Wednesday, 12 August 2015
Monday, 10 August 2015
Kehtay ho key mujhey bhol jao
Mein hun
Aur tanhai hai
Teri ye chand tasweer’ain
Jo mujh sey baat’ein kerti hein
Teri ye chand tehreer’ain
Jin ko parh ker hum khod ko tasali’yan detay hein
Aur kuch card
Jinhei’n hum eid per parha kertay hein
Aur
Teray bhejay huay kuch gift
Jinhei’n hum her waqt chuma kerat thay
Agr tum khod aa ker dekho
Mera kamra bas teri
Yaad’on ki nishani hai
Aur tum
Kehtay ho key mujhey bhol jao
Abhi aay ho abhi ja rahey ho
Abhi aay ho abhi ja rahey ho
kuch dair aur ruko abhi raat baki h ai
is tarha barish mein
mat chor ker jao mujhey
in ankh’on mein an-dekhay sapney bohat baki hein
tum in rah’on mein abhi sey nidhal ho
abhi dukho’n ki kitab aur baki hai
tum kisi aur key ho jao ye ho nahi sakta
abhi to ‘Gul’ ki saans boht baki hai
Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se
Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se
Marna Behtar Hai Aisay Jeenay Se
Kuch Tou Qaayim Rahay Anaa Ka Bharam
Dekhna Hai Ose Qareenay Se
Yun Tamasha Tou Osko Hona Tha
Jo Ghiri Aarzoo Ke Zeenay Se
Kuch Hawaaon Ka Aitbaar Nahi
Warna Kia Khauf Os Safeenay Se
Dil Ka Ab Talkhion Se Naata Hai
Lutf Laita Hai Zeher Peenay Se
Umer Raaigaa.n Kardi Tab Ye Baat Maani Hai
Umer Raaigaa.n Kardi Tab Ye Baat Maani Hai
Mout Aur Mohabbat Ki Ek Hee Kahani Hai
Khail Jo Bhi Tha Jaana.n Ab Hisaab Kia Karna
Jeet Jis Kisi Ki Ho Ham Ne Haar Maani Hai
Vasl Per Bhee Naadim Thay Hijr Per Bhi Sharmindah
Wo Bhi Raaigaani Thi Ye Bhi Raaigaani Hai
Ye Mera Hunar Teri Khusbuoun Se Waabasta
Mere Saaray Lafzon Per Teri Hukmarani Hai
Jaanay Kon Shehzaadah Kab Chura Ke Le Jaaye
Wo Jo Apne Aangan Mein Khusbuoun Ki Rani Hai
Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay
Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay
Sab Iraaday Sambhaal Kar Rakhay
Kuch Naye Rang Hain Mohabbat Ke
Kuch Puraanay Sambhaal Kar Rakhay
Mausam-e-Ishq Teri Baarish Mein
Khat Jo Bheegay Sambhaal Kar Rakhay
Jin Ki Khushbu Udaas Karti Thi
Wo Bhi Gajray Sambhaal Kar Rakhay
Tujh Se Milnay Ke Aur Bichadnay Ke
Saaray Khadshay Sambhaal Kar Rakhay
Jab Hawaa Ka Mizaaj Barham Tha
Ham Ne Pat’tay Sambhaal Kar Rakhay
Aarzoo Ke Haseen Pinjray Mein
Kuch Parinday Sambhaal Kar Rakhay
Ham Ne Dil Ki Kitaab Mein Tere
Saaray Waaday Sambhaal Kar Rakhay
Tere Dukh Ke Tamaam Hee Mausam
Ay Zamaanay Sambhaal Kar Rakhay
Mere Khwaabon Ko Raakh Kar Daala
Aur Apnay Sambhaal Kar Rakhay
Subscribe to:
Posts (Atom)