale Hi
bujh gayaa dil chiraaGh jalte hii

khul gaye shahr-e-Gham ke darvaaze
ek zaraa sii havaa ke chalte hii

(shahr-e-Gham : city of sufferings)

kaun thaa tuu ke phir na dekhaa tujhe
miT gayaa Khvaab aaNkh malte hii

tuu bhii jaise badal saa jaataa hai
aks-e-diivaar ke badalte hii

Aaghaaz To Hota Hai Anjaam Nahi Hota

Aaghaaz To Hota Hai Anjaam Nahi Hota
Aaghaaz To Hota Hai Anjaam Nahi Hota 
Jab Merii Kahaanii Men Vo Naam Nahiin Hotaa

Jab Zulf Kii Kaalikh Men Ghul Jaaye Ko’ii Raahii 
Bad-Naam Sahii Lekin Gum-Naam Nahiin Hotaa

Hans Hans Ke Javaan Dil Ke Ham Kyoun Na Chune Tukre 
Har Shakhs Kii Qismat Men Ina’am Nahiin Hotaa

Bahte Hu’e Aansuu Ne Aankhon Se Kahaa Tham Kar 
Jo Mae Se Pighal Jaaye Vo Jaam Nahiin Hotaa

Din Duube Hain Yaa Duubii Baaraat Liye Kashtii 
Saahil Pe Magar Ko’ii Kohraam Nahiin Hotaa

Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Men Aate Jaate Ho

Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Men Aate Jaate Ho
Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Men Aate Jaate Ho 
Insha Saahab Naahaq Jii Ko Vahshat Men Uljhaate Ho

Dil Kii Baat Chhupaanii Mushkil,Lekin Khuub Chhupaate Ho 
Ban Men Daanaa,Sha’hr Ke Andar Diivane Kehlaate Ho

Bekal Bekal Rahte Ho, Par Mehfil Ke Aadaab Ke Saath 
Aankh Churaa Kar Dekh Bhii Lete Ho, Bhole Bhii Ban Jaate Ho

Peet Men Aise Laakh Jatan Hain, Lekin Ek Din Sab Nakaam 
Aap Jahaan Men Rusvaa Hoge, Vaaz Hamen Farmaate Ho

Ham se naam junuun kaa qaayam, ham se dasht kii aabaadii 
ham se dard ka shikvaa karte, ham ko zakhm dikhaate ho?

Faqeerana Aaye Sada Kar Chale

Faqeerana Aaye Sada Kar Chale

Faqeerana Aaye Sada Kar Chale
Miyan khush raho ham dua ker chale.

Jo tujh bin na jeene ko kahte the ham,
So is ahd ko ab wafa kar chale.

Koi naumidana karte nigah,
So tum ham se munh bhi chhipa kar chale.

Bahut aarzoo thi gali ki teri,
So yaan se lahu mein naha kar chale.

Dikhai diye yun ke bekhud kiya,
Hamen aap se bhi juda kar chale.

Jabin sijda karte hi karte gayi,
Haq-e-bandgi ham ada kar chale.

Prastash ki yaan taeen ke ai but tujhe,
Nazr mein sabhon ki Khuda kar chale.

Gayi umr dar band-e-fikr-e-ghazal,
So is fan ko aisa bara kar chale.

Kahen kya jo puchhe koi ham se Mir,
Jahaan mein tum ae the kya kar chale

Ghum Sum Howa Awaz Ka Dariya Tha Wo Ek Shakhs

Ghum Sum Howa Awaz Ka Dariya Tha Wo Ek Shakhs

Ghum Sum Howa Awaz Ka Dariya Tha Wo Ek Shakhs
Pathar bhi naheen ab wo sitara tha jo ik shakhs 

Shayd wo bhi koi harf-e-wafa dhoond raha tha 
Chehroon ko baray ghor se parta the wo ik shaks 

Sehra kee tarah dair se piyasa tha wo shayd 
Badal kee tarah toot key barsa tha wo ik shakhs 

Ay taiz hawa koi khabar us key janoon kee! 
Tanha safr-e-shouq pe nikla tha jo ik shakhs 

Ab akhree sitroon main kaheen naam hai us ka 
Ahbaba kee feh-rist main pehla tha jo ik shakhs 

Hathoon main chhupay hoay phirta hai kai zakham 
Sheeshay key khilonon se behilta tha jo ik shakhs 

Mur mur key isay dekhna chahain meri akhain 
Kuchh door mujay chhornay aaya tha jo ik shakhs 

Har zehn main kuchh naqsh-e-wafa chhor ghia hai 
Kehnay ko bharay shehr main tanha tha jo ik shakhs 

Munkar hai wohee ab meri pehchan ka MOHSIN 
Aksar mujay khat khoon se likhta tha jo ik shakhs

"Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya"

"Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya"

"Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya"

Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya

Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya

Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya

Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya

Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
K Hum NE Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya

"Yahi Bohat Hai K Qayam Rahay Wafa Ka Bharam

"Yahi Bohat Hai K Qayam Rahay Wafa Ka Bharam

"Yahi Bohat Hai K Qayam Rahay Wafa Ka Bharam
Koi Kisi Ka Howa Bi Hai Ummer Bhar K Liyey"

