Do you like this story?

Sunday, 16 August 2015

mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...

mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...
mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...
dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai...

aankhon mein chubh gayein teri yaadon ki kirchiyan...
kandhon pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai...

dil tor ke khamosh nazaron ko kiya mila...
shabnam ka ye sawal hai aur chaand raat hai...

phir titliyan si urne lagein dasht-e-khuwaab mein...
phir khuwahish-e-wisaal hai aur chaand raat hai...

campus ki nehar per hai tere haath haath mein...
mausam bhi lazawal hai aur chaand raat hai...

har aik kali ne orh liya matami libaas...
har phool per malaal hai aur chaand raat hai...

meri to por por mein khush si bas gayi...
us per tera khayal hai aur chaand raat hai...

chalka sa par raha hai 'wasi' wehshaton ka rang...
har cheez pe zawwal hai aur chaand raat hai.

Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati..

Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati..
Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati..
Yadoon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati..

Ab Umar' Na Mosam' Na Woh Rasty Keh Palat-Tay..
Iss Dil Ki Magar Kham Khiyali Nahe Jati..

Aya Koi Aaker Ya Tere Dard Sambhaley..
Hum Sai To Yeh Jageer Sambhali Nahi Jati..

Malum Humay Bhe Haan Bohat Se Tery Qisay..
Har Baat Teri Hum Sai Uchali Nahe Jati..

Humrah Tere Phool Khilati Thii' Jo Dil Mein..
Abb Sham Woh Dard Se Khali Nahe Jati..

Hum Jaan Sai Jayan Ge Tabhi Baat Banay Gi..
Tum Se Tou Koi Rah Nikali Nahi Jati

Apne Ehsaas se chukar mujhe Sandal kardo,

Apne Ehsaas se chukar mujhe Sandal kardo,
Apne Ehsaas se chukar mujhe Sandal kardo,
mai ke hun sadyyon se adhura mukammal kardo,

Na tumhe Hosh rahe na mujhe Hosh rahe,
is Qadar toot ke chaho mujhe Paagal kardo,

tum Hatheli ko apni mere pyar ki Mehndi ye rango,
apni Ankhonn mai mere pyar ka Kajol kardo,

Dhoop hi Dhoop hun mai toot ke barso mujh par,
mai to Sehry hun mujhe Pyar ka Baadal kardo,

iske Sayye se mere Khaywaab Mehak uthenge,
mere Chehre pe Umeed Bhara anchal kardo,

apne hontoon ki koi Mohar lagao mujh par,
ik Nazar pyar se dekho mujhe Ghayal kardo

Thursday, 13 August 2015

Us Ki Aankhon Ka Pighalta Kajal

Us Ki Aankhon Ka Pighalta Kajal
Us Ki Aankhon Ka Pighalta Kajal
Mere Shikway Baha Gaya Sary.

Jab Tere Nain Muskuraty Hain

Jab Tere Nain Muskuraty Hain
Jab Tere Nain Muskuraty Hain
Zeest K Ranj Bhool Jate Hain.

Aya Kuch Is Adaa Se K Palkein Bhigo Gaya

Aya Kuch Is Adaa Se K Palkein Bhigo Gaya
Aya Kuch Is Adaa Se K Palkein Bhigo Gaya

Jhonka Tere Khayal Ka Kitna Shadeed Tha.

Us Ki Aankhon Me Mohabbat Ka Taqaza Kya Hai

Us Ki Aankhon Me Mohabbat Ka Taqaza Kya Hai
Us Ki Aankhon Me Mohabbat Ka Taqaza Kya Hai
Kabhi Parda Kabhi Nazara Ye Tamasha Kya Hai.

Tum Ne Aankhon Ko Parh Liya Hota

Tum Ne Aankhon Ko Parh Liya Hota
Tum Ne Aankhon Ko Parh Liya Hota
Kese Kese Sawaal Likhe The.

Hum Rone Pe Aa Jaen To Dariya Hi Baha Den

Hum Rone Pe Aa Jaen To Dariya Hi Baha Den
Hum Rone Pe Aa Jaen To Dariya Hi Baha Den
Shabnam Ki Tarha Se Humen Rona Nahi Aata

Ab Mujhe Khawab Bhi Nahi Aate

Ab Mujhe Khawab Bhi Nahi Aate
Ab Mujhe Khawab Bhi Nahi Aate
Jese Aankhon Ne Khudkashi Ki Ho

Ta'aluq Rakh Liya Baqi Yakeen Tor Aya Hun

Ta'aluq Rakh Liya Baqi Yakeen Tor Aya Hun
Ta'aluq Rakh Liya Baqi Yakeen Tor Aya Hun
Kisi Ka Sath Dena Tha Kisi Ko Chor Aya Hun

Tumhare Sath Jeene Ki Qasam Khane Se Kuch Pehle
Main Kuch Yaadein, Kayi Qasmein Kahin Pe Tor Aya Hun..

Saleeb-E-Sang Pe Likha Mera Fasaana Gaya

Saleeb-E-Sang Pe Likha Mera Fasaana Gaya
Saleeb-E-Sang Pe Likha Mera Fasaana Gaya

Me Rahguzar Tha Mujhe Rond Kr Zamana Gaya

Main Aik Doltaa Saagar Mujhe Uthaata Kon

Ghataa Utha K Chali Thi Magar Chala Na Gaya..

Meri Qismat Main Andhere Hi Muqaddar Hain Agar

Meri Qismat Main Andhere Hi Muqaddar Hain Agar
Meri Qismat Main Andhere Hi Muqaddar Hain Agar

Jane Hasrat Ki Shaam Aas Jalaati Kiun Hai

Khatam Kar De Ye Safar Jab Koi Manzil Hi Nahi

Zindagi Roz Nayyi Raah Dikhaati Kiun Hai..

Tum Haya Aur Shariyat K Taqazon Ki Baat Karte Ho

Tum Haya Aur Shariyat K Taqazon Ki Baat Karte Ho
Tum Haya Aur Shariyat K Taqazon Ki Baat Karte Ho
Hum Ne Nangay Jismon Ko Malboos-e-Haya Dekha Hai

Hum Ne Dekhe Hain Ahraam Me Lipte Hue Kayi Iblees
Hum Ne May-Khany Me Kayi Baar Khuda Dekha Hai.

Kese Muhabbat Karun Bohat Ghareeb Hun

Kese Muhabbat Karun Bohat Ghareeb Hun
Kese Muhabbat Karun Bohat Ghareeb Hun
Log Bikte Hain Or Me Khareed Nahi Paata..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...