Ulfat ke fasaane ki na baat karo hum se,

Ulfat ke fasaane ki na baat karo hum se,

Ulfat ke fasaane ki na baat karo hum se, 
Is dil ko dukhaane ki na baat karo hum se,

Ik aur bhi hae armaan mehboob tumhein dekhoon, 
Bekaar bahaane ki na baat karo hum se, 
... 
Ik chout lagi dil per ik aah ubhar aai, 
Yeh zakhm chhupaane ki na baat karo hum se, 

Jis dil mein basaaya tha woh torr diya tum ne, 
Is ghar ko banaane ki na baat karo hum se, 

Kis tarh katey jeewan ab chal na sakein tanha, 
Yeh boujh uthaane ki na baat karo hum se, 

Kuchh loug khafa haen to roothey hi rahein hum se, 
Phir un ko manaane ki na baat karo hum se, 

Kyoon lout ke aaey ho jab toot gaya bandhan, 
Ab baat barrhaane ki na baat karo hum se.

Ek Chand Tanha Khara Raha

Ek Chand Tanha Khara Raha

Ek Chand Tanha Khara Raha
Merey aasmaan se zara pary,

Merey saath saath saffar mei tha
Merii manzilloon sey zara pary,

Terii justujuu ke hisaar sey
Terey khwaab terey khayal sey,

Maii wo shakhs thaa jo khara raha
Terii chaahatoon sey zara pary,

Kabhii dil kii baat kahii na thii
Jo kahi to wo bhi dabee dabee,

Merey lafz poorey to they magar
Terii samaa'toon sey zara pary,

Tuu chalaa gaya merey ham.safar
Zara daykh murr ke to eik nazar,

Merii kashtiyaa han jalii huii
Terey saahiloo sey zara pary

Tum apney khatt me yuun lafzoon ka silsilaa rakhnaa

Tum apney khatt me yuun lafzoon ka silsilaa rakhnaa

Tum apney khatt me yuun lafzoon ka silsilaa rakhnaa
Har ik lafz ka mafhuum doosra rakhnaa.....

Tumharey lab kii mehek raaz faash kr dey gi
lifaafa bnd na kerna yuun he khula rakhnaa...

Na itna tuut ke miliiye ke dil pe shak guzrey
Khuloos mei bhii zaroori hei faasla rakhnaa.....

Mai zindagii mei kahi'n tum se mil he jaaunga
Magar yeh shart hei bichharney ka hauslaa rakhnaa...

Ye sooz o karb mujhey tajarboon ney bakhshey han
Jalanaa shamaa to daman se faasla rakhnaa

Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar-E-Wafa Nahi Kiyaa

Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar-E-Wafa Nahi Kiyaa

Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar-E-Wafa Nahi Kiyaa
Khud Ko Halaak Kar Liyaa Khud Ko Fidaa Nahiin Kiyaa 

Kaise Kahen Ke Tujh Ko Bhii Hamase Hai Vaastaa Koi 
Tuune To Hamase Aaj Tak Koi Gilaa Nahiin Kiyaa 

Tuu Bhii Kisii Ke Baab Men Ahad-Shikan Ho Gaaliban 
Main Ne Bhii Ek Shakhs Kaa Qarz Adaa Nahiin Kiyaa 

Jo Bhii Ho Tum Pe Mautariz Us Ko Yahii Javaab Do 
Aap Bahot Shariif Hain Aap Ne Kyaa Nahiin Kiyaa 

Jis Ko Bhii Shekh-O-Shaah Ne Hukm-E-Khudaa Diyaa Qaraar 
Hamane Nahiin Kiyaa Vo Kaam Haan Baa-Khudaa Nahiin Kiyaa 

Nisbat-E-Ilm Hai Bahot Haakim-E-Vaqt Ko Aziiz 
Us Ne To Kaar-E-Jehl Bhii Be-Ulaamaa Nahiin Kiyaa

"Suna Hai Jangalon Ka Bhi Koi Dastoor Hota Hai!"

"Suna Hai Jangalon Ka Bhi Koi Dastoor Hota Hai!"

Suna hai jangalon ka bhi koi dastoor hota hai!

Suna hai

shair ka jub pait bhar jaey. . .

To vo hamlaa nahee kertaa,

Sunaa hai!

Havaa ke taiz jhonkey jubb darakhton ko hilaatay hain. . . .

To menaa apne gharr ko bhool kar,

kavvay ke andon ko paron main thaam lete hai. . . .

Sunaa hai. . . .

Ghaonslay se jubb koi bachha giray,

To saara jungle jaag jaag jaata hai. . . .

Suna hai. . . 

Koi pull toot jaey 

aor

sailaab aajaey

To kisi lakri ke takhtay per,

Gulehri saanp aor bakri saath hotay hain. . . .


Sunaa hai jangalon kaa bhi koi dastoor hotaa hai. . . . 

KHUDAAE - MUNNSIFFO - AKBARR

Hamaaray mulkk main bhi ubb junngalon ka hi koi dastoor naafizz kar

Iss Qaddar Zorr Say Tamachay Parray Hain...

Iss Qaddar Zorr Say Tamachay Parray Hain...

Iss Qaddar Zorr Say Tamachay Parray Hain...

Daikh Tau Surkhi Meray Rukhsaar Ki
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